I Can't

1.2K 84 5
                                    

( Bhailog not gonna upload for a week, so here you go with another part, so broo enjoy)

Remember Kayamat's room, where
Karishma used to practice her strength? Imagine Karishma is in that room and boxing.
.
KS-(in mind) Maddam Sir wapas aa gayi hai, humari Haseena Mallik (tears of Happiness) par unhone aisa kyu kiya? Unhone ne humpe kaise shakk kar liya? Unko nai dikha kya, humari dosti, humari chinta, hume lagta tha, (pauses) lagta hai ki iss shrishti mai koi humpe humse bhi jayda bharosa karta hai toh woh MS hai. Par itna sab ho gaya, hume bhanak bhi nai hui. Hume unse ek baar toh puchna hoga ki aisa kya avastha thi jo woh iss kadam mai aa gayi. Kyuki jitna hum MS ko jaante hai, woh kabhi bhi galat nai karengi. Hum unse dur toh honge par ek baar yeh wajah sun ke.
(She continues exercising when her phone beeps, she goes through her mails and finds Hassena's voice mail)
She plays it-
HM- Ab aapne toh humko har jagah se block kar diya hai( laughs) par humme aapko dhundh liya hahaha, kitna naraz rahengi aap?
(KS was going to pause the mail)
Nai nai nai, pause mat karnaa pleaseeee,
(KS gets scared and checks whether HM is hiding somewhere)
Hume pta hai aap humse gussa hai, par kab tak Karuuuu!!! (KS again gets jhatka, and she slightly smiles but again remembered the betrayal)
Dekhiye HUMNE AAJ TAK NAI KAHA, PAR AAJ KEHTE HAI, HUM TUMKO NAI KHO SAKTE KARISHMA. TUMHARI DOSTI HI HAI JO HUME KHSUH RAKHTI HAI. PLEASE STOP THIS. AAPKI DOSTI HUMARE LIYE BHUT MAYNE RAKHTI HAI.
Hume ek baar apni galti theek karne ka mauka dijiye Please. Aaj hume aap duty ke baad ghar mai miliye, phir hum aapko kabhi nai rokenge. Please Karishma, ek mauka toh sab deserve karte hai na? Hum aapka intezar karenge. Kyuki hum jaante hai aap jarur aayengi. Karishma Singh,(pauses) I, (pauses) You are the best thing ever happened to me. Thank you.
(KS smiles a bit and replies)
.
KS- Aapko itnezaar nai karna chahiye, aapki tabiyat kharab hai aaram kijiye, aur humne aapko idhar block isliye nai kiya kyuki PROTOCOLS hai.
.
HM- (Immediately sees the mail and smiles like anything, atleast her best friend replied, and even in care.) Ohh Protocols, aapko nai pasand naa hum har waqt protocols mai rahe, toh hum nai rahenge. Abse hum  apni personal life aur professional life manage karenge, uske liye aaj aapko aana hoga. Aap aayengi naa?
.
(KS leaves her mail on seen)
.
HM was hella excited and nervous, kya hum fir ache dost ban paayenge, kya woh hume maaf karengi, kya unka gussa shant hoga, sab kuch HM ke dimag mai ghum raha tha.
(Case nai tha solve karne ko isliye xd)
.
Finally, it was night, and Hassena was waiting for KS.
KS knew HM is stubborn so she had no option left instead to arrive at her home.
.
KS knocks the door,
.
HM opens the door as quickly as possible and sees Karishma.
They share an eye lock and HM gives a nod to Karishma.
.
KS- MS aab hum andar aa sakte hai?
.
HM- Sorry ji, aaiye, woh actually aapko dhang se dekh nai paa rahe the kuch hafto se isliye. (Bites her tounge)
.
KS - hmm, dekh toh hum bhi nai paaye the bhut kuch, par dheere dheere sab pta chal gaya.
.
HM avoids the taunt, but it did hurt her.
.
HM - Aap kuch khaayengi?
.
KS- Ji nai, humara man nai hai. Dhanyawad.
.
There was an awkward silence between them for two minutes.
.
HM- Aap kuch khaa lijiye Karishma, aapko bhookh usually iss waqt lagti hai.
.
KS- Kamal hai naa maddam sir, aapko humare baare mai sab pta hai, par yeh nai pta ki aapne hume kitni choth pahuchai hai.
