Karishma Singh ke hath me ek photo thi jo usne us shop ke CCTV footage se print ki thi.
Ye ek aadmi ki photo thi jiski age 45 ke aaspas thi. Uski ghani daadi aur bikhre huye baal the.
Aakhir Karishma ne us aadmi ki photo kyon print ki thi? Iska karan ye tha ki Haseena ke aise behosh hone ke piche kahin na kahin wo vyakti hi tha.
Karishma ne kai baar us CCTV footage ko dekha. Jaisa ki Ahsan ne kaha tha unki gaadi kharab huyi aur dono hi gadi se utar gye.
Haseena side me khadi thi to wahin Ahsan gaadi ka engine check kar raha tha.
Side me khadi Haseena apna phone use kar rahi thi ki tabhi ek aadmi uske paas aakar smoking karne laga.
Shayad sigrate ke dhuyen se irritate hokar Haseena ne us aadmi ko dekha and kuch der use dekhne ke baad Haseena ka pura shareer kampne laga.Us aadmi ne bhi Haseena ko confusion se dekha aur usne Haseena se baat karne ki koshish ki. Shayad wo Haseena se kuch puch raha tha. Fir thodi der ke baad jaise use kuch realize hua aur wo wahan se teji se bhag gaya.
Kuch der baad hi Haseena behosh hokar gir padi aur aaspas log ikathha ho gaye.
Haseena ke behosh hone se pahle jo kuch bhi ghatit hua usme wo ek aadmi hi suspect tha, isliye Karishma ne uski photo print ki aur sath hi apne mobile me bhi wo footage transfer kar li jise usne apne sare network me faila diya.
Wo apne khabriyon ko call karne wali thi ki uske phone par uski amma ka call aane laga.
"Han amma ka....ka hua?"
'Kahan ho tum dono? Na Haseena ghar aayi aur na hi tum. Hum kab se Haseena ko phone kar rahe hain par lag hi nahi raha.'
"Amma humko sach me bahut bura laga ye jaan kar ki aapne humse pahle unko call kiya. Humko to lagta hai ki hum nahi wo aapki beti hai." Karishma ne apni amma ka dhyan bhatkane ke uddeshya se kaha. Wo kaise bataye apni amma ko ki Haseena ka phone to uske paas hai jo usne switch off kar rakha hai.
'Kashi kya tum bhi, arre hum jante hain ki kabhi - kabhi duty ki vajah se tum late ho jati ho isliye humne Haseena ko call kiya. Kashi ab bolo bhi kahan ho tum? Aur Haseena kahan hain, pata hai tumhen kuch?'
"Amma wo hum aapko batana bhul gye, humko phone kiya tha unhone, darasal un..unko business ke silsile me...me urgently london jana pada."
'Tum sach bol rahi ho na Kashi?' Karishma ke atakte shabdon ko sun kar Pushpa ji ne sandeh se pucha.
"Han hum jhuth kahe bolenge bhala?" Usne jaldi se kaha.
'Nahi, Haseena ne tumko call kiya aur hamen nahi.....' Pushpa ji ki aawaz me udasi saaf jhalak rahi thi.
"Amma aap kahe itna load le rahi hain? Unko jaldi me jana tha aur ho sakta hai unhone aapko call karne ka prayas kiya ho par aapka phone nahi laga ho......." Karishma baat karte karte ruk gayi jab uske phone par ek dusra call aane laga. "Achha amma humko ek call aa raha hai."
'Arre par tum ho kahan par?'
"Amma ek case ke silsile me lead mili hai, usi ke Investigation ke liye aaye hain. Hum aa jayenge thodi der me." Karishma ne jaldi se phone cut kar diya.
Fir usne apne khabri ko call kiya jo use call kar raha tha.
"Han Joshi, video mila na. Humko ye aadmi kisi bhi surat me chahiye. Dharti, aakash, patal sab chhan maro lekin humko ye aadmi lakar do."
______________________________
Raat ke 10 baje Karishma hospital pahunchi."Santu, Haseena ko hosh aaya?" Karishma ne ummeed bhari aawaz me sawal kiya.
"Karishma di, bhabhi behosh thodi huyi hain ki hosh me aa jayengi, wo coma me hain aur log salon - saal coma me pade rahte hain." Santu ne bahut hi masoomiyat se jawab diya.
