Hey guys...
Enjoy this part...😊
.............................................................
It's after dinner time now. Karan was on the terrace area and he called Faizi.
On the call,
Faizi - Kya janaab, pehle hi din hume kaise yaad kar liya? Aapko to vaha ki vaadiyaan enjoy karni chahiye. Hume kaise yaad kiya, batao....!!!
Karan (Irritatingly) - Tu chup marega to main kuch boluga na Saandh. Ruk ek minute....
He called another person and connected him on the conference call.
On the call,
Karan - Kaha hai be tu?
Person - Jaisalmer me posting mili hai abhi - abhi. Tu aur Faizi kaha ho, bro???
Faizi - Humari posting Delhi headquarters me hui hai. Lekin Siddharth tum sudhroge nahi na?
Sid (Mischievously) - Are agar main sudhar gya to tum jaiso ko kon bigadega???
Karan (Irritatingly) - Tum dono meri baat sunoge?
Sid - Kya ho gya, bro? Tu pareshaan kyu hai?
Karan (Taking a deep breath) - Vo yahi hai guys...!!! Monami yahi hai.
Faizi - Tumhari vo rescue party???
Sid - Noway...!!!
Karan - Haa, vo yahi hai. Mere sath posted hai yaha. (With a broad smile) "Captain Dr Monami Mahajan" hai vo ab.
Sid - Woh...!!! Captain n all hun...!!!
Faizi (Mischievously) - Janaab kahi aapse inspire hokar to Army nahi join karli unhone???
Karan (Irritatingly) - Main itna bhi mahaan nahi hu, jo vo mujhe follow karegi. (Smiling sadly) Vo doctor to already thi hi but jab usne khudko bachane wale soldiers ko apni jaan dete hue dekha aur vo unhe nahi bacha pa rahi thi as a doctor, to usne socha ke yahi ek tarika hai hum jaise soldiers ko bachane ka.
Sid (Smiling broadly) - Woh...!!! Kafi heavy character hai teriwali ka to boss...!!!
Faizi - Karan, tumne unhe bataya apne baare me?
Karan - Nahi, abhi nahi bataya hai. Main chahta hu ke agar vo mujhse pyaar kare to vo out of gratitude nahi hona chahiye. Isliye main pehle use mujhe janne ka mauka duga. Mujhe janne ke baad agar vo mujhse pyaar karti hai to thik hai, main use humare atit ke baare me bata duga, varna ye baat hamesha ke liye mere dil me hi dafan rahegi.
Sid - You're right, bro. Use tumse pyaar karna chahiye, isliye nahi ke tumne uski jaan bachayi but isliye ke vo tumhe as a person ache se janti hai.
Faizi - Hum bhi tumhari baat se agree karte hai, Karan. Tum jo kar rahe ho, sahi kar rahe ho. Hum dono tumhare sath hai.
Karan was going to say something but at that very moment, a person entered inside the terrace area and said....
Person - Oh... I'm sorry mujhe nahi pata tha ke aap yaha hai. Main kahi aur chali jati hu.
Karan turned around and saw Monami there. He said...
Karan - Are it's okey. Main bas apne dosto se hi baat kar raha tha, Doc. Aap yaha bilkul aa sakti hai.
She thought about something and said...
Monami (Smiling at Karan) - Sir, aap apne dosto se baat kariye, main abhi thodi der me vapas aayi. Please, kahi jayiyega nahi.
YOU ARE READING
MY SAVIOR (COMPLETED)
Short StoryHEY GUYS... HERE'S THE NEW IDEA... YEH ORIGINAL STORY SE BAHOT ALAG HAI. ISME BAS EK SIMILARITY HAI, HERO - HEROINE KA ARMY ME HONA... TOO KNOW MORE, READ THIS STORY AND GIVE ME YOUR REVIEWS DEAR READERS...😊😊❤️❤️