.
HM remains silent for few sec then speaks.
.
HM- Aap please hume Maddam Sir bulana band kariye, hum off duty hai abhi, kya protocols, hum khana laate hai.
.
She gets up, but KS holds her hand.
.
KS- Kyu kiya aapne yeh sab?
.
This was end of HM's patience and she shouts.
.
HM- Karishma aapko kaha na ek yeh sab humne majburi mai kiya, aapko kitni baar samjhaye, hume bhi shak nai ho raha tha par ek din, humne aapko phone mai kisi se baat karte hue suna, tab hume shak hone laga isliye hum investigation kar rahe the. Aur kya explanation chahiye aapko?
.
KS- Konsi baat, hum jaan sakte hai?
.
HM- aap kisi se keh rahi thi ki
Flashback
"Ek kaam dhang se nai hota hai tum logon se, uss waqt itna acha mauka tha aur tum dono topa ne haat gawa diya, tum milo abhi hum tumko zinda nai chodenge".
.
KS smash her head with her hands and tells
.
KS- Ama woh, aapko (tears), nai rehne dijiye.
.
HM- Karishma, tajurba kehta hai humara, kabhi bhi dil mai khaleesh liye nai chalna chahiye, kya pta kab woh toofan ban jaaye.
.
KS- Toofan toh ab bana hai, woh do topa log, humare khabri the, jo aapki maut ke baad Mira kahan gayi woh pta nai laga paa rahe the, agar hume pta chalta Mira, woh hardisk le ke kahan gayi hai, toh hume thoda lead milta, par woh usse nai track kar paa rahe the, isliye humne unko dhamki di thi.
(KS slowly claps)
Waah Maddam Sir, ek baar puch liya hota.
Hume lagta tha iss pori shrishti mai hume, humse koi jayda jaanta hai, toh woh hai aap Maddam Sir, aur aapne hume itna bada shaak kiya, arrey jis insaan ke maut ke baad humara wajood chala gaya ( pauses and HM looks at Karishma with teary eyes), woh, woh humpe itna galat aarop laga diya. Maan gaye aapko MS.
(KS again slowly claps)
.
HM stands their as statue because she knows how big blunder she has made. How KS would be feeling now.
.
KS- Joothi hai MS aap, joothi, aap ne kaa kaha tha, choth kisi ek ko lagti hai dard dono ko hota hai, par yahan toh aisa kuch nai hai.
.
HM- Humse ek aur galti ho gayi KS, please hume maaf kijiye. Par jab ab sab clear ho gaya hai, toh firse hum dost bane.
Karishma Singh kya aap hume bardaash karne ki shakti rakh sakti hai
(Forwards her hand)
.
KS - Nai humne pehle bhi kaha hai, ab hume koi dost nai chahiye, na koi behen jaisa rishta, yeh aapka band jo Urmi ban ke aapne bandha tha, aapko Mubarak ( places the band on her hand).
Aapne hi kaha tha naa,
Bhut behisaab hoti hai dosti, par muktasar kuroor apne wajood ka bhi karlena, ki kabhi dekhun aayine mai, tu, tu hi rahe, mai, mai hi rahun.
Hum aapko nai maaf kar paayege. Chalte hai JAI HIND.
.
HM- Hume samajh nai aa raha aap itni choti si baat ke liye itna overreact kyu kar rahi hai?
.
KS- Hum overreact kyu kar rahe hai?
Maddam Sir, chaliye aaj hum batate hai humne kya kya saha hai aapke bina. Jo do aakhon se dikhta hai, kabhi kabhi usse jayda kuch ho jaata hai, aur humne uss din 20 February ko apna wajood kho diya tha, humne apne dost ko khoya tha, humne ek aise insaan ko khoya tha jispe hum aakh band kar ke bharosa karte the. (Shouts)
Aapko pta hai Maddam Sir, aapke jaane ke baad hum kaise sambhal rahe the sab, ghar ko thane ko. Lalla ko hum time nai de paate the, phuspa ji ke saath hum reh nai paate the, khaana aur neend kya hoti hai hum bhool hi chuke the. Sab kuch daba hua sa tha. Aur aap saamne reh ke bhi, hume aisa dekhte hue bhi, chup thi? Khadi thi hum pe shak karte hue. Hume zayda dard iss baat se nai hua hai ki aap zinda thi aur hume nai batya, haan thoda se gussa aaya, par samajh sakte the, par jab aapne kaha ki aapko hum shakk tha, humari puri duniya hil gayi. Agar aapne humari baat suni thi, toh ek baar cross check kar leti. (Cries)
.
