There was voice of continously crying outside the OT of a hospital...one young lady was just sitting numb and in shock...the other family members were just crying seeing her state and seeing the OT...
After few hours , Dr came out of OT...
The young lady and other members came near Dr...
Young lady: Dr kaise hai mere pati ...theek haina vo...
Dr: Mrs Malhotra main aapse kuch bhi nhi chupaunga...see it was a dangerous accident...small injuries hai Mr Malhotra ko jo jaldi theek bhi ho jaayenge but...
Young lady: but kya Dr...
Dr: uss accident mein unki ek nerve dab gyi hai jiske karan unke dono paer paralyze ho gye hai...
By listening this ...she just kneels down...
A man: bhabhi sambhalo apne aapko...
Young lady: kaise sambhalu kartik...
(Yes the man was Kartik, young lady was ishqi and the man in OT was Ahaan...Ahaan ki car ko ek truck ne takkar maardi thi...)Dr: meri baat puri toh suniye Mrs Malhotra...aisa nhi hai ki aapke husband theek nhi ho sakte...agar unhone acche se medicines li, unki oil massage and physiotherapy training acche se hui toh vo jald se jald theek ho jaayenge...but ye sabme sabse important cheez jo hai vo ye hai unki will Power...unki will Power par hi sab depend krta hai ki vo theek honge ya nhi...
I: hum pura Dhyaan rakhenge Dr...kya hum unse mil sakte hai...
Dr: Ji abhi vo unconscious hai...hum unhe ward mein shift krdete hai phir aap sab unse mil sakte hai...Further they went to meet him...everyone was teary eyed but they all controlled themselves as they don't want to fall weak and also don't want to make ahaan weak. Finally after a week Ahaan got discharged...
Ghar aane ke baad sab ahaan ka bahut dhyan rakh rahe the especially ishqi...2 din ho gye the use ghar aaye hue...ishqi uske liye khana lekar aati hai...aur khilati hai...Ahaan bas use dekhta rehta hai...
I(smiling): aise kya dekh rahe hai...
A: Q kr rahi ho tum ye sab...
I: Kya avm...
A: meri dekhbhal...muje...
I: pehli baat aap mere pati hai...aur main aapse bahut pyaar krti hu...lijiye khana khaiye...
Vo shaanti se khaa leta hai but uske mann mein kuch chalta rehta hai...Ahaan 's pov:
Muje pata nhi ki main kabhi theek honga ya nhi lekin main Ishqi ki zindagi aise mere peeche barbaad nhi hone de sakta...she deserves better...muj jaise langde ghode ke saath vo kaise apni life bitayegi...nhi kuch toh karna padega muje...main uspar boj nhi ban sakta...Ishqi vapas room mein aati hai...toh dekhti hai ki ahaan bed par se wheelchair par baithne ki koshish kr raha tha...
I: avm dhyan se...(Vo bhagkar uske paas jaati hai) kahi jana tha toh bula lete muje...aise stunt marne ki kya zaroorat thi...
A: Haa...ab toh main tumhe sab cheez ke liye capable nhi hu yahi lagegana
I: kaisi baat kr rahe hai aap avm...abhi abhi aap hospital se aaye hai...aapki ye minor injuries bhi thik nhi hui hai issliye maine bola...
Phir vo ahaan ko wheelchair par bithane mein help krti hai...Aur ek week aise hi guzar gaya tha...Ahaan ki physiotherapy issliye start nhi hui thi q ki uski jo baki injuries thi vo thik nhi hui thi...office ka jo kaam rehta tha vo online krleta tha...aur office jane ki jaroorat padti toh vo kartik ko bheja krta tha...lekin vo ishqi se thoda rude behave krne laga tha aur jab bhi mauka milta toh vo usse taane maarne ka mauka nhi chhodta...
Ek din toh baat bht bad gyi thi...usne ishqi se yeh janbujkar keh diya ki uski ye halat sirf ishqi ki vaja se hui hai...agar uss din vo zidd nhi krti toh usko naahi bahar jana padta aur naahi uska accident hota aur ye bhi bola ki usme koi self respect naam ki koi cheez nhi bachi hai jo itna sunne ke baad bhi use chhodkar nhi jaati ...ishqi toh bas ahaan ki baat sunti rehti thi...use sab samaj mein toh aa raha tha ki ahaan janbujkar ye sab kr raha hai taki vo use aisi haalat mein chhodkar chale jaaye...lekin vo bhi ishqi thi...use apne pati ki haalat jaldi sudharni thi...toh vo bas apna kaam krti rehti thi...halaki ahaan ki baato se vo dheere dheere tutne lagi thi but vo khudko sambhal rahi thi taki vo ahaan ko sambhal paye...
Ek din raatme ishqi dining table par khaana kha rahi thi aur ro rahi thi...usne kisiki awaz suni toh apne aansu poch liye...usne dekha ki kartik aaya tha...
I: are kartik...tum iss waqt kya kr rahe ho...
K: bhabhi pehle aap batao ki aap kya kr rahe ho...
I: dikh nhi raha khana kha rahi hu...
K: vo to dikh raha hai...but jo cheez chupane ki aap koshish kr rahi ho vo nhi dikh raha..
I: Kya kuch bhi bolte rehte ho tum...
K: bhabhi mujse chupane ki koshish mat kriye...saaf pata chal raha hai aap ro rahi thi...chaliye ab bataiye kya hua...
Vo ab khudko rok nhi paayi aur rona start krdeti hai...kartik use paani pilata hai...
I: tumhe toh pata haina abhi 3 din baad ahaan ki physiotherapy start ho jaayegi...aur vo jald theek ho sakte hai agar unki will Power mazbut ho...main kabse unhe aur khudko strong banane ki koshish kr rahi hu...lekin vo toh muje weak krte jaa rahe hai...ik ki agar uss din vo meri vaja se bahar nhi jaate toh unka accident nhi hota...but ab jo situation hai hume usse handle krna chahiye...lekin Ahaan ko pata nhi kya ho gaya hai vo khudko boj samajne lage hai humpar aur itna hi nhi vo khudko akela krne par tule hue hai...main janti hu ki vo mujse rude q ho rahe hai taki main aage badu lekin main bhi ziddi hu...but unki rudeness se meri himmat bhi tutti jaa rahi hai...main kaise sambhalu sab kuch kartik....
K: bhabhi aap chinta mat kro...sab theek ho jaayega and yes aap meri strong bhabhi ho toh aapka hosla abhi bhi strong hi rehna chahiye...aur rahi baat aapke avm ki toh unko toh hum dono milkar pareshaan krenge...
She lightly smiles...
Then she went to sleep...
YOU ARE READING
OS And TS
FantasyHere is a collection of One shot stories with Ishqi and Ahaan as our lead characters...