Haseena look once to Karishma, who seated on bed edge, showing her back to her, she says with soft tone- coco ek baar baat toh kar sakte hai hum..
Karishma not look to her & says with stern tone- aap humari corny nahi hai, agar hoti toh woh humse itni badi baat chupa hi nahi sakti thi, aur aapna ab natak karna band kariye, kya hai na, humein samjh aa chuka hai, ke aap yaadash ke saath, saath humra pyar bhi bhool gayi thi, aur woh sab baatein bhi aapne jhoothi boli thi, yeh humein maan liya hai, aur..
Haseena getting up from the chair & says with irks tone- bas kariye aap, aur humari baat ko na ek minute ke liye hi sahi shanti se sunn lijiye, please..
Karishma sigh with anger, & Haseena comes to near her, & asked with soft tone- jitna humein yaad hai, uss hisab se aapka aur aapke papa ka rishta bahot hi jaada kharab tha, ek uss waqt tak, jaha tak unnhe unnki khud ki beti ke baare mei pata nahi tha, ke woh kis daur se gujar rahi thi, aur uss sab ke piche kon tha, lekin jab unnhe pata chala toh, wahi the jihone aapko samjha tha, aur unnki har ek kiye ke liye maafi bhi mangi thi, haan hum mante hai, unnhone humare saath jo kuch bhi kiya woh galat hai, lekin yeh baat humein baithkar bhi sulja sakte the..
Karishma asked with cold tone, & she seat on bed edge- aap uss hadse mei mar jaati toh..
Haseena numb by the question of Karishma, Karishma continue- boliye, aap mar jaati toh, chaliye, yeh sab chodiye, hum aapki jagah hote aur humare saath aisa kuch hota toh aap kya karti, tabhi aap yahi karti, unnhe aap jaane deti aur hum doono ka rishta jaise abhi aapne dav pe lagaya hai, waise hi dav par lagne deti, boliye..
Haseena kneeled down infront of Karishma & says with clam tone- coco hum sab kuch samjh rahe hai, aapki saari baatein hum samjh rahe hai, aur hum maan bhi rehe hai, ke humein galati ki hai aur usse sudhara bhi nahi jaa sakta, iss baat ko hum maan rahe hai, lekin ek baar humein samjhne ki koshish kariye..
Karishma sigh & says- nahi samjhna hai humein, aur jitna hum samjhne jaate hai, ussmei hum khud ulajh jaate hai, yeh sochkar ki, ek pal ke liye hi sahi aap thik ho, aapni jagah, aur aapki soch bhi, lekin dusre hi pal humein na uss din ka ehesaas ho jaata hai, aur hum na uss baat se aaj tak nahi ubhar paaye hai, aur aap keh rahi hai, ke humein woh sach nahi pata hona chahiye tha, kiu, haan, kiu aisa nahi hona chahiye tha, aap hi kehti hai na, insan ko jazbaaton se samjhna chahiye, usse aapne kiye par pachtava hona chahiye toh humere liye unnke kiye ka pachtava, unnki saaja hi hai, aur sab kuch jaante huye aapne sab sach chupaya hai, aur yeh galat baat hai..
Haseena shook her head & says- humein bas aap doono ka rishta bachne ke liye baat ko chupaya..
Karishma says with soft tone- aur humein bhi rishta bachne ke liye unnhe saaja bhugtne ke liye bhej diya, aur aisa nahi ke humein unnke saath baat nahi ki, hum unnke samne baith aur baat ki, aur unnse kaha bhi, ke unnki beti unnke saath hi rehngi, lekin iss baat ki saaja jab tak unnhe nahi milti tab tak toh unnhe aapni beti se dur rehna hi hoga, aur unnhe saaja pasand hai, lekin humse duri nahi toh yaha par rishta baccha hai, naa ke toota hai, aur aapne jo baat chupane ki baat ki hai na, usse hum doono ka rishta dav par laga hai aur aise mod par aa kar ruk gaya hai na ke hum usse tod bhi nahi sakte aur sawar bhi nahi sakte hai, itna vishwas gava chuki hai, aur aap agar ab galati se bhi kabhi humein bolegi ke aap kuch sach bol rahi, tab bhi humein na yakeen nahi hoga, itni badi baat aapne ki hai, aur chahte hai ke na yeh ab rishta toot hi jaaye, aap hi bolti hai, agar kis baat par vishwas na ho toh usse duri hi rakhni acchi hoti hai, toh humein duri chahiye..
Haseena cut Karishma in mid & says with soft tone- aur humei yeh duri khatam karni hai, hum doon ke beech ki, hum nahi reh sakte hai aapke bina, yeh baat aap acchi tarah se jaanti hai, aur phir bhi aap yeh sab kuch bol rahi hi, aur humein yeh galati ki hai yeh baat hum maan rahe hai aur saath mei yeh bhi keh rahe hai, ke humein saaja dijiye aur lekin yeh chodkar jaane ke baat mat kariye, jaise aapko humara dur jaana pasand nahi hai, waise hi humein aapne banayi huyi yeh duri pasand nahi hai, humari saasein na aapse judi hai, agar aapne kuch waqt ke liye hi sahi, aap samne nahi hoti hai na toh humein bechaini hoti hai, aur hum kahi par bhi dhayan nahi de sakte hai..
Karishma chuckle & says- accha, iss liye aap humein aapne paas rakhna chahti hai, iss liye aap humein, kya baat hai, gajab & she getting up from the bed..
Haseena close her eyes in disappointment & Karishma says- yahi baat hai, aap mei aur humari corny mei, aap matlabi hai, bas jo aapko thik lage wahi karti hai, aur samne wale ke baare mei ek baar bhi nahi sochti..
Haseena says with soft tone- aisa nahi hai..
Karishma turn to Haseena & asked- aapne jhooth bola tha na woh sab, humare janam din ke din, aapne meherbani ki thi na uss din, woh diary padhkar..
Haseena says with helpless face- aisa kuch nahi hai, humein jo kuch bhi kaha tha woh sab kuch sach tha, aur hum aapse sach mei pyar karte hai..
Karishma shook her head & says- jhooth lag raha hai, aap jo kuch bhi bol rahi hai, woh saari baatein humein jhooth lag rahi hai, & she walks towards the balcony..
Haseena down her shoulders with helpless face, she look Karishma with brim eyes..
Next Part:
"kaha par lekar jaa rahi hai aap humein"
"chup rahiye warna hum bhool jaayenge ke hum kon hai aur aap kon hai"
"pehle aap gadi ki speed kum kariye"
"nahi karnge"
YOU ARE READING
Maddamsir: Kabhi Pyar Kabhi Takkrar
Short Storyit's pure imagination story, to know more, start to read, hopefully with the smile..