He went near her and started asking about their health...ishqi also told...she was quiet.
I: I m sorry Ahaan...kal maine bahut ulta bol diya tumhe
A: sorry bolne ki koi jaroorat nhi hai...tum Rajiv se bahaut pyaar krti thi aur ab bhi karti ho...uske naa hone se sabse jyada farq tumhe pada hai...dekho main ye nhi keh raha ki tum use bhulkar move on kro...main bas itna kehna chahta hu ki tum uski yaadon ko honsla banakar aage badho...Atharva ko iss waqt tumhari jaroorat sabse jyada hai...
He then took Atharva with him and started playing with him...and ishqi went in deep thinking...That day whole time ishqi was in her thoughts only...from next day, usko dekhkar aisa lag raha tha ki vo badal gyi hai...usne ek jaga par work from home ke liye job apply kiya tha and she got the job...vo Atharva ke saath jyada se jyada time spend krti thi aur apne aap ko kaam mein zyada se zyada busy rakhti thi...iss sabke bavjud use kuch na kuch khatakta tha... ab vo purani jaisi khilkhilane wali ishqi nhi rahi thi...zimmedari toh use tab bhi nibhani padti thi jab rajiv uske saath tha lekin ab toh vo jaise hasna hi bhul gyi thi..dusro ke saamne toh usne shayad ek mukhauta pehen rakha tha...
Ahaan se ekdam se dosti krlena uske liye asan nhi tha...lekin vo ahaan ko itna kuch bolti bhi nhi thi q ki Rajiv ne uske saamne hi ahaan se promise liya tha aur vo Rajiv ke decision ko disrespect nhi krna chahti thi...issliye vo ahaan se Thodi bahaut baat chit krti thi...Few months passed and sab kuch dheere dheere set ho raha tha...Ahaan aur ishqi bhi acche friends ban gye the...ahaan ka yu care krna aur ishqi ko sad hone ka mauka nhi dena ye sab ishqi ko bhi accha lagta tha q ki use apnepan ki kami mehsoos nhi hoti thi...Atharva bhi bahaut masti krne laga tha...ishqi ke bagair vo reh hi nhi pata tha...kaam pr dhyan dene ki vaja se ahaan kuch dino se thode time ke liye hi aa pata tha aur uss reason se Atharva hamesha ahaan ke paas hi rehta tha aur use pareshaan krta tha...ek din ishqi, Ahaan aur Atharva garden area mein the aur koi baat pr vo hasne lage...ishqi ko dekhkar lag raha tha ki vo kitne time baad khulkar hasi thi...aashi ne dur se ye sab dekha tha aur vo kuch sochne lagti hai...
After 2 days, aashi went to meet ahaan and asked him something
A: Tum pagal ho gyi ho aashi, tumhe idea hai ki tum kya bol rahi ho...
As: Muje pata hai main kya bol rahi ho...
A: tumne meri aur ishqi ki shaadi ke baare mein soch bhi kaise liya
As: Tum toh di se pyaar krte thena...samaj gayi main...bahaut mushkil hota hai kisi aurat se shaadi krna jiski already shaadi ho gyi ho
A:aisi baat nhi hai Ashi...main aaj bhi ishqi se beintehaan mohabbat krta hu aur ye bhi jaanta hu ki Ishqi Rajiv se kitna pyaar krti hai...ishqi kabhi nhi maanegi...
As: uske liye muje tumhari help chahiye hogi...dekho ahaan tum shayad ab muje selfish samjoge to Haa hu main selfish apni di ke liye...jab Jiju the tab di apni life kitna khulkar jeeti thi lekin unke jaane ke baad vo ek dam bikhar si gyi hai...vo bhale hi sab kaam kr rahi hai sabka dhyan rakh rahi hai lekin vo bahaut tuti hui hai...vo jeena bhul gyi hai aur bas ek jhuta mukhauta pehenkar ghum rahi hai...aur kai din baad maine unhe pehle jaisa khush tumhare saath dekha...tumhe dekhkar muje nayi umeed mili ki shayad muje meri pehli vali di vapas mil jaaye...
A: tumhe toh pata haina ki ishqi kabhi nhi chahegi ki koi Rajiv ki jaga le...
As: mushkil hai lekin agar tum meri help karo toh...
He think for sometime and nods....Later, in the next few days Ashi was trying to keep ahaan and ishqi more closer and it got noticed by ishqi...so ishqi decided to talk to ashi and went in her room and saw her picking papers from floor so she helped her in picking them up...
As: thank you di..
I: apni behen ko thank you kon bolta hai...
As: di vaise aap yaha
I: Q nhi aa sakti...
As: are ofcourse di...q nhi...aaiye baithiye
I: dekhte hi dekhte tu bhi kitni badi ho gyena Ashi...
As: par aapke liye toh hamesha choti hi rahungina di
I(nods): bhale hi mujse choti ho lekin apni di ke liye faisle bhi lene lag gayi hai...
As(stood up): Kya bol rahe ho di...
