THE END?
HM gets emotional looking at the place but later, handles herself.
.
HM- Chaliye ab yahan se.
.
KS- Kahan
.
HM winks and they both drove to Chai tapri, where Karishma agrees to solve a case with MS for the first time.
.
KS- Haan, yeh jagah, humara pehla case. Chai piyengi aap?
.
HM- Chaliye aakhiri chai aapke naam.
.
KS takes two cups and hands one to Haseena.
.
HM- Do saal baad hum yahan ki chai pee rahe hai, bilkul swaad waisa hi hai.
.
KS- Kuch cheeze kabhi nai badalti MS.
.
HM- Acha kaise?
.
KS- Jaise humara aur aapka rishta. Ladte hai, chidhte hai, par ek dusre ke bina reh nai paate.
.
HM- Reh lenge
.
KS- Nai, reh paayenge
.
HM- Par ab kya fayda
.
KS- Aap humari baat toh suniye, beech mai boli jaa rahi hai. (Irritated)
.
HM- Hehe sorry.
.
KS- Aapko jaanna tha na, hum kahan jaa rahe hai.
.
HM stands and excitingly
.
HM- Aap hume bta rahi hai 😃
.
KS- Ji, woh kya hai na, aapki maut ke baad hume pta nai tha, hum kya karenge, kaise sab kuch handle karegne, yeh thana ko aapki maut ko, toh humne bholenath se maanga ki hume aapke kaatilo se bas ek baar saza dene ko mil jaaye hum fir Banaras jaayenge. Aur iss liye hum yahan se jaa rahe hai.
.
HM- Thik hai wahan apna dhyaan rakhna.
.
HM was going toward the car, but Karishma holds her hand and drags her back.
.
KS says nothing and hugs her tightly
.
KS whispers- Hum aapse bhut gussa hai MS.
.
HM- Hum jaante hai.
.
KS- Nai aap nai jaanti ki hum aapke resignation, ki baat jaan chuke hai.
(Breaks her hug and stands with a serious face)
.
HM- Aapko kaise pta chali?
.
KS- Buddhu (pushes her head) aap ko jagah bhi bag mili thi chupane ke liye. Jis din aap hume pool mai dhakka di thi, Uss din...Flashback
.
KS- Maddam Sir, humari baat kahe nai smajhti. Huh!
.
KS goes to the bag and tries to take out her clothes, then she notices, there is paper folded in an envelope.
.
KS- Ama ihh kaa hai?
.
KS removes the Letter and reads it, she was shocked as hell, this was unexpected for Karishma. The letter has Haseena's resignation letter.
.
KS (tears)- MS humare liye itna bada balidan dene jaa rahi thi. Hum topa hai ek number ke.
Nai hum MS ko yeh sab nai karne denge. Sabse pehle toh yeh paper ko udana hoga.
.
KS burns the paper and goes into the room still in shock.
.
KS- Maddam Sir (tears)
.
KS calls someone, that person is non-other than the ticket broker.
.
KS- Dekhiye hume wapasi ki ticket karani hai ho paayegi?
.
Receiver- Yes mam, aapne jo kaha toh woh ho jayega, mai confirm kar dun?
.
KS- Ji aap confirm kar dijiye.
.
R- Kab ki mam?
.
KS- 8 April, ho payega?
.
R- Ho jayega mam, are you sure mai yeh date confirm kardun? Kyuki wapas agar aapka mind change ho gaya toh bhut problem ho sakti hai.
.
KS- Hum KS hai, ek baar kisi cheez ko than lete hai, toh aandhi aaye yaa toofan hume farak nai padhta. Samjhe?
.
R (scared) - Ji mam maine confirm kar diya. Thank you for calling. (cuts the call)
.
Flashback ends.
.
KS- Toh any explanation Miss Mallik?
.
HM- Hume nai karni hai yeh naukri, hume pta tha agar aap jaanegi yeh baat toh hume kabhi chodhne nai dengi. Isliye yeh baat chupayi aapse. Hum karte bhi kya, humare apne jo jaa rahe the yeh naukri se. Na toh ammi ko time de paa rahe the, na khud ko. Aap sahi keh rahi thi, 9-5 naukri karo, sab theek ho jayega. Aur humse nai ho payega aapke jaane ke baad koi case solve karna. Hume toh abhi bhi ghootan se mehsos hoti thi. Sochiye aapke jaane ke baad aapki uss khali chair ko dekhna. Aap bhut strong thi jo kar li, par humse kabhi bhi nai ho payega. Kisi din aapki jagah wahan koi aur baith jaayega. Hum nai dekh sakte woh. Hum toh aapko chodh ke kisi aur ko wahan imagine bhi nai kar sakte. Aap humare liye itni important ban chuki hai. Yeh baat toh aapko bhi nai pta. Aap chali jaayengi fir hum chale jaayenge. Naukri chodh ke. Koi dusri naukri karenge, jahan hume aapki yaad bhi na aaye (tears).
