2

509 19 0
                                    

Kartik (offers plate)- Sirat? Khana kha lo fir dawai leni hai.

Sirat remained unresponsive, sitting on the bed, half-entranced especially under the injection from noon. 

Kartik (puts it to on the nightstand, focuses on the bed)- Sirat, agar tum khud nahi khaogi to mujhe khilana padega. Pata nahi last time tumne kab khaya tha, chalo ab khana kha lo. Please. Thoda sa? (keeps hand on her shoulder) Sirat. Sirat? Sira- (shakes her slightly).

Surprised, Sirat jerked back.

Kartik (takes his hand back)- Sorry, vo main khana laya tha aur tum...

Sirat (shakes her head)- Aapko sorry hone ki ke zaroorat hai, mhara hi dhyan na tha. I am sorry.

Kartik- Sirat. (sighs) Achchha abhi tum khana kha lo, baaki sab baatein baad mein karenge.

Sirat (shakes her head)- Abhi mhara man na hai Kartik, aap hi kha lo. Manne sona hai.

Kartik (sits on the edge of the bed)- Sirat, kuchh kam aise hote hain jo agar hum nahi bhi chahte hain tab bhi karne padte hain. Khana to tunmhe khana pdega, zyada nahi, thoda sa. Fir dawai kha kar tum so jana main tumhe bilkul disturb nahi karunga.

Sirat (sighs)- Manne na khana abhi kuchh Kartik, gale se na utrega mhare kuchh. Aap mhare ko chhod do, thodi der aram karungi na thik ho jaungi. Aap apne ghar jao, family wait kar rahi hogi aapki.

Kartik (nods)- Okay, tum khana kha lo main chala jaunga. 

Sirat (looks away from him to the food)- Aap khana le aaye ho na, mhara jab man karega main kha loongi. Chhoti bachchi na hoon, jo vo bhi aap se karwaoon.

Kartik (hums)- Bikul sach kaha tumne, tum chhoti bachchi nahi ho fir bhi tumhari harkatein dekhar mujhe tumhare liye Kairav se zyada chinta ho rahi hai. Can you believe it? Isliye zid mat karo, kha lo, fir dawai lekar so jana better feel karogi.

Sirat- Mhari feelings to ab aisi hi rahengi, Kartik. Khali. Mhare ko to main hamesha bematlab hi langoongi na, na apne Ranver ke liye kuchh kar payi, na mauri ke liye. (teary eyed, makes eye contact) Apni mauri ko aakhiri bar dekh tak nahi paayi main Kartik, bahut yaad kar rahi hogi na vo mhare ko?

Kartik (takes her hand)- Bahut miss kar rahi ho Amma ko?

Sirat (nods, looking down, crying)- Kuchh samajh nahi aa raha mhare ko, kaise thik hoga sab kuchh? Aur kiske liye? Sirat to bachi hi na, vo to mar gayi apnon ke sath.

Kartik- Sirat! Fir se aisi baat kabhi mat karna, aur kisne kaha ki Amma aur Ranveer nahi hain to tumhare paas ladne ki koi wajah nahi bachi hai. Tumhe ladna hoga, apne liye, apni boxing ke liye, tumhari boxing se jude un sapnon ke liye jo unhone tumhare sath dekhe the, aur Kairav, agar tumhe kuchh ho gaya to pata us par kya beetegi? Aur dost hoon na main tumhara? Tumne kaise soch liya tumhara koi nahi hai? Koi karan nahi hai tumhare pas?

Sirat (breaths)- Mhari himmat khatam ho gayi hai, ab aur na lada javega mhare se. Aap bahut achchhe dost ho kartik, par ab aapko bhi ye ladadi chhod deni chahiye ab iska kuchh na ho sakega.

Kartik (shakes his head)- Galat bol rahi ho tum, abhi to sirf shuruat hui hai. Tum abhi se haar maan logi? Ye ladai us din khatam hogi jab vo shakhsa salakhon ke peechhe hoga jisne tumhe is jhoothe case mein fansaya hai. Aur us din ka intezaar tum aisee rote-dhote nahi kar sakti (wipes her tears) tumhein fir se himmat karni hogi aur cheezon ko unke anzaam tak le jana hoga. (moves back, looks elsewhere) Aur iske liye pehle tumhein apna dhyan rakhna hoga, to khana. 

She nodded and he moved the plate to the bed. Sirat ate few morsels before pushing the plate away while shaking her head.

Sirat (throaty voice, tear-filled eyes elsewhere)- Mhara pet bhar gaya.

Dor Jo Na Toote (Sloth Updates)Where stories live. Discover now