I: itna tang ho chuki hai tu mujse...ki meri dusri shaadi krvane ka faisla le rahi hai...ek baar bhi mera khayal nhi aaya...mera chhod apne jiju ka bhi khayal nhi aaya...vaise toh tu unhe best jiju bola krti thi lekin aaj unki jaga kisi aur ko dene ke liye taiyaar ho gyi...
As: di aisa nhi hai...aap galat samaj rahe ho...
I: toh samja na muje...q itne din se muje aur ahaan ko paas rakhne ki koshish kr rahi hai...tu badi hogai hai par main bhi bacchi nhi hu ki muje kuch samaj aaye...q kr rahi hai aisa...
As: aapke liye di...main aapko aise aur jeete hue nhi dekh sakti...aap batao agar jiju aapko upar se dekh rahe honge to unhe kitna bura lag raha hoga ki unki ishqi ne kya haal banakar rakha hai...aap aise nhi the di...
I: time ke saath sab badal jaata hai
As: lekin insan toh itna nhi badal jaata na ki vo jeena hi chhod de....bachpan se aapko dekhti aa rahi hu aur aapko kab kya krte ho sab samaj mein aata hai...main bas aapko khush dekhna chahti hu di aur mere liye bas Vahi matter krta hai...
Ishqi bina kuch bole vaha se nikal jaati hai...Ahaan saamne se aa raha tha to vo usse takra jaati hai...
I/A: sorry...
A: ye kuch papers hai ek baar tum dekhlo
I: tumhe to pata tha na ki main Rajiv se kitna pyaar krti hu phir bhi tumne mujse shaadi krne ka soch kaise liya...ashi toh choti hai lekin tum bhi...Ohh ab samjhi tum to Vahi Ahaan Malhotra ho jo ek waqt par mere piche paagal tha...accha ab samji abbhi tum vaise hi ho...lekin jaisa tum soch rahe ho vaisa kabhi nhi ho paayega...
A: ishqi...
Till then she went to her room and Ahaan too went his home...Uss raat ishqi bahaut roti hai aur baar baar Rajiv ki photo dekhti rehti hai...
I: Ek saal hogaya Rajiv tumhe gaye hue...kaise sambhala hai maine sab kuch tumhare baad ye sab tum acche se jaante ho...q muje akela chhodkar chale gaye...
She heard a voice saying ishqi...she looked around and see someone coming...actually she was visualizing soul of Rajiv or u can say that in real Rajiv 's soul came...he sat near her n wiped her tears...
I: Tum aagaye...
R: ab tum itna yaad krogi toh aana hi padega...aur kya haalat banali hai tumne apni...kuch dhyan vyan rakhna nhi hai kya...ruko abhi iss ahaan ki bhi khabar leta hu vada to krdiya lekin tumhara dhyan nhi rakh raha hai...
Ishqi becomes sad...
I: Main khudka khyal rakh sakti hu...aur tum ho to muje kya fikar
R: khyal rakh sakti thi toh rakha q nhi...main tumhare saath bas tumhari yaadon mein hi reh sakta hu ishqi...
I: unhi yaadon ke sahare main jee lungi aakhri saans tak
R: saans lene ko hi jeena nhi kehte ishqi...tumhari zindagi dekhne se to zindagi lagti hai lekin tumhari zindagi zindagi nhi hai...aur main tumhe jeeta hua dekhna chahta hu...aur tumhe pehle jaise dekhneka muje bas ek hi rasta dikh raha hai
He then kiss her forehead and she closed her eyes...when she opened her eyes then no one was present there...4-5 days passed like this and during this time both ishqi and Ahaan didn't tried to meet each other...Ahaan ishqi ke ghar jaata toh tha lekin bas Atharva ke saath time spent krke aajata...
Ek din vo Atharva ko sulakar jaa raha tha tab use ishqi raste mein milti hai...both have an eyelock and Ahaan broke it soon.
A: Main chalta hu
I: Ek min ruko Ahaan...Then they were sitting in garden and there was complete silence...
I: I m sorry Ahaan uss din ke liye...lekin tumhi samjho ki kisi rishte ke saath itni dur tak chalne ke baad uska naam badalna aasan nhi hota...lekin main apne liye aur Atharva ke liye ek kadam aage badhna chahti hu tumhare saath...mushkil hai issliye muje thoda time chahiye...kya tum intezaar kr sakte ho...
A: Main puri zindagi intezaar krne ke liye taiyaar hu...tumhe jitna time chahiye lelo...main tumhe force nhi krunga...muje bas tumhari khushi chahiye...
She smiles...
He stood up and forward his hand towards her....she kept her hand on it and she too stood up...Scene freezes.
The end.
I know ki story jaldi end ho gyi toh shayad pasand na aaye ya phir ending sahi nhi lagi ho...so jaisa bhi ho comments mein batana .
YOU ARE READING
OS And TS
FantasíaHere is a collection of One shot stories with Ishqi and Ahaan as our lead characters...