HM sees KS is crying and hugs her, KS was in no power to stop HM this time. She just cries hugging her, venting out all emotions she was feeling since a month or two. HM was in deep guilt, and hardly tries to speak.
.
(Bhailog, yahan tum log BGM mai woh Bandeya song hai naa, sun lena yaa imagine kar lena okay, thenkss)
.
HM- Karishma... I am sorry. Humne maante hai humse galti hui hai. Par agli baar hum aisa kuch nai hone denge. Hum maante hai Karishma, humse galti hui hai, par please hume aap chodh ke mat jaaiye, hum aapko chodh nai sakte hai. Mumbai mai bhi humare liye yeh sab bhut mushkil tha,(smiles) hum toh har waqt aapke, santu, cheetah aur PJ ke baare mai sochte rehte the. Hume aap sab ki bhut yaad aati thi, aur asli sukkon toh hume tab mila jab hum aapse aur PJ se mile. Woh tamatar yaad hai, aapko tamatar phekne ke baad hum anadar naach rahe the. Karishma humare liye yeh sab aasan nai tha. Aur humari team pe shak karne ke liye hum bhut sarminda hai. Hum aapko kitni baar bole, aapko hume jo saza deni hai de dijiye par please Karishma hume chodh ke mat jaiye, hum already do mahine se sab kho rahe hai. Ab aur nai please. I can't loose you KS. I Can't. Aap chahti thi na hum Protocols aur formality chodhe, aaj hum sab chodh ke bolte hai, Karu, aap humare liye bhut keemti hai, bhut khaas, aap woh insaan hai jisne hume dosti mai yakeen dilyaya, pyaar se toh uth chuka tha, par humare toote dil ko bhi aapne hi theek kiya, you have healed me in my hardest times. Haan humare jhagde bhut hue, par, usme bhi alag maza tha, kyuki hume pta thaa, ek baar toh aapko aana hi hai. Par ab hume nai lag raha aap aayengi wapas. Aapko humne bhut tang kiya na, hum sab theek karne ki koshish karenge, aur theek bhi karenge, please hume mauka toh dijiye.
.
KS realises that she is hugging HM since few minutes, and she leaves her.
.
KS- Aapko jo bolna tha aapne bol liya ab hum chalte hai, aur haan humara char din baad ka ticket hai, toh please humara trasfer application valid kijiye. Chalte hai MS, JAI HIND.
.
HM closes her eyes and nods negativity, she pummelled  the bracelet.
( thinking- Itni koshish ki tab bhi kuch nai lagta hai ab hume alag hona hi hoga)
.
HM- Suniye, jahan jaayengi khush rahiyega, I, I love you Karishma Singh, thank you for being with me. Aur agar aap koi musibat mai pade toh yeh zarur yaad rakhna aapka yeh dost haemsha aapke saath khada hai.
.
KS goes from there with tears in her eyes.
.
KS again goes to her Kayamat room. And starts boxing.
(KS thinking)
Kaa hume sachi mai MS ko ek chance dena chahiye? Nai hum nai karenge, unhone humse humara bharosa toda hai. Par unko hum dard mai kaise rakh sakte hai? Jaise unhone rakha tha hume. Par uss waqt bhi MS thi humare saath Urmi ban ke toh hum kaise chodh de? Agar rehna hi tha toh Urmi kyu thi sach bta deti. Par unhone duty ke liye kiya jo kiya, agar hum rehte toh kya karte? Unko sach toh zarur bta dete. Unhone hume use kiya hai. Humara istemaal kiya hai. Aur yeh hi sach hai. (Her mind and heart were fighting the battle and she was not able to come in any conclusion)
.....
.
4 days later
.
KS- MS hum chaltey hai, amma ka dhyaan rakhiyega, aur apna bhi. Jai Hind.
.
HM- Jarur, Jai Hind .
.
KS  goes inside the airport, leaving Haseena alone.
.
The End????
......
.
(Well actually I am thinking to stop this story as I am going to be busy for a week, tell whether you will wait or should I end this in hurry? )

Scarred Loyalties: A Friend's Betrayal जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें