Chapter 20

629 66 73
                                    


"Because I love you!"

Najane kitni der woh use dekhti chali gayi thi. Woh ilfaz uske liye koi kabhi kahe ga usne socha tha kabhi? Shayad kabhi nahi.

"Main yeh nahi kehta ke tum abhi isi waqt mujhe koi jawaab do ya Wohi jazbaat rakho apne dil me magar...mujhe itna haq do ke main tumhari parwa kar sakun...ya phir main yeh bhi deserve nahi karta..?"

Usne kaha to Amyra ne nazre uski nazro se hatayin aur ek kadam peechey hui.

"M..mujhe nahi pata main kya kahun.."

"Kuch mat kaho.."

Woh jaanta tha abhi woh use kabhi woh jawaab nahi de sakti thi jo woh sunna chahta tha.

"Shadi ke khatam hone tak kuch mat kaho...waqt de do khud ko, hum dono ko..."

Usne kaha to Amyra ne sar ko hilaya. Najane woh use saaf naa kyun nahi keh payi thi, najane apne zubaan ke zeher se use zakhmi kyun nahi kar payi thi woh. Najane kyun uska dil us samne khare shaks ke dil ke tootne se itna dar gaya tha...

Woh jaanti thi woh usi ki tarah ka tha woh kabhi apne ehsaas ko zubaan pe laana ya zahir karne me mahir nahi tha magar aaj usne jab kiya tha to woh shayad jaanti thi ke aaj agar woh uska dil torti to woh kabhi bhi phir kisi se muhabbat na kar paata woh kabhi kisi ko apni muhabbat jataa na paata. Aur woh uske is zakham ki wajah nahi banna chahti thi.

Ya phir yeh sab bahana tha shayad woh bas us insan ko nahi khona chahti thi jo uski parwa karta tha..

Jo bhi tha yeh saaf tha ke yeh agle kuch hafte bohat dil chasb hone wale the.

Woh dono jab restaurant se nikalne lage to Samir ne Amyra ka haath pakar ke use yak dam rouka usne ulajh ke use dekha to Samir ne apna coat utaara aur uske kandho pe rakha. Amyra use herani se dekhti rahi. Phir usne apne aap ko dekha to Barish me khare rehne ki wajah se uski saari puri tarah jisam ke saath lagi hui thi.

"Ab theek hai"

Amyra ne ankhe ghumayi.

"Yeh chote Shah kahan se nikal aye"

Amyra ne kaha to Samir ne use dekha aur muskura diya.

"Kahin se nahi"

Usi tarah uska haath thaame woh bahir ko nikal ne laga.

"Hello?"

Samir ne uske kehne pe mur ke dekha to usne apne aur uske haath ki taraf ishara kiya.

"Parwa karne ka haq diya hai free hone ki hai"

Usne kaha to Samir ne uske haath pe giraft mazboot ki aur bola.

"Meri parwa me yeh shamil hai ab chalo..!"

Amyra ne use ghoora magar jab woh aage hua to besakhta muskurahat ne uske labon ko chua. Woh naya ehsaas tha. Sab kuch naya tha...

_________

Agle din aubha jab nashte ki table pe Ghazal ayi to usne pehle door se Samir aur Amyra ko kuch lamho ke liye dekha phir darte darte woh aage ayi aur Un dono se faasle pe beth gayi.

IztiraarWhere stories live. Discover now