Aakhiri Din

929 100 6
                                    

KS comes to the room and calls someone.
.
Receiver- Yes mam, aapne jo kaha toh woh ho jayega, mai confirm kar dun?
.
KS- Ji aap confirm kar dijiye.
.
R- Kab ki mam?
.
KS- 8 April, ho payega?
.
R- Ho jayega mam, are you sure mai yeh date confirm kardun? Kyuki wapas agar aapka mind change ho gaya toh bhut problem ho sakti hai.
.
KS- Hum KS hai, ek baar kisi cheez ko than lete hai, toh aandhi aaye yaa toofan hume farak nai padhta. Samjhe?
.
R (scared) - Ji mam maine confirm kar diya. Thank you for calling.(cuts the call)
.
KS- Ab jo hua ho gaya, aagey sab hum pe chodh dijiye HM (smirks)
.
HM enters the room and looks at KS with disappointment.
.
KS- Dekhiye MS humne aapko maaf kiya.
Haseena smiles widely.
.
HM- Toh aap nai jaa rahi?
.
KS- Nai hum jaayenge. Maaf kiya woh kaafi nai hai?
.
HM- haan kaafi hai. Thank you.
.
KS- Koi baat nai abhi so jaate hai kal thaane ke liye nikalna hai.
.
HM- Ji jarur.
.
KS and HM ab swimming ki wajah se thak jaate hai so they sleep early.
Next day they go back to thana. Unki journey bhut hi silent hoti hai, kyuki aaj Karishma ka Aakhri Din hai
.
After the duty hours Karishma goes to her house for packing. After packing the luggage she goes to Haseena's house, HM was unaware that KS has entered the house. KS sees HM hugging and crying looking at a photoframe. After a while she sees that the photo is of Karishma and Anubhav. Two people HM loves unconditionally. Even though they have broken her heart several times.
.
KS thinking - Roothe hai khud se hi, dost se naraz ho ke, tode hai khud ko hi, dosti tod ke.
.
She again goes out of the room and rings the door bell. HM wipes her tear quickly and keeps the photoframe on the cabinet and goes out.
.
HM- Karishma packing ho gyi?
.
KS nods and comes inside.
.
KS- Ji ho gayi, kal raat ke 8 baje ki flight hai.7 baje tak nikal jaayenge.
.
HM- Aap kahan jaa rahi hai, atleast inta toh bta dijiye.
.
KS- Jaan ke kaa kar lengi MS ab koi fayda nai hai, hum jaa rahe hai. Hume khushi Khushi ravana kijiye.
.
HM thinking -  Tajurba kehta hai humara, dard ke liye sirf mohabbat zimadar nai hoti, dosti bhi bhut dard deti hai agar dil se ho jaye toh.
.
HM -  Karishma agar humse dur jaa kar tum khush ho (tears) toh hum dua karenge, hum aapko kabhi mile hi nai. (Goes to the room)
.
KS goes to the kitchen and serves food for them. And then goes to the room and Haseena  comes out of the washroom.
.
KS- Ammm... Khana khaa lijiye. Aapko bhookh lagi hogi.
.
HM- Wow, kitni parwaah hai aapko humari.
.
KS ignores the taunt and keeps the plates on the side table. And she sees Haseena's hand was bleeding.
.
KS- Maddam Sir aapka haath.
.
HM- Kya hua humare haath ko? (Looks at the injured part) Ohh yeh,
.
KS brings the kit and treats the injured part.
.
KS- Aapko yeh kaise lagi? Aur aapne hume bataya kyu nai.
.
HM- Relax Karishma yeh accident ki chot hai, kabhi kabhar isse khoon nikal jaata, hume toh ab aadat ho gayi hai (sighs).
.
KS- Maddam Sir aapka dhyaan kahan rehta hai, agar hum abhi nai dekhte toh yeh na jaane kitni der tak aise hi khoon nikalta. Aapko apna dhyaan rakhna chahiye (shouts).
.
HM- Uske liye aap hai naa, jaise aapne hume MiRa se bachane aa gayi thi, jaise aapne yaad hai haldi ka pati humpe attack karne wala tha aur aap aur santosh ne kya hero wali entry ki thi. Tab bhi toh aapne bachaya tha hume, Mission Jeet mai hume maut ki ghaat utarne se bachaya tha. Aur abhi humari chot ko dekh liya. Aap nai hongi toh pta nai humara kya hoga. Aap rehti hai toh hume apni life ka koi dar nai hai. Kyuki humari dabbang SI hume turant aa ke bacha legi. Aapko humare dil ke inte bhi kareeb nai aana tha, Karishma. (Teary eyed) Hum na khuda se sirf ek hi baat puchte hai, kyu aapko humare inta kareeb laaye, hume dosti mai vishwas dilaya, jab hume dur hona hi tha. Hum aapke bina nai reh sakte. Aap humari favourite ban chuki ho. (As a kid)
