Tw/ There's very sensitive and triggering issues mentioned ahead.
_________
Zindagi ne humesha Amyra Sikandar ko kisi na kisi besakooni me daale rakha tha yahan tak ke ab use lagne laga tha jese woh pyar ya sakoon deserve hi nahi karti thi. Puri duniya shayad sahi thi galat sirf woh thi...shayad..
Thanda paani musalsal uske pure jisam ko bheega raha tha. Pani uske chehre se hota neechey ko girata gaya aur woh us paani ke neechey apne ghutno ke aas paas baazu hayal kiye bethi rahi. Use maloom na hua tha ke kab darwaza khula tha aur woh andar aya tha woh sirf khamosh thi apne bheege chehre pe parte paani ke saath wahan se girte ansuon ko chupana sirf uska maksad tha..
Woh us tak chalta aya aur do pal ke liye ruke use dekhta gaya phir paani ko band kiya aur neeche ghutno ke bal betha ya phir ek ek ghutne ke bal gir sa gaya kehna behtar tha. Uske haath uske chehre tak jaane laga magar phir isse pehle hue waqiye ke yaad aane per usne apna haath wapis liya.
"Amyra.."
Uske mu se bamushkil uska naam nikla. Amyra ne use dekha tak na aur ankho ko bheench liya.
"Mujhe bas..sorry kehna tha main kabhi bhi tumhe koi nuksaan nahi ponchaun ga mera waada he yeh tumse."
Samir ki awaaz ki narmi itni thi ke Amyra shayad apne humesha wale haal me hoti to hakka bakka reh jaati magar is waqt uski zuban se ziyada uski band ankho se bhi aansu behte hue jese uski baat ka jawaab de rahe the. Samir bebass sa use dekhta raha phir dheere se khara hua aur mura tha jab use apna haath uski giraft me mehsoos hua. Samir herani se apni jagah pe theher sa gaya phir ahista se mura aur use dekha to woh uske chehre ki taraf dekh rahi thi bilkul kisi dare hue bachey ki tarah.
"Please...mujhe chor kar mat jao..mujhhe akele..nahi rehna.."
Woh boli to woh use dekhta raha phir apna haath churwaya aur dusri taraf ko chal diya. Amyra ka dil jese uske chut te hue haath ke saath kisi ne dubara tor daala. Kirchion me. Usne chehra apne ghutno me de diya magar phir ek lamhe baad hi use apne kandho per kuch mehsoos hua usne chehra uthaya to Samir uske kandho per toliya rkha raha tha aur ohir ek dafa uski nazro me dekha aur phir use kandho se pakar ke khara kiya magar uski taange kaamp rahi thi jinhe dekhate hue usne Amyra ki nazro me dekh ke jese ijazat maangna chahi. Jab use koi dar ya khouf uski nazro me na nazar aya to usne apna dusra bazu uske ghutno ke peechey ghumaya aur use apni bahon me utha liya. Samir aaj apne aap ko smash nahi paa raha tha. Uska dil us lamhe me is kadar kyun dukh raha tha? Kyun uska dil har lamhe yeh puch raha tha ke akhir kyaa cheez thi jo use is kadar takleef de rahi thi jo woh kisi ko batati bhi nahi thi. Kyun uska dil keh raha tha ke us larki ko kahin khud me chupa le.
Use dheere se bed pe bithaya to uska jism sardi se kaamp raha tha woh wapas walk in closet ki taraf gaya aur dayen taraf ki almari ko khol kar uski ek shirt aur pajama nikala aur wapis uski taraf wapis aya uski siskiyan ab ruk chuki thi magar ab bhi uska jism kaamp raha tha aur chehre par aansuon ke nishaan ab bhi baaki the. Usne kapre uske samne kiye aur jhuk kar uski ankho me dekhta hua bola..
"Amyra..bimaar ho jao gi kapre change kar lo main bathroom me hun awaaz laga dena kuch bhi ho..okay?"
Samir ne kaha to usne nazre utha ke use dekha aur samir ka saans jese halak me atka. Uski aankhon mein woh masoomi, woh bachi thi jise usne aaj tak nahi dekha tha.
Kuch der baad jab use bahir se awaaz na aayi to woh wapis bahar aaya to usne Amyra bagair kapre tabdeel kiye zameen pe bethe paya.
YOU ARE READING
Iztiraar
RomanceZindagi ke safar me insan kab kisse takra jae pata nahi chalta Amyra Sikandar bhi nahi jaanti thi ke uska safar use kahan le jae ga... _______ "Thori der ke liye tumhe meri har baat per sar hilana ho ga jaisa main kahun ga tum sar hilayi jao" "No ma...