NO NEED TO WORRY

344 51 34
                                    

--------------

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

--------------

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*_*

Haseena was silently sitting beside Anubhav in the hospital room. She was silent for a long time. Anubhav understood that she was worried for him. He tried to make her mood lightened. He said,

AS: Jaana...

She looked at him and he continued,

AS: aapko nahi lagta hain ki aapko humse zara rumani baate karni chahiye. Hum dono akele hain, ek dusre ke nikat hain. Aisa avsar baar baar nahi milta!

She passed a small sad smile and said,

HM: Hume pata hain ki aap aisa kyun keh rahe hain! Humara dhyaan bhatkane ke liye keh rahe hain naa aap?

He smiled a little and replied,

AS: Agar aap samajh hi gayi hain toh kyun pareshaan ho rahi hain. Priye, hum thik ho jaayenge. Aapne bhi abhi chikitsak mahoday se baat ki naa... Bas kuch mah ki hi toh baat hain! Aap jyada chinta mat kijiye.

HM: Kaise na kare, Anu? Kaise na kare? Aur woh bhi yeh jaante hue ki aapki iss halat ki zimmedar kanhi na kanhi hum hain.

AS: (little angry) Yeh kya bakwas kar rahi hain aap?

HM: Sach toh keh reh hain, Anu. Aap chahe hume bataye ya na bataye par hume pata hain ki iss haadse ke pichhe Indar ka haath hain. Aapko yeh saza humare saath dene ki wajah se mili hain.

AS: Ek baat batayiye, maan lijiye ki hum kisi bade neta, uddyami (businessman), ya kisi amir admi ke viruddh koi case ladte toh kya aisa na hota!

She looked at him with painful eyes. He held her hand and said in a soft tone,

AS: Humari vrutti (occupation) mein aisa hota rehta hain. Jaan, aapke humare jeevan mein aane se pehle bhi hume jaan se maarne ki dhamkiyan mili hain. Kayi baar humle bhi hue hain. Priye, humare saath aisa aapka saath dene ki wajah se nahi hui apitu satya ka saath dene ke kaaran hui. Aap achchhi tarah se jaanti hain ki satya ka marg kitna kathin hota hain. Jo satya aur pramanikta (honesty) ke marg par chalte hain unke saath aisa hota rehta hain. Parantu ant mein vijay bhi woh hi hote hain jo antim kshan tak iss marg par chalte rehte hain.

HM: Aap sahi keh rahe hain, Anu par...

AS: Koi par var nahi, Jaan! Dekhiye mahodaya, humari Haseena pehle hi bahut dukhi hain. Ab agar woh humare liye dukhi hongi toh hume achchha nahi lagega. Iss liye hum aapko chetawani de rahe hain ki agar aapne humari Jaan ko dukhi kiya toh hum aapse rusht ho jaayenge. Phir hume manane ke liye aapko bahut kathinata hongi.

YOU ARE MY STRENGTH MY LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें