8

280 11 0
                                    

Manish- Ye yahan nahi reh sakti, yahan poora parivaar hai, bachchhe hain. Tumhe koi andaza hai agar is par dobara hamla hua aur humme se koi, bhagwan na kare, bachche iski chapet mein aa gaye to. Iske upar khatra hamare parivaar par khtara ban sakta hai, kabhi socha tumne? 

Kartik- Papa us par hamla hua hai janlewa, wo akeli kahan rahegi? Aas-paas koi dekhne wala tak nahi hai. Yahan par vo safe rahegi.

Manish- Aur hamari safety ka kya? Apne parivaar, apne bachchon ke baare mein ek bar bhi socha tumne. Agar hamala wahan ho sakta hai to yahan bhi to ho sakta hai, tab kya karenge hum?

Kartik- Aur vo kya karegi akele, agar dobara kuchh ho gaya to?

Manish- To tum ise kahin aur bhi to bhej sakte ho na Kartik?

Kartik- Papa-

Manish- Nahi is baar main tumhari koi baat nahi sunna chahta hoon. Isse pehle humne ka kya kam kiya hai iske liye jo apne bachchhon ki bhi jaan khatre mein dalein. Is ladki ke karan hamare poore parivar ne aise din dekhe hain... Tumhe faisla karna hi hoga, agar ye ladki aaj andar aati hai to humein samjah aa jayega apne parivaar ki tumhare liye kya ahmiyat hai.

Kartik- Papa, aap log, ye parivaar, Kairav-Akshu mere liye sab-kuchh hain lekin Sirat- Sirat se bhi to mera rishta hai, dosti ka, main ise kaise itni pareshani mein akela chhod sakta hoon, aise kaise ise kahin bhi bhej doon ye jaante hue ki vo log kitne khatrnak hain.

Manish- Kyon aisa kya rishta hai tumhara is ladki se? Dost hai na tumhari? To beta, dosti parivar ki keemat par nahi nibhayi jaati. Tum ise kahin bhi le jao lekin mere rehte ise tab tak is ghar mein to nahi la sakte, jab tak isse hamari jaanon ko khatra ho. As long as our lives are put at risk.

Kartik- Papa, please-

Manish- Kartik please! Ya to ye ladki jisse tumhra koi rishta nahi hai ya fir tumhara parivaar.

Kartik (unfocused eyes staring behind his father)- Thik hai, aapki yahi dikkat hai na ki uska is parivaar se, mujhse koi rishta nahi hai. Isi karan aap iski jaan ko lekar itne patthar dil ho na? Aap ise andar nahi aane dena chahte? Rishte ke saath to andar aa sakti hai na. 

Manish- Tumhare kehne ka matlab kya hai?

Kartik (nods)- Sirat is ghar mein nahi reh sakti kyonki uske yahan rehne se baaki logon ki jaan ko khatra hoga, aur aapko is ghar ki, hamare parivaar ki zyada chinta hai. Meri biwi bankar to reh sakti hai na? Is ghar ki bahu ko to aise kisi khatre ki wajah se bedhakhal nahin karenge aap?

Manish- Kartik!

Kartik (stares in his father's eyes)- Maine yahin kaha tha na main Sirat se shaadi karunga, tab nahi to ab sahi, kar loonga main Sirat se shadi. Bana loonga ise apni biwi, meri mangetar ko to bheetar aane se nahi rokenge na aap?

Surekha- Kartik ye kya baat hui bhala? Tum aisi ladki se shaadi karoge?

Kartik- Main kahan koi baat kar raha hoon chachi, baat to papa kar rahe hain aur aap sab sun rahe hain. Sirat ki chinta karna isliye nahi chhod sakta kyonki dosti logon ki nazaron mein koi rishta nahi hai.

Kartik dragged Sirat upwards, while she struggled to pull her hand free from his grip.

Sirat (teary eyed)- Ke jaroorat hai aapko ye sab karne ki? Mhare ko mhare haal pe chhod do na. Uncle sahi to keh rahe the, mhari vajah se pehle hi aap logon ka ke kam tamasha bana tha? Aapne unki baat maan kyon na li, main kahin bhi chali jaoongi. Pehle to mauri thi, ghar tha mhara, ab to kuchh bhi na rok raha mhare ko. 

Kartik (stops before guest room and turn to face her)- Sirat agar tumhe ye lagta hai ki Ranveer aur Amma tumhein jaane dete ya fir aise bhaag jane se tumhari jaan ko kam khatra hoga to tumhari ticket abhi karva deta hoon, tum samaan ki packing shuru karo. (lets her hand go) Tum jitni door kahogi, utni door bhej doonga tumhe.

Dor Jo Na Toote (Sloth Updates)Where stories live. Discover now