.
KS- Afsos ab aap naukri nai chodh sakti. Aur agar aap naukri chodh di toh humara kya hoga?
.
HM- Kaise? Matlab?
.
KS- Matlab hum jab wapas aayenge Vacations se, tab aap hi nai rahengi, toh hum bhi naukri chodh denge.
.
HM- Kya aap bhi humare Zajbaat ke saath khel rahi hai, Karishma.
.
KS- Pehli baat toh Miss Mallik aapne yeh naukri, yeh wardi, apne liye pehni, aur aapko bhi koi hakk nai hai isse chodhne ka. Dusri baat hum aapko kabhi aisa karne nai denge.
Haan Jeet gayi thi humari ego, humara gussa, par jab dekha na, aapko apni behad keemti cheez sacrifice karte hue, hum haar gaye. Apne gusse se, apni ego se. Aur iss baat se humko koi dukh nai hai. Aur rahi baat transfer ki, ussse humne kabka exchange kar diya tha. Aap puri topa hai, aise koi karta hai kya?
.
HM- Toh aap wapas aayengi? 😃
.
KS- Aapke pyaar ne kheech hi liya humko.
Aur waise bhi pakk gaye the thana chalate chalate, ab aap sambhaliye unm baikati ke bhandar ko. Hum kuch din aaram karenge, aur humari mannat bhi toh puri karni hai..
HM hugs her tightly and kisses her hair.
.
HM- Thank you. Hume samaih nai aa raha hum, kaise,. kya bole. Aapne humari jaan hi bacha li Karishma. Thank you.
.
KS- Bas Bas Maddam Sir. Itne Jazbaati nai hote. Ab humare jaane ka samay ho gaya hai. Chale?
.
HM- Ji Chaliye, par usse pehle yeh.HM takes out the band and ties it again on her wrist.
.
HM- Ab aap isko nikal ke dikhaye, humare bhaukaal se rubaru ho jayengi aap.
.
KS- Bilkul bhi nai.
.
HM- Ek aur baat,
Love You Karishma Singh, and I am very proud of you.
.
KS- Love You Maddam Sir.
(Hug🫂😃❤️🤌)
.
Airport
.
KS- Apna dhyaan rakhiyega, aur amma aur ammi ka bhi.
.
HM- Arrey aapne unhe bataya nai hai ki aap wapas aayengi. Unko bhi bta dijiye.
.
KS (awkward) - Woh, Maddam Sir. Woh... Hehe... Woh unko pta hai ki hum bas kuch dino ke liye jaa rahe hai. (Says in one go)
.
HM- Kya? Waah. Yeh sahi hai. Abhi hum unki khair lenge jaake.
.
KS- Hehehe, PJ ko pta chal gaya tha, aur aap toh jaanti hai pura duniya ko dhindora peet diya tha unhone. Woh toh acha tha aap bahar gayi thi.
.
HM- Yeh aapne bhut bura kiya Karishma Singh,bye I hate you 😤.
.
KS- Sorry, hehe.
.
HM- Abhi aapko late ho raha hai, aayiye aap, wapas tab badla lete hai. Huh!
.
KS- Bye, Sabka dhyaan rakhna, aur apna bhi. Aur aap abse humse koi baat nai chupaneyegi, thik hai?
.
HM- Thik hai baba, bye.
.
KS goes inside the Airport leaving Haseena alone.
She receives a text from Karishma.
.
KS- I will Miss You. 🥺
.
HM- Aww Drama Queen, Miss you too, ab jaiye jaldi.
.
KS- Aap toh hume bejhne mai padi hai.
.
HM- Ab jab aapko wapas aana hi hai toh jaldi jaaiye na.
.
KS- Thik hai bye, saath toh aapko bhi le jaana chahte the, par thaane ke chakkar mai kahan ho payega.
.
HM- Koi nai, humne bhi S.H.O Haseena Mallik ko bhut miss kiya hai. Ab hum duty karenge, woh bhi Jazbaat ke saath.
.
KS- Bye 😊
.
HM laughs
.
HM- Ji bye.
.
HM goes back to MPT.
.
THE END.
........
So, khatam, Thank You for your amazing reviews, you all have motivated me a lot. Well, maine story kuch alag tarah se decide ki thi, but you all know boards. 🥲👍. Will be back with another story. (Ho paaye toh, isme hi band baj gayi thi). Have a nice day. Enjoy. Keep watching Maddam Sir at 10 p.m.
आप पढ़ रहे हैं
Scarred Loyalties: A Friend's Betrayal
FanficThe story is about Karishma who has been betrayed by her Brother And Her Best Friend. She has lost hope and Trust is something that kills her inside. She has started hating them since that day. Will Haseena try to bring back the Karishma or they wil...