"Muskaan puttar apni shadi de jore da ki socheya e?"
Zanaan khaane me bethe hue Bibi ne Muskaan se pucha jo sabzi kaatne me masroof thi. Usne dhak se sar ko uthaya tha aur kuch sochte hue boli.
"Bibi abhi to kuch nahi socha"
"Muskaan Aapi abhi tak kuch nahi socha? Maine to sab soch liya he ke kya pehnu gi aap ki shadi per aur makeup lagaun gi jo bhabi ne laa ke diya he..!"
Ghazal ne masoomi se kaha to Bibi uski baat pe thitki aur use dekha.
"Konsa makeup guriya?"
Unho ne sanjeeda awaaz me pucha to Guriya ne ankhe zor se bheenchi aur khud ko kosa ke akhir uske mu se nikla hi kyun.
"Ghazal sunai nayi de reya?"
Bibi ne is baar sakhti se pucha to Ghazal ne darte hue sar ko uthaya.
"B..Bibi..bhabi le kar ayi thi mere liye.."
Usne kaha to Bibi ke ek gehra saans bhara tha aur bagair kuch kahe unho ne sar ko neechey kar liya aur kisi gehri soch me kho gayi.
"Bhabi ne diya he theek hai magar use sambhal ke rakho samjh gayi?"
Guriya ka mu phula magar phir usne sar jhuka liya.
__________
Bethak me dayen taraf pari kursi me bethe hue shaks ne taang per tang rakhi hui thi aur shadeed ukhtayi hui shakal se aas paas dekh raha tha. Shayad uska bass chalta to in zameeno ki aur siyasat ki baato se woh kab ka kaan band kar ke bhaag jaata. Usne mushkil se jamayi rouki aur ankhe zor se band kar ke kholne hi wala tha jab wohi garajti hui awaaz sunayi di.
"Samir Shah. Jinni der ethe he zameena de kam tu wekhen ga samjh ayi?"
Bare Shah ne kaha to Samir ne khud ko bamushkil ankhe ghuma kar inkar kehne se rouka aur sar hila diya magar Bare Shah ki dusri taraf bethe Zuhaib ke tassuraat uski nazar se chupe nahi the. Magar isse pehle ke woh kuch aur sochta uski white shalwar kameez ki pocket me para phone baja. Usne nikala aur upar aati missed calls ko dekh ke wahan se utha.
"Main ek zaroori call kar ke aata hun."
Usne kaha aur Bare Shah ne use wk nazar dekh ke halke se sar ko hilaya.
"Jee Uzair sahab?"
Bare Shah se wirasat me mili wohi garajti hui bhari awaaz se woh bola aur saath saath chalta hua Haweli ki dusri taraf tak aa gaya tha.
YOU ARE READING
Iztiraar
RomanceZindagi ke safar me insan kab kisse takra jae pata nahi chalta Amyra Sikandar bhi nahi jaanti thi ke uska safar use kahan le jae ga... _______ "Thori der ke liye tumhe meri har baat per sar hilana ho ga jaisa main kahun ga tum sar hilayi jao" "No ma...