14. Regret

1K 200 18
                                    

Pushpa ji bhagte huye hospital me aayi. Kuch der pahle unhen Karishma ka call aaya tha aur usne inform kiya ki Haseena hospital me hai. Iske alawa usne kuch nahi bataya. Pushpa ji ka jee bahut ghabra raha tha isliye wo bina der kiye hospital pahunch gai.

Usne jab corridor me Karishma ko khun se sane kapdon me dekha to unke man me ek pal me hi na jane kya - kya bure vichar aa gye lekin unhone khud ko sambhala aur Karishma ke paas gai.

"Kashi.....ye.....aur Haseena? Kya hua hai Haseena ko?"

"Amma wo.....wo thik hai bas ye khun dekh kar behosh ho gai thi aur......aur hum unko yahan le aaye." Karishma ne thode sankoch ke sath puri baat batai.

"Behosh ho gai? par ye khun kaise.......?" Pushpa ji ne uski shirt ki or ishara karte huye kaha.

Apni amma ka question sun kar Karishma ne regretfully eyes close ki aur himmat jutate huye kaha.

"Amma ye......ye khun nakli hai. Wo....wo humne unhen tang karne ke liye.....humko nahi pata tha ki wo....."

"Bas Kashi bas." Pushpa ji ne gusse me kaha. "Tumko ka nahi pata tha? Tumne dekha tha na shadi ke din wo laal rang ko khun samajh kar behosh ho gai uske baad bhi tumne ye......." Pushpa ji ne uski laal rang se sani shirt pull karte huye kaha.

Aur is se pahle ki dono me se or koi kuch kahta, doctor wahan aa gye. Karishma unki or gai aur unse Haseena ki condition ke bare me pucha.

"She is fine miss Singh. I was worried ki miss mallik fir se coma me na chali jayen but good thing thi ki aap use yahan le aayi as I am well aware of her medical history so I was able to prevent anything worse to happen."

Karishma chup chap doctor ki baat sun rahi thi. Uska mind ek hi baat pe atak gaya tha ki Haseena fir se coma me ja sakti thi. 'Fir se coma me.'

"Doctor sahab hamari bahu ko hosh kab tak aayega?"

"Dekhiye Haseena ko jitni der me hosh aayega utna hi uska mind relax hoga. Waise ummeed hai ki use kal subah tak hosh aa jayega. You can see her. Please excuse me."

Doctor wahan se chale gye aur Pushpa ji Haseena ke ward me gai. Haseena was sleeping peacefully and that peace was showing on her face.

Karishma door pe khadi use dekh rahi thi. And uske mind me yahi chal raha tha ki Haseena past me coma me ja chuki hai aur usne jo majak kiya tha wo use fir se coma me pahuncha sakta tha. Ye sab soch - soch kar Karishma guilty feel kar rahi thi. She was regretting her action. Fark nahi padta wo kisi insan se kitni nafrat karti hai lekin uski vajah se kisi ko koi bhi nuksan pahunche ye wo bardasht nahi kar sakti.

Use Haseena ke sath aisa majak nahi karna chahiye tha. Coincidentally wo Haseena ko is hospital me le aayi yahan ke doctor uski medical history ko jante the but kya hota agar wo Haseena ko kahin or le jati and wo coma me chali jati. Aise me Karishma kabhi apne aap ko maaf nahi kar pati. Haseena ke swabhav aur uski bachkanepan se wo bhali bhanti parichit hai lekin wo aisi bachkani fight me kaise shamil ho sakti hai. She was raised better than this.

Filhal to uski amma ne use jyada kuch nahi kaha lekin wo janti hai ki use apni amma ke gusse ka samna bhi karna padega aur unke sawalon ka jawab bhi dena padega.

In sab se jyada jo uske dimag me chal raha tha wo tha Haseena ka past. She wanted to know ki aisa kya hua tha Haseena ke sath jo wo coma me chali gai thi? Aisa kya hua tha jo blood dekhte hi use panic attack aa jata hai? Aisa kaunsa dard hai uske seene me jo uski amma ne Haseena ki aankhon me dekha hai? Use ab in sab sawalon ke jawab chahiye the and wo janti thi ki wo jawab kaise milenge.

Usne apna phone nikal kar call kiya. After few minutes she heard a sleepy hello from the other end.

"Hello Santu, humko tumhari madad ki jarurat hai."

'Karishma di? Kya hua sab thik hai na'

Karishma ne time check kiya to 11 baj chuke the.
"Sorry Santu tumko itni raat ko disturb kiya."

'No problem di aap boliye kya help chahiye?'

"Santu tum kal subah thane duty time se ek hour pahle aa sakti ho? Hum wahin tumko bata denge sari baat."

'Of course di but sab thik hai na?'

"Han sab......sab thik hai tum so jao. Good night."

'Good night di.'

Karishma ne call disconnect kiya aur Haseena ke room me gai yahan uski amma Haseena ke mathe par pyar se hath fer rahi thi.

Pushpa ji didn't acknowledge her presence. Wo bhi chup - chap wahan khadi rahi.

Kuch der baad Haseena ko check karne ke liye ek nurse room me aayi.

"Excuse me ma'am but aap dono me se koi ek hi night me yahan ruk sakta hai."

Dono ma - beti ne ek dusre ki taraf dekha aur fir Pushpa ji ne kaha.

"Hum hain Haseena ke paas yahan tum ghar jao. Tumhare kapde bhi kharab ho gye hain sare."

Karishma wanted to stay but kal early morning use thane jana tha is liye bina argue kiye wo Haseena ko ek last look dekar chali gai.

______________________________

Kaisa Hai Ye Bandhan Anjana Where stories live. Discover now