Next morning Kartik caught Sirat at her door.
Kartik- Good morning.
Sirat (nods, looking behind him)- Good morning!
Kartik (frowns)- Itni hadbadi mein kahan jaa rahi ho?
Sirat (frowns)- Practice ke liye late ho raha hai, yaha se waise hi door padega.
Kartik (shakes his head)- Tum aaj kahin nahi ja rahi ho, (gestures behind her) aur aaram kar rahi ho.
Sirat- Par Kartik-
Kartik (takes her hand to take her inside)- Koi par-war nahi, maine tumhare coach se baat kar li hai. Unka bhi yahi kehna hai ki abhi kuchh din tumhein aaram karna chahiye. Vaise bhi main tumhein akele kahin jane nahi de raha, aur papa se tumhare ek bodyguard ke liye bhi baat kar li hai maine. Jab tum practice shuru kar dogi, vo tumhein club layega- le jayega.
Sirat- Uski koi zaroorat na hai, main ek boxer hoon agar koi mhare saamne aaya to usko punch markar bakse mein bandkar Baxar bhej doongi.
Kartik- Aur vaar peechhe se hua to, jaise aakhiri baar hua tha? Tab? Main tumhare sath koi bhi chances nahi lena chahta aur abhi to ladna bhi nahi chahta kyonki abhi tum kahin nahi ja rahi ho.
Sirat (nods)- To je sunane itni subah-subah bhage aaye the aap?
Kartik (shakes his head)- Khana?
Sirat- Aunty ji ne mhare liye pehle hi nashta bhijwa diya tha. Aur manne dawai bhi tabhi le li thi. Kuchh aur?
Kartik (nods)- Haan.
Sirat (uses her hand for gesture)- To fir kahiye na? Ab koi muhurat dekhar batayenge ke? (hits Kartik during one gesture) What my luck!
Kartik- Ow. Sirat, haan tumhein practice karne nahi jaane diya par kya iska mtalab tum mujhe hi punching bag bana logi?
Sirat (worried)- Sorry, sorry, manne jaan-boojkhar na kiya. Jante to hain na aap, mhare haath apne aap chale hain.
Kartik (sighs)- Its okay... Mujhe tumse ek aur bahut zaroori bat karni thi.
Sirat (nods)- Kahiye?
Kartik (takes a deep breath)- Sirat mujhse shadi kar lo?
Sirat (frowns)- Kartik?
Kartik- Kal maan ne mujhse baat ki, aur us samay to maine saaf mana kar diya tha par fir maine baad mein is baare mein bahut socha. Aur main is nateeje pe pahuncha, rishte ka naam badalne se hamare rishte ko badalne ki zaroorat nahi hai. Aur aage ke liye bhi is tarah se tum mere aas-paas rahogi, tumhara dhyan rakhne mein asani hogi. Shayad Kairav-Akshu ke liye bhi yahi behtar hoga.
Sirat (shakes her head)- Aapko mhare dhyan rakhne ki koi zaroorat nahi hai.
Kartik- Par mujhe tumhara dhyan rakhne ki zaroorat hai, aur mere bachchon ko ek maan ki. Pehle bhi to hum aisa karne wale the na, ab kya problem hai?
Sirat (holds her head)- Tab cheezen itni uljhi hui na thi Kartik. Ab-
Kartik (stares at her)- Aisa kya ulajh gaya Sirat, jo suljhaya nahi ja sakta.
Sirat (shakes her head)- Mhare se na hoga. (looks up) Aapko mhari wajah se jitna sab jhlena pada wo kaafi na tha ke? Aap mein sabra hoga Kartik mhare se na jhela jayega main aapke upar bojh ban jaoon.
Kartik (frowns)- Sirat. (holds her forearms) Sirat! Meri baat gaur se suno. Tum mere upar koi bojh nahi ho. Main tumhein apni life mein chahta hoon kyonki tum mere liye important ho, mere bachchon ke liye important ho. Meri dost ho, hamesha rahogi. Tum mana bhi kar dena par tumhare liye ye janna bahut zaroori hai ki tum kitni special ho. Tumhara dhyan rakhna chahta hoon to sirf is wajah se ki tumhein dukhi ya akela nahi dekhna chahta, bahut kareeb se mehsoos ki hain ye cheezen tumhein vaise nahi dekh sakta. (lets go, steps back) Mujhe jo kehna tha maine ke diya, ab tumhari baari hai.
YOU ARE READING
Dor Jo Na Toote (Sloth Updates)
FanfictionI invite you on a journey of falling in love again, realizing feelings for his late love need not be erased to love again, healing from a wound which at first was untreatable. A love which ended up being more friendship, in and of itself. *** Or, K...