.
KS- Favourite kaaa, toy? Toy ki tarah hi toh aapne use kiya hume, humari feelings ka mazak bana diya. Humpe shak kiya, dekha ki hum aapke bina kaise jee rahe the, tab bhi chup chap dekhti rahi. (Completes her bandage) Hum dosti se, khud se, aapse nafrat karne lagey hai. Dosti mai jitna dil tutta hai na MS, woh pyaar mai kabhi nai tutata. Aur rahi baat aapko bachani ki, aur yeh mahram patti karne ki woh humara farz tha.
.
KS goes out of room, HM wipes her tears and goes out.
.
HM- Hmm, Chupana bhi nai aata, Jatana bhi nai aata... (Sings)
.
HM sits beside KS- Chupana bhi nai aata, jatana bhi nai aata...
.
KS- Kaa matlab hai aapka?
.
HM- Matlab nafrat bolne mai aapko kitni takleef ho rahi thi, woh aapki tone aur expression se aaram se pta chal raha tha Karishma. Aur yeh bhi dikh raha tha, hume bandage lagate waqt, aapko kitna darr lag raha tha. (Chukles) Aap jitna bhi chupa lo, hume samajh mai aa jaata hai, aapke dil mai kya chal raha hai. Humne aapko hurt kiya aapne bhi hume kiya, ab hisaab barabar. Chaliye khaana khaiye, gusse ki raani, aur so jaiye kal duty ka (stops) aakhiri din hai.
.
KS Ji Chaliye.
.
HM and KS were sleeping facing opposite to each other. They were breathing heavily, usually when you are crying and don't want the other one to listen to it.
.
HM goes out of the room, karishma sees it and goes out after 5 minutes.
.
She sees Haseena crying sitting at the sofa. She comes and sits beside her and hugs her tightly.
.
KS- Shaant Haseena Shaant, hum hai naa abhi, shaant ho jayiye. Kuch nai hua hai. Hum hai abhi aapke paas. (Kisses her head)
.
HM- Kab tak? Kab tak, Karishma. (Places her head on her shoulder ) Mat jaiye na hume chodh kar. Itni badi saza bhi mat dijiye please. Anubhav chale gaye aur ab aap bhi. Kyu? Kyu jo humare kareeb aata hai, woh hume chodh ke chala jaata hai? Kab tak hum aise hi dard sehte rahenge. Jo aata hai dil mai jagah bana kar chala jaata hai. Sab apni marji ka karte hai. Humse koi kyu nai puchta, humare dil mai kya chal raha hai. Humare man mai kya ho raha hai. Zindagi mai aane ka faisla aapka, aur jaane ka bhi aapka? Sahi hai. Hum ek kathputali ban ke reh gaye. Itna Koshish kiya, tab bhi aapka gussa, aapka ego jeet gaya. Aap humse baat mai kariye chale jaiye yahan se. (Shouts)
.
KS- Amm... Hum chale toh jaaye par abhi 3 baj rahe hai.
.
HM- Ohh fir kal chale jaana
.
KS- par Kal toh thana jaana hi hai subah
.
HM- Thik hai ruk jaiye.
.
KS- Dhanyawad.
.
HM- It's okay.
.
KS thinking - Ama inko Santosh ne kaat liya kaa?? Gazab masumiyat dikha di inhone aaj.
.
HM- Aapko sona nai hai?
.
KS - haan par pehle aap Chaliye.
.
KS and HM try to sleep but it was impossible for both of them.
.
Morning
.
KS in thana
.
KS- Chaliye ab humara jaane ka samay aa gaya hai. Santu tum bhut achi ho kisi ki ( points at PJ) sangat Mai bigad mat jaana. Thik hai, (hugs her)
.
PJ- kisi ki se kya matlab hai aapka
.
KS - Woi jo aap soch rahi hai.
.
PJ- Hum bigadate hai logon ko, bigadti toh aap hai, logon ka din. Ek chay achi si nai banayi. Humare lalla ke toh bhagya foot gaye.
.
KS - Nai, matlab aapko sirf shuru hona hai, kahin bhi, kabhi bhi. Kitna overacting karti hai PJ aap. Chaliye apna dhyaan rakhiyega.
(Touches her feet)
.
KS- Aur cheeta tum, apne iss aasiq ko sambhalo, aur ab bta bhi do apne dil ke baat, warna hum tumko nai chodenge. (Pats his shoulder) Apna khayal rakhna thik hai.
.
KS looks at Haseena's cabin but to her shock, she wasn't there. She then hears horn  of a car. And finds Haseena there.
.
HM- Chaliye Maddam der nai ho rahi hai?
.
KS- Abhi 2 ghanta hai.
.
HM- Haan hai, par aapko ek jagah leke jaana hai, udhar aane jaane mai hi time chala jayega, ab chaliye.
.
HM takes her to the cafe where they officially became friends.
.
HM- Yaad hai yeh jagah.
.
KS- Hum yeh jagah kaise bhul sakte hai.
........

Scarred Loyalties: A Friend's Betrayal जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें