Aa Jao Na!

891 92 4
                                    

KS- Koi nai, idea aane tak enjoy karte hai.
.
HM "enjoy" word sun ke shock ho jaati hai, as it was the first time, Karishma was living the moment.
.
HM says nothing and hugs Karishma. As soon as she hugs Karishma, Hassena closes her eyes and hugs her freaking tightly as if she will disappear the next moment. This feeling was strange for her, but she chose to ignore it. Karishma stood like a statue. She was like, "abhi kya hua?" Because Haseena has hugged her many times, but this time it was different.
.
KS- Maddam Sir aap theek toh hai naa?
.
HM- Nai, bilkul bhi nai.
.
KS- Kaa hua hai boliye, hum hai aapke saath aapko (cups her face) aapko dukhi honi ki jarurat nai hai. Bataye kisne aapka dil dukhaya hai abhi dhar ke laate hai sasure ko. (Tensed)
.
HM removes her hand and again hugs her -
Kuch nai Karishma please hume thode dair aur aise rehne dijiye.
.
KS says nothing and keeps her hand on HM's back, as she was not sure how to react.
.
KS- Sab theek ho jaayega aap nischint rahiye. Aur ab hume thand lag rahi hai. Hum ek kaam karte hai woh towel hai usse le jaate hai.
.
HM- Nai, nai uski koi jarurat nai hai, woh humne... Hehehe woh humne kapde rakh liye the, bas aapke maze le rahe the. Haha.
.
KS stares at her and rubs her forehead.
.
KS- Aap bhi naa Maddam Sir. Lag hi nai raha hum SHO Haseena Mallik se mil rahe hai jisse hum do saal pehle se jaante the. Kahin yeh sachi mai Urmilla toh nai?(Teases)
.
HM- Yahin toh aap chahti thi, aur yeh jo Urmi hai na Karishma, woh hi sachi Haseena hai, woh Haseena jo abbu ke jaane ke baad ghum gayi kahin, andar hi andar ghut gayi thi. Yaad hai humne aapko batya tha hum backbencher the. Bas hum jo asal mai the tab the Karishma. Zimmedari ek bhut bada boj hai, aapse aapka apna astitv cheen leta hai. Maturity kuch nai bas ek dikhava hai. Insaan jaisa hai usko waise khush rehna chahiye, par hum inn bandhano mai bandh ke khud ko khone mai lag jaate hai. Par aaj jab hume khud ko wapas jeene ka mauka mila toh acha laga. And Thanks to you warna hum wapas yeh urmi urf Haseena ke character ko kahin ghuma dete par ab kya fayda. (Sighs) kyuki ab aap toh chali jayengi. Wapas koi apna dur ho jayega. Wapas hum khud ko kho denge. Par, Aap,(holds her shoulders)  jahan raho khush rehna. Jaisi ho waise hi raho, aur aagey humari yaad aaye naa, toh call mat karna, kyuki aapse baat kiye humara dil nai maanega, wapas aa jaana. Hum jaante hai aapko yeh sab abhi bhi dikhava lagta hoga, par humaare liye yeh sach hai. Aur yahi hai jo hai. Humari feelings aapke liye. Humara pyaar aapke liye.
.
KS cuts her.
KS- Aur Vishwas? Uska kya. Maddam Sir hum aapke feelings ki puri izzat karte hai, aur Bhole Nath se shukriya karte hai aapko humare zindagi mai bejhne ke liye. Par kya fayda Vishwas nai ho. Hume thand lag rahi hai hum jaa rahe hai.
KS goes out of the pool and takes her towel and goes. Haseena looks at her till she vanishes. And comes out.
.
HM- Wapas Aa Jao Na Karishma. Hum nai seh sakte yeh dooriyan.
She goes to the room for changing.

Scarred Loyalties: A Friend's Betrayal जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें