Woh teeno jab kamre se bahir aye to Samir unke ghar ke chote se lounge ke single sofey per humesha ki tarah apni magroor naak unchi kiye taang pe taang rakh ke bethe tha. Haris pehle nikla aur Amyra ke saath Sabrina peechey aur kuch aage ho kar Sabrina ne Amyra ke kaan me sargoshi ki."Waise banda he to kafi hot main to kehti hun chance maar lo kya pata baat ban jae"
Amyra ne gardan mor ke use ghoora woh masoom shakal banae hue khari thi.
"Bakwas ho gayi ho to yaad dila dun? Girlfriend hai iski"
"Arrey yar pata hai kon hai iski girlfriend"
Sabrina ne kaha to Amyra ne foran pucha.
"Kon hai?"
"Tumhe yaad nahi abhi kuch der pehle hi to rumor aya tha ke Mishal Naheed kisi businessman ke saath relationship me he? Yehi to hai woh"
Sabrina ne Samir ki taraf mu se ishara kar ke kaha to Amyra ne chonk ke Samir ko dekha phir Sabrina ko jo ke ab lounge ki taraf barti hui nazar aa rahi thi. Woh uski pusht ko dekhti rahi phir sar ko jhatak ke aage bar gayi.
"Waise yeh Haris tumhara sirf dost he ke koi khaas dost hai?"
Unke ghar se nikal ne ke baad Samir ne gari ko dhorate hue pucha to Amyra ne fat se gardan ko uski taraf mora aur ghoora.
"Is khaas dost se kya maksad he tumhara?"
"Waise hi puch raha tha I mean agar kuch hai to woh bura na manaa ja-"
"Bakwas band karne ke paise lete ho ke muft me kar lete ho?"
Samir ne use ghoora. Jitni izzat afzai woh larki uski pichle do teen dino me kar chuki thi use pura yaqeen tha uski puri zindagi me kisi ne na ki thi naa hi usne kisi ki itni sahi thi.
"Woh Sabrina ki tarah samjhta hai mujhse. Aur tumhe kyun lagta he ke tumhari girlfriend he to har kisi ka koi na koi chakkar chal raha ho ga?"
Amyra ki awaaz me dukh sa tha use apne aur apne bhaiyon jese dost ke bare me aisi baat sun kar dukh hua tha Samir ne ankh ke kone se use dekha jo ke ab sheeshe se bahir dekh rahi thi.
Uske chehre per afsous dekh ker uske dil me kuch chota sa ehsaas ubhra. Guilt ka. Magar woh guilty kyun ho raha tha? Woh to choti choti baato ko na dil per leta tha na apne faide ke ilawa kuch sochne ka haami phir kyun uska dil use hukam de raha tha ke us larki se maazrat kare?Mobile ki ghanti ne use socho se nikala usne khaas dihaan diye bagair phone ko kaan se lagaya aur aage se aane wali awaaz per phone check na karne per apne aap ko gali se nawaaza.
"Kitthe mar geya en?"
"Assalamu alaikum. Kaam abhi khatam hua tha to maine socha ghar chala jaata hun ab safar shuru kiya to aadi raat ko Haweli ponchen ge."
Usne ek hi dafa me sab samjha diya aur kuch lamho ki khamoshi ke baad aage se hukam sunaya gaya.
"Kal dupeher di roti de waqt tusi dowen mainu Haweli de vich dikhne chaideo"
Hukam ke baad phone dhak se kat gaya aur tab tak woh apne ghar ke bahir tak ponch bhi chuka tha.
Woh ek bare se bangle ke bahir gate khulne ka intezar kar rahe the aur Amyra ne us ilake ko dekha aur kuch heran hui. Woh sheher ka behtareen aur mehenga ilaaka tha jahan per uska apna ghar bhi tha magar woh Samir ke bangle se thora door tha. Gari porch me ruki to Amyra ki nazar uski baki ki gariyon per pari jahan kuch sports cars aur alag alag tarah ki gaariyan khari thi.
Woh gari se utra to kuch der uska intezar karta raha jab woh nahi utri to wih uski taraf gaya aur darwaza khola to Amyra chonki phir bagair kuch kahe nikli aur darwaze ki taraf chalne lagi. Samir uske peechey chalne laga aur bahir aate mulazim ko shopping bags andar laane ko kaha.
YOU ARE READING
Iztiraar
RomanceZindagi ke safar me insan kab kisse takra jae pata nahi chalta Amyra Sikandar bhi nahi jaanti thi ke uska safar use kahan le jae ga... _______ "Thori der ke liye tumhe meri har baat per sar hilana ho ga jaisa main kahun ga tum sar hilayi jao" "No ma...