Kaha tha maine, ye dooriyan tum banaye rakhna.
Nahi kaha tha?
Kaha tha maine, apne raazon ko raaz rakhna.
Nahi kaha tha?
Kaha tha maine, hasskar do baatein na mujhse karna.
Nahi kaha tha?
Kaha tha maine, apna waqt zaya na mujhpe karna.
Nahi kaha tha?
Ye kab hua hai, kabhi kisi ne suni hai meri.
Ishq karne se usko maine mana kiya tha, ussne wahi kiya tha.
~Umer / Ig: _raaaqiiib_
YOU ARE READING
Ehsaas- The Feelings
Poetry"Ehsaas - The Feelings" It is the Book full of poems which is in Hindi-Urdu, But I had also tried to mention the English Translation along with it. " Couplets full of...
