Kartik- Kya hua hai, Sirat?
Sirat- Aadat na hui na abhi manne, ghar, bachhe, practice sab ek sath smabhlne ki. Dheere-dheere sab thik ho javega, ismein chinta ki koi baat hi na hai.
Kartik- Pakka, Sirat?
Sirat (nods)- Haan Kartik, mhare ko bas sab kuchh bahut zyada lag raha hai na abhi. Naya-naya bhi.
Kartik (hums)- Thik hai, par apna dhyan rakho, ismein itna pareshan hone wali koi baat nahi hai, main, Kairav, gharwale sab hain tumhara haath batane ke liye kuchh bhi akele karne ki zaroorat nahi hai. Siway champion banne ke, kyonki boxer sirf tum ho. Please apni pratice par dhyan do, aur agar kabhi-kabhi tumhein lagata hai kisi bhi wajah se tumhari practice disturb ho rahi hai to mujhse baat karo, hum us cheez ka solution nikalenge. (moves cup to his lips) In sab baaton mein chai thandi ho gayi.
Sirat (standing up)- Main fir garam kar laati hoon.
Kartik (takes a big gulp)- Tumhein agar karni ho to, baaki mera to ho gaya.
He stood up to access last of his paperwork for the day. Sirat shook head to herself, finished the tea in her cup before walking downstairs to place tray in the kitchen. From the way back to the kitchen she's accosted by Suhasini just getting off the phone.
Dadi (smiling)- Achha hua Sirat tum yahin mil gayi. Hum kya soch rahe the ghar ke sabhi bachhon ke liye kal ek chhoti si pooja karvan dein, pundit ji ka bhi kehna hai ki kal ka din bahut shubh hai.
Sirat- Pooja karwana to bahut hi achchha hoga.
Dadi- Tumhein bhi yahi lagta hai na? Hum Swarna aur Surekha ko bhi is baare mein bata kar aaate hain (about to move away but stops and considers Sirat, last moment). Agar tumhari practice disturb na ho to kya tum kal ki pooja ki vyavastha kar sakti ho?
***
Kartik (hums, flipping through the file)- To ye pooja kab hai?
Sirat (pacing back an forth)- Kal subah.
Kartik (pauses)- Subah? (looks up) Kitne baje?
Sirat- Mhare ko je samajh na aa raha itna sara kaam hoga kaise, prasad banna hai, aarti ka samaan dekhna hai, pundit ji ki dakshina aur-
Kartik (standing up)- Agar tum kal Dadi ke saath mandir jaa rahi ho to fir tum practice ke liye kab jaogi? Ek kaam karo, tum rehne do Dadi se main baat kar leta hoon... Kal meri meetings... Unke saath koi aur chala jayega, Maan, Chachi ya fir Gayu.
Sirat- Uski zaroorat na hai, main aadhe din se practice ke liye chali jaoongi.
Kartik (frowns)- Agar tumhein ye sahi lagat hai to.
Sirat (furrows her brows)- Aapko mhara Dadi ji ke sath jaana sahi na lagta?
Kartik (sighs)- Har vo cheez jisse tum apne sapne se door hoti jao, mujhe vo sahi nahi lagti. Par ye tumhari life hai aur agar tumhein lagta hai tumhein Dadi ke sath mandir jaana hai to ye tumhara faisla hai.
Sirat- Mhara faisla sirf aur sirf aapka aur aapke pariwar ka dhyan rakhna- khush rakhna hai, Kartik. Aapke kiye ahsaanon ko utaarne ke liye bhale hi apne sapnon se kitna hi door hona pade, Sirat apni zimmewari nibhayegi.
Kartik- Kya hua? Man badal gaya?
Sirat (shakes her head)- Na.
Kartik- To tum Sarang ko ek baar kal ke plan ke baare mein bata do, aur agar tumhein meri kisi bhi help ki zaroorat ho to mujhe bata dena. Kal ek meeting ke liye client khaastaur par Guwahati se aa rahe hain, mera wahan hona zaroori hai.
Sirat (nods)- Bilkul, aap na apni meeting par dhyan dijiye. Main Dadi ji ke sath pooja karwa aaoongi.
As with everything else, Sirat committed to the task. Once the list from pundit ji arrived, she began her preparation consisting of umpteen lists. In fact, aside from feeding Akshu and helping Kairav locate his homework notebook she remained busy whole evening until her alarm rang, and she scurried off to the kitchen. By the time she was joined by Maan, Chachi, and Gayu Di, Sirat was half-way done with the dinner. As such, with their help few more dishes were prepared and added to the menu before it was time to arrange dinner table.
YOU ARE READING
Dor Jo Na Toote (Sloth Updates)
FanfictionI invite you on a journey of falling in love again, realizing feelings for his late love need not be erased to love again, healing from a wound which at first was untreatable. A love which ended up being more friendship, in and of itself. *** Or, K...