Chapter no 47

334 11 28
                                    

*Asalam o Alaikum dear readers 😊

*How are you all? ☺️

*New chapter is here enjoy! 😃

_________________________________

o Paulo,
Brazil.

Abbiya POV.

"Koi aisi behtari hogi jo tumhe abhi to nahi magar bohat badd mein samajh ayegi Phir Tum Allah ka shukar ada karo gi k Us Waqt Allah ne tumhari Wo Dua nahi qubool ki, or Rahi toote dil ki baat? To Allah chahta k tum Us Pak Zaat se apne toote dil ka marham mango, Allah dilo'n ko sakoon dene wala ha. Toote hue Dil, k sath agar insan Sabar kare or Apne Allah se dil lagaye to Allah apko Bohat barey barey Muqam bakshta ha, Allah ko bohat pasand ha jab Uska banda Usse madad mangta ha. Tumhari ye qurbani zaya nahi jaye gi daikhna." I said.

"Shayad" She said.

"Yaqeenan." I replied.

Ishq qatil? Ishq zalim? Ishq jallad? Ishq sukoon? Ishq junoon? Ishq qarar? Ishq aag? Ishq marham? Ishq mitti? Ishq jahan? Ishq takht? Ishq takhta daar? Ishq? Kiya ha ishq? Kitne rang hn iske? Kabhi daikho to ishq karne walo ko! kiya se kiya haal hojata ha unka....... Kiu hota ha? Kaise hota ha? Iska jawab nahi mil saka.

"Mein Ye sab bhoolo'n gi k nahi, Mera anjam kiya hoga nahi maloom-" she was cut by me in a mid-way.

"Insha Allah, bohat acha anjam hoga Allah ki rehmat se mayoos nahi hote Huda" I said and she took a deep breath.

"Madam Muhabbat k dukh kabhi khatam hue hn? Jo mere bhi khatam ho jayein ge? Ye wohi jante hn jinho ne apne dil pe zakham khaye hote hn" She said.

Baat to bikul thik keh rahi ha. Jisne zakhm khaye hote hn wohi janta ha.

"Inhi zakhmo'n k sath muskurane se pata chalta ha k insan k sabar ki inteha kiya ha mein kehti hn Insan wohi ha jo zakhmo'n k sath muskurana seekh jaye kiu k na hi duniya ne zakhm dena bandd kiya ha na hi kabhi bandd kare gi, isliye Insan ko khud se bohat sara larna parta ha sirf apne Aap ko mazboot karne k liye Maloom ha sabse ziyada mushkil jangein konsi hn?" I asked.

"Nahi" she replied.

"Insan ki Khud ki apni zaat k sath, khud ki apne zameer k sath, khud ki khud hi k sath! Bas haq baat manwani ha khud se, beshak Hazaar zakhm bhi hon jigar pe lekin khud ko haarne nahi dena ha. Aksar nazuk lamhaat mein hi insan ka asal imtehan hota ha. Insan kiya ha inhi kamzor or nazuk lamhaat mein pata chalta ha." I said.

"Bohat asani se mushkil baat ki ha apne" She said and smile faintly. I could see the pain behind her smile.

Muskurana bhala kaha khush hone ki daleel ha?

"Dard insan ko bohat samajhdaar krdete hn Madam." She said.

"Han unhi ko jinko Dard ki qeemat samajh ajaye. Kuch dard bohat qeemti hote hn" I said.

Compromise Where stories live. Discover now