Chapter 8

689 62 80
                                    

"Bhabi?"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Bhabi?"

Darwaze ko khatkhatati hui woh halka sa darwaza khol ke chehre ko aage kar ke khari hui to Bed per bethi Amyra ne gardan ghumayi.

"Aa jaun andar?"

Usne halka sa sar ko hilaya to Ghazal kuch hich kichati hui andar ayi aur uske samne aa kar khari hui to Amyra ne apne saath pare dupatte ko hataya aur jese uske bethne ki jagah banayi. Ghazal beth gayi.

"Um subha aap ne mujhse kapre mange the to mujhe laga shayad aap ko aur kapro ki bhi zaroorat ho"

Usne apne ek haath me pakre chaar panch jore uske samne rakhe to Amyra ne use dekha aur shayad itne dino me pehli baar woh muskurayi.

"Thank you tum bohat achi ho"

Usne kaha to Ghazal ke sanjeeda chehre per jese bahaar si aa gayi aur uska chehra uske itne se ilfazon se khil utha. Woh pyaar ki tarsi hui kam umar larki thi jise pyaar se kahe gaye do bol hi khush kar dete the.

"Aap bhi bohat achi hain..!"

Usne muskura kar kaha.

"Waise tum is waqt ghar me kya kar rahi ho school ya college nahi jaana tha?"

Amyra ne pucha to phir Ghazal ke chehre ki ronaq gayab hui.

"Woh...main..par nahi rahi"

Uski baat per Amyra uska chehra dekhti rahi use herani hui thi ke Ghazal jitni umar ki larki parti nahi thi?

"Kyun?"

"Kyun ke...Bare Shah ne ijazat nahi di 9th ke baad parne ki. Uske baad ki parhai gaon me nahi ho sakti thi to...bas main ghar per hi hun"

Usne udaasi se kaha to Amyra ka khoon khola. Woh Bare Shah ka rawaiyya unki dakiyanusi baaten jab se ayi thi sun rahi thi.

"To sheher jaa ke parne ki ijazat nahi di unho ne..?"

Usne pucha to Ghazal ne chehre ko halka sa nafi me hilaya.
Use us waqt us bachi per beyhad tars aya tha uske chehre per saaf zahir tha ke woh parna chahti thi apni zindagi ke saath kuch acha karna chahti thi.

"Tumhara bhai bhi to sheher me rehta tha na to tum kyun nahi?"

"Bhai ko to karobaar karna tha aage parhe bagair karna mushkil tha aur woh larke the main to bas ek larki hun..."

Usne sar jhukae kaha to Amyra ne apne danto ko zor se chabaya aur Ghazal ke haath pe haath rakha usne upar dekha to woh usi sanjeeda chehre ke saath boli thi.

IztiraarWhere stories live. Discover now