5. Pushpa Amma

1K 171 19
                                    

Afternoon me Haseena ki neend tuti. Usne aankhen khol kar dekha to kamre ki ceiling use anjani si lagi. Uske forehead par frown aa gya.

Usne bed par baithte huye idhar - udhar dekha yah pata lagane ki koshish me ki wo kahan thi.

Kisi anjan jagah par khud ko pakar Haseena ko ghabrahat hone lagi thi. Usne darwaje ki or dekha to wo band tha.

Haseena bhag kar door ke paas gai aur use pitne lagi.

"Darwaja kholo....please open the door."

Tabhi achanak se darwaja khul gya aur samne Pushpa ji khadi thi. Unhen dekh kar Haseena ko ehsas hua ki wo kahan thi.

"Haseena, tum chilla kahe rahi thi aur itni ghabrai hui kahe ho?"

"Wo.....ye door lock tha to hum....hum wo..."

"Par darwaja to khula hua tha."

"Khula tha....." Haseena ne apne balon me ungliyan firate huye khud ko calm karne ki koshish karte huye kaha. "Door....door open tha hum....hum yun hi...." uski puri body shake kar rahi thi.

"Shant ho jao beta kuch nahi hua hai. Tum apne hi ghar par ho."

Pushpa ji ki baat sun kar Haseena ko gussa aa gya. Usne jor se apna hath door par maara.

"Nahi hai ye hamara ghar. Ye hamare liye ek jail hai jismen hum aapki beti ki vajah se kaid hain."

"Haseena beta....." Pushpa ji ne Haseena ke shoulder par hath rakha to Haseena ne bina soche samjhe unhen push kar diya.

Wo girne wali thi ki do arms ne unhen sambhal liya. Wo Karishma thi jiski aankhen gusse se laal thi.

"Aapka himmat kaise hua hamari amma ko dhakka dene ka?"

Kahte huye Karishma ne Haseena ko thappad marne ke liye hath uthaya lekin Pushpa ji ne uski kalai pakad li.

Dono maa - beti ek dusre ki eyes me dekh rahi thi. Karishma ki eyes surprised thi to wahin Pushpa ji ki eyes me gusse aur disappointment ke mix emotions the.

"Agar bahu ko hath bhi lagaya na to humse bura koi nahi hoga."

Kahte huye Pushpa ji ne Karishma ka hath jhatke se chhod diya.

"Amma aap iske liye humko dant rahi hain?" Karishma ne disbelief me pucha.

"Han kyonki jo tum karne ja rahi thi wo galat hai aur galat karne wale ke khilaf hum hamesha khade rahenge chahe fir wo hamari beti hi kyon na ho."

"Amma isne aapko dhakka mara.....hum kaise bardasht kar len ki hamari aankhon ke samne koi hamari amma ko dhakka de raha hai. Hum jaan le lenge iski."

"Karishma......"

Is se pahle ki Pushpa ji apni baat puri karti kisi ne unke pairon ko pakad liya. Unhone hairani se najre nichi karke dekha to wahan Haseena baithi thi jiski aankhon se aansu bah rahe the aur uska shareer kamp raha tha. Pushpa ji ko samajhne me der nahi lagi ki wo panic attack ki kagar pe thi.

Pushpa ji ne jameen par Haseena ke paas baithte huye use gale se laga liya aur teji se uski peeth sahlane lagi.

"I.....i....i....so....so...rry. Please is....ko bo....lo ki hu...me mare na, ba..bahut pain...pain hota hai." Haseena ne ladkhadati juban se kaha.

Pushpa ji use shant karne ki koshish kar rahi thi to wahin Karishma use baccho ki tarah dara - sahma dekh hairan thi. Jis Haseena se wo wakif thi uske samne wo Haseena nahi thi.

"Nahi maregi. Hamare hote huye tumhen koi kuch nahi kahega Haseena. Hum kisi ko tumhen hath tak nahi lagane denge."

"Promise....?"

Kaisa Hai Ye Bandhan Anjana Where stories live. Discover now