Ghar me us waqt alag hi rounaq thi har jagah roshni aur bhoolo ki khushbu chayi hui thi. Sab ke chehre muskurahat se jagmaga rahe the. Sach tha, khuda mushkilon ke baad khushiyan bhi behisaab deta tha bas insaan ko sabar ki zaroorat hoti hai jo ke hum me se aksar log kar lete hain nagar kuch nahi kar paate aur haar jaate hain..."Haris agar yeh haath le ke mere paas aye main tumhara sar phaar dun gi ab!"
Amyra peela khubsoorat jora pehne phoole ke zewaraat kaan me aur haath me pehne cheekhti hui sofey pe chari thi aur hafis neechey ubtan ka bowl haath me liye khara hua tha.
"Phate hue sar ke saath main kal tumhari shadi me nahi aane wala"
Haris bola to dusri taraf bethi Sabrina jo qpni chooriyan utaar rahi thi un dono ko dekh ke hasi.
"Pehle hi meri mu tum sab ne alien jesa kar diya hai ab bas karo!"
Woh boli to Haris uske sqath sofey pe chara aur uske dayen gaal pe yak dam ubtan laga diya.
"Ugh khotey!!"
Amyra cheekhi aur bowl poora pakar ke urske sar pe ulta diya.
Haris mu khole unhe dekhta reh gaya aur Sabrina has has ke ulti seedhi hone lagi."Allah! Tum sab ne mere sofey ka kya hala kya hai!!"
Shaila jo lounge me aa ke apne safey ki halat dekh ke be sakhta cheekhi thi.
Woh teneo bas haste chale gaye.
"Tum teeno ne nahi sudharna!"
"Aunty aap ki beti ke karnaame hai sab"
Haris haath uthata bola to Amyra ne use ankhe nikaali
"Mama jab chali jaun gi tab yaad karen gi..!"
Amyra ne kaha to Shaila ne sar jhatka aur muskura din. Sach hi to keh rahi thi woh.
"Tum logon ne baato me laga diya mujhe...Amyra bahir ao!"
Amyra ne uljhi nazro se apni maa ko dekha.
"Kyun ammi mujhe jaa ke nahana hai abhi"
"Amyy surprise hai na aap to sahi"
Unho ne uska haath pakra aur le ke bahir aayin to Amyra samne khare shaks ko dekh ke apni jagah hi khari reh gayi phir foran aage bari.
"Nana..!"
Samne Hussain sahab khare the jo kuch kamzor dikh rahe the magar shaksiyat ab bhi pehle jesi hi mazboot aur sab me se alag dikhane wali thi. Amyra unke samne gayi to unho ne dheemi muskurahat ke saath uske sar pe haath rakha.
"Meri nawasi itni bari ho gayi aur mujhe pata hi nahi chala..!"
Unho ne kaha to Amyra dheemi muskurahat ke saath unke gale lag gayi. Nana ke woh kabhi bohat kareeb na thi kyun ke apne maa baap ki judai ki zimedari woh unhe deti ayi thi magar woh kabhi unse nafrat nahi kar payi thi, woh unki humesha parwa karti thi aur jaanti thi ke woh bhi usse muhabbat karte the.
"Acha kiya aap aa gaye.. magar aap ki tabiyat theek hai ab?"
Usne pucha to Hussain sahab ne peechey ho ke kaha.
![](https://img.wattpad.com/cover/257309041-288-k587561.jpg)
YOU ARE READING
Iztiraar
RomanceZindagi ke safar me insan kab kisse takra jae pata nahi chalta Amyra Sikandar bhi nahi jaanti thi ke uska safar use kahan le jae ga... _______ "Thori der ke liye tumhe meri har baat per sar hilana ho ga jaisa main kahun ga tum sar hilayi jao" "No ma...