MOHABBATEIN

3.1K 312 24
                                    

Zindagi, ek insaan ke liye uska sabse achi guru h. Hame har pehlu par aise logo se milwati h jinki kalpana bhi ham nhi krsakte.

Aise hi zindagi ne hame bhi ek insan se milwaya jinse Milne ke baad mano hame laga ki ham ek naye sire par h zindagi ke.

SAMAAJ, ek aise imarat(building) jiski neev hai hi nhi. Darhasl shuruat se hi hamare SAMAAJ ne har cheez ki ek age limit set kar rakhi h aur agar dekha jaaye toh SAMAAJ ke niyamo me sirf ladkiya aur aurate shamil hoti h. SAMAJ ki ankhein toh band hojati h jab bhi koi ladka kuch galat karta h aur uska dossh bhi ladki pe hi dala jata h.

Samaaj ki nazro me agar ladki 12 ki h toh usee padhai chodkar ghar ka kaam chalo krdena chahiye, akhir ladki h padhkar kregi kya .16 ki h toh usee apne hone wale parivar ki sochna chahiye, 18 toh bilkul shii umra h shadi ke liye aur 22 me bache. Yeah h hamare so called samaj ka timetable agar iske hisab se nhi chale toh ham charitraheen h.

Aise toh feminist ke naare har jagah lag jayenge har jagah log bolenge ki ab toh jamana badal RHA h ladki aur ladka barabar h. Ladkiyon ke liye har jagah suvidha h, bilkul har jagah suvidha h agar ladki naukri Karna chahti h toh capable hone ke bavjoot bhi usee apne imaan ka sauda krna hota h.

𝗪𝗛𝗬 𝗔𝗟𝗪𝗔𝗬𝗦 𝗠𝗘?Where stories live. Discover now