13. Revenge

973 193 17
                                    

Office se apni kuch files lekar Haseena ghar laut aayi thi. Ghar aakar usne Pushpa ji ke sath lunch kiya aur Karishma ki halat ke bare me soch - soch kar uska man khushi se bhar raha tha.

"Kya baat hai Haseena beta, bahut khush dikh rahi ho?"

Uske chehre par muskan dekh kar Pushpa ji ne sawal kiya.

"Han amma wo aaj office gye the na to wahan jakar pata chala ki hamari company ki ek bahut important deal final ho gayi hai to bas isiliye khush hain." Haseena ne Pushpa ji ko apni khushi ka karan bataya jo ki puri tarah se jhuth nahi tha.

"Arre waah, ye to bahut khushi ki baat hai. Bahut bahut badhai ho tumhen."

"Thank you amma. Amma Karishma ka phone nahi aaya abhi tak?" Haseena ne Pushpa ji se pucha.

"Phone nahi aaya matlab? Usne bola tha kya tumko ki phone karegi?"

"Nahi bola to nahi tha. Aaj shadi ke baad pahli baar wo work pe gai hain aur jab hum lunch dene gaye the tab bhi wo thane me nahi thi. I think unhen call karke batana chahiye ki unhen khana kaisa laga."

"Bas itni si baat. Use achha hi laga hoga khana, tum fikar mat karo."

Haseena ko ye jawab nahi chahiye tha. Use Karishma ki halat ke bare me janna tha. Wo uski aawaz me dard sunna chahti thi.

"Amma aap kijiye na call unhen. Please."

"Agar tumhen us se baat karni hai to tum khud call kar lo na use." Pushpa ji ne smile ke sath Haseena ko kaha.

"Amma aapko to pata hai na ki unhen humse baat karna nahi pasand. Wo hamara call pick tak nahi karengi." Haseena ne sad expressions ke sath kaha.

"Achha tum udas mat ho, hum karte hain usko call."

"Amma speaker pe rakhiyega call."

Pushpa ji ne Karishma ko call milaya. Thodi der ring bajne ke baad Karishma ne call pick kiya.

'Han amma bolo.'

"Tune lunch kar liya Kashi?"

'Na.....han amma kar liya lunch. Waise aapne aaj kaise lunch ke bare me pucha?'

Karishma ki baat sun kar Haseena confused ho gai ki aakhir lunch karne ke baad bhi Karishma normal kaise hai.

"Arre tumhari patni ko janna tha ki tumne lunch kiya ki nahi. Ab tumko to uski kuch padi nahi hai lekin usko tumhari fikar hai."

'Han tabhi to wo humko lunch dene khud thane aayi. Unko thank you kahiyega aur han amma aaj hum unko bahar dinner par le jana chahte hain to unko boliyega ki taiyar rahe.'

Karishma ki baat sun kar yahan Pushpa ji khush ho gai to wahin Haseena or jyada confuse ho gai. Wo samajh nahi pa rahi thi ki Karishma ke dimag me chal kya raha hai.

"Han thik hain hum bol denge."

Pushpa ji ne call katne ke baad Haseena ko dekha jo kahin khoi hui thi.

"Haseena....Haseena?"

"Ji.....ji amma?"

"Beta suna tumne Kashi ne kya bola. Wo tumko bahar dinner par le jana chahti hai to beta tum sham ko taiyar rahna."

Haseena ke paas or koi option nahi tha to usne fake smile ke sath han me nod kar diya.

______________________________

Evening me Haseena ready ho rahi thi aur sath hi Karishma ke bare me soch rahi thi.

"Ye Karishma Singh hamen dinner par le jana chahti hain, iske piche jarur uski koi chaal hai. Upar se wo khana khane ke baad bhi use kuch nahi hua, galti kar di humne, pura packet daal dena chahiye tha."

Haseena ne ready hokar time check kiya to sham ke 7 baj gye the.

"Hamen ready rahne ke liye bol diya aur khud aayi tak nahi." Haseena ne frustration me kaha ki tabhi uske room ka door khula aur chehre par muskan ke sath Karishma enter huyi. Haseena ne use sawaliya najron se dekha.

"To aap ready ho gayi? Humko to laga tha ki aap mana kar dengi."

"Mana kar dete to pata kaise kar pate ki tumhara hamen dinner par le jane ka maksad kya hai?"

"Ye aapne sahi samjha ki hamara maksad hai aapko dinner par le jane ka. Wo kya hai na hum samne se vaar karte hain na ki peeth ke piche, jaise ki aapne kiya."

"Humne....humne kya kiya?"

"Wo to Billa behtar tarike se bata sakta hai jo abhi hospital me hai kyonki usne hamare liye laya gya lunch kha liya tha."

"Oh." Haseena ne shock ke sath kaha.

"Yeah 'oh'. Aapne apna vaar kar liya ab bari hamari hai."

"Hum taiyar hain kyonki hamen yakin hai ki aap me dam nahi ki Haseena mallik ko dhul chata sake."

"Ek....ek minute, Haseena mallik nahi rahi ab aap, Haseena Singh hain. Samjhi?"

"tumhari baaten ho gai ho to ready ho jaiye, hum bhi janna chahte hain ki aakhir kya plan kiya hai tumne hamare khilaf."

Karishma mischievous smile dete huye Bathroom me chali gai.

______________________________

Karishma aur Haseena dono ek restaurant me pahunchi.
Enter karte hi Haseena us restaurant ko fully empty dekh kar hairan rah gayi.

"Karishma Singh hum...." Haseena kahte huye palti to dekha ki Karishma wahan par nahi thi. "Karishma Singh where are you?" Haseena ne frown ke sath aawaz lagayi.

When she didn't get any response, Usne Karishma ko us empty hotel me search karna shuru kiya.

"What are you trying to do Karishma Singh?" usne apne aap se question kiya. "Samne se vaar karne ka bol kar chhip kar vaar karne ka soch rahi ho."

Jab wo corridor me pahunchi to usne Karishma ko samne khade paya.

"Karishma Singh, ho gya tumhara hide and seek? Agar ho chuka hai............" is se pahle ki wo apni baat finish karti Karishma Singh jameen par gir padi. "Karishma....." Haseena said with shock.

Wo tej kadmon se Karishma ke paas gai jo pet ke bal giri huyi thi. Usne Karishma ko seedha kiya to uski shirt ko front ko puri tarah se khun se sana hua paya.

"Khu......khun. Karishma Singh uth.....uthiye. Ye khun....khun." Haseena panic attack ki kagar par thi but Karishma ki halat ko dekh kar khud ko sambhal rahi thi. But usi time Haseena ke hath par khun ki bunde girne lagi usne apna hath dekha jo puri tarah khun se bhar gya tha. Dekhte hi dekhte har taraf khun hi khun tapak raha tha aur ye sab dekh kar Haseena ki aankhen patthara gai. Fir dheere - dheere uski aankhen band ho gai aur wo wahan par behosh hokar gir padi.

______________________________

Kaisa Hai Ye Bandhan Anjana Where stories live. Discover now