"Bahut - bahut dhanyavad humko haunsla dene ke liye Santu, ab tum jao aur jakar aaram karo."
"Okay di, aap tension mat lo, bhabhi jaldi uth jayengi."
Santu ke jane ke baad, Karishma Haseena ke room me gai. Usne Haseena ka hath apne hath me liya.
"Santu bol kar gayi hai ki coma patient salon saal coma se nahi uthte par aapke paas itna time nahi hai aaram farmane ka. Humne amma ko jhuth bola hai ki aap business trip par gayi hain aur hum aapse request karte hain ki hamara jhuth pakde jane se pahle uth jaiye. Upar se Santu kal amma se thane me milegi to pata nahi ye jhuth kitna tik payega."
Karishma ne hesitantly apna dusra hath Haseena ke head par rakh diya.
"Humko na kuch had tak pata chal gaya hai aapke behosh hone ke piche kaun hai. Bas ek baar wo hath lag jaye to hum us ke halk me hath daal kar sach niklwa lenge. Aap fikar mat kijiye hum aapke paas hi hain."
______________________________
Next morning Billu hospital me aaya.
"Bille jo kaam karne ke liye bola tha wo kiya?"
"Han Karishma madam, humne pata laga liya hai ki Mallik parivar ki kinse persnol dushmani thi. Ye persnol dushmani kis level ki thi wo pata karne ke liye humne apne network ko active kar diya hai. Sham tak kuch na kuch jankari mil hi jayegi."
"Bahut acche, abhi hum ghar jakar change karke chhan - been me lagte hain tab tak tumko yahin hospital me rahna padega. Samjhe?"
"Samajh gaya maddam."
Haseena ko kuch der tak dekhne ke baad Karishma wahan se chali gayi.
______________________________
"Kya hua Pushpa ji? Sab thik hai na?" Pushpa ji ko upset dekh kar Nivedita ne sawal kiya.
"Han madam sab thik hai bas wo Haseena ke bare me soch rahe the."
"Kya hua hai Haseena ko?"
"Hua to kuch nahi hai, wo kya hai na ki wo achanak se videsh chali gayi kaam ke silsile me aur hamen bataya bhi nahi. Upar se Kashi bhi sari raat ghar nahi lauti, humne kitni baar call kiya lekin usne uthaya hi nahi."
Nivedita ko yakin tha ki Karishma Haseena ki ammi ke case se related kisi karan se raat ko ghar nahi gayi hogi.
"Uhhh....Pushpa ji, actually me wo Mehra house me jo chori ki ghatna huyi hai, Karishma Singh usi ki tahkikat kar rahi hain shayad isi liye ghar nahi aayi hongi. Waise agar aapko Haseena ne nahi bataya to kisne bataya ki wo out of India gayi hai."
"Karishma ne. Usi ko bata kar gayi thi Haseena."
Nivedita aur Pushpa ji ki baaten Santu sun rahi thi aur achanak se uske pet me dard hone laga tha. Usne apne pet par hath rakha jo ki Nivedita ne dekh liya.
"Aap thik hai na Santosh Sharma?"
"Ji mai thik hun." Santu ne jaldi se apna hath apne pet se hatate huye kaha.
"Okay."
______________________________
Karishma Singh Laal chauk par us aadmi ke bare me janch padtal kar rahi thi ki use Billu ka call aaya.
"Han bol Bille."
'Karishma madam, madam aap jaldi se hospital aa jaiye.'
"Bille ka hua? Sab thik hai na? Tum itne ghabraye huye kahe ho?"
'Madam aap bas jaldi se aa jaiye.'
Itna bol kar Billu ne call cut kar diya. Karishma ne turant apni bike start ki aur hospital ki taraf chal padi.
______________________________
YOU ARE READING
Kaisa Hai Ye Bandhan Anjana
Fanfiction"Kya kaha tha tumne? I am not marriage material? Hum kisi ki wife banne ke layak nahi hain? Aur kya tha? Han, jo humse shadi karega wo duniya ka sabse bada murkh hoga? Well huge congratulations to you Karishma Singh, tum hi ho wo murkh insan."