16. Unsolved Case

1K 175 16
                                    

10 saal pahle vacation manane ke liye Kashmir gayi Mallik industries ki CEO Salma Mallik aur unki teenage daughter Haseena Mallik gayab ho gayi thi aur unki gumshudagi ki report Aadil Mallik ne darj karwayi thi.

Ek mahine tak dono ke bare me kisi ko koi clue nahi mila aur fir ek din abandoned warehouse ke paas Salma Mallik ki lash mili aur unke sath hi buri tarah se ghayal unki beti. Police ko shaq tha ki wo dono kisi aatanki giroh ke kabje me thi.

Yahi information thi un dono news articles me, jinhen padhne ke baad Karishma ka khun thanda pad gya tha. Kisi or ke liye ye information kafi hoti lekin Karishma ek Police officer thi. Uske liye har information kam thi jab tak ki wo information use kisi conclusion tak na le jaye.

Unhen padhne ke baad uske mind me hajaron sawal uthne lage the. Aakhir Haseena aur uski mother ek mahine tak kahan the? Kya sach me kisi terrorist group ne unhen bandhak banaya hua tha? Agar aisa hai to iske pichhe unka maksad kya tha? Yahan tak use knowledge hai koi bhi terrorist group is tarah tabhi kisi ko bandhak banata hai jab unhen apne kisi sathi ko kaid se riha karana ho. Jo articles usne padhe usmen aisa nahi tha.

Karishma ke mind me sabse bada sawal ye tha ki kya Haseena ne apni gumshudagi aur apni mother ki hatya ke bare me police ko kuch bhi nahi bataya? Kya is case me koi arrest hua tha aur agar hua tha to uske bare me news jarur honi chahiye but Santu ne sirf do article hi bheje the.

Karishma ne ek bhi second waste kiye bagair Santu ko call kiya.

"Santu, Haseena aur uski mother ka kidnap kisne kiya tha?"

'Di mujhe uske bare me koi information nahi mili."

"Santu Haseena ki maa CEO thi aur unki hatya ke baad koi to suspect pakda gaya hoga, koi to girftari hui hogi."

'Karishma di mai abhi tak usi ke bare me search kar rahi hun aur mujhe in do articles ke alawa koi khas jankari nahi mili, bas ikka - dukka chhote articles hain jo police ki unko na dhundh pane ki nakami pe likhe gye hain aur Aadil Mallik ke interview. Jo mujhe kuch khas nahi lage.'

"Khas ho ya aam, humko sari information chahiye iske bare me, tum wo sab articles hamen bhejo abhi."

'Ji di bhejti hun.'

Santu ne use baki ke articles bheje jisme mostly police ki nakami par 4-5 lines likhi huyi thi. Aadil Mallik ka ek interview tha jisme unhone kisi tarah ki firauti ka call nahi aane ki baat kahi thi.

Inme se koi bhi article Karishma ko uske sawalon ke jawab nahi de raha tha aur wo janti thi ki is guthi ko suljhaye bina use chain nahi milega.

______________________________

"Madam do hi log hain jo aapko apne sawalo ke jawab de sakte hain ki actually me hua kya tha. Ek Aadil Mallik aur dusri Haseena bhabhi."
Santu ne Karishma ke sawal sunne ke baad kaha, wo dono badnam ki dukan par baithi chai pi rahi thi.

"Aadil Mallik is time India me nahi hai aur rahi baat Haseena ki to Santu humko nahi lagta ki wo hamari madad kar payengi." Karishma ne chai ka ghunt bharte huye kaha.

"Aapko aisa kyon lagta hai Karishma madam?"

"Pahli baat to ye ki agar wo humko kuch bata sakti to 10 saal pahle bhi to police ki help kar sakti thi apni maa ke murderer ko pakadwane me but yahan tak humko pata hai is case me koi arrest nahi hua. Dusri baat ye ki hum is case ke bare me janch padtal kar rahe hain, ye baat kisi ko pata na chale wahi accha hai, khas karke Haseena ko."

"Madam is case ke bare me news me jyada kuch nahi aaya lekin police ki case file me to sab detail me likha hoga na. Is case me jo bhi development huye honge wo usme likha hua 08hoga."

"Santu aaj tune singhade khaye the na."

"Aapko kaise pata madam?"

Karishma ne use muskura kar dekha aur kaha.
"Wo chhodo ab hamara task hai is case related files hasil karna."

"Par wo aap kaise karengi madam? Is case ko UP aur Kashmir dono police department handle kar rahe the aur wo files lene ke liye aapko permission leni padegi aur fir sainkdon sawal puche jayenge aapse."

"Ek insan hai jo hamari madad kar sakta hai, wo files hasil karne me bhi aur Haseena ke past ke bare me bhi kuch na kuch information jarur de sakta hai."

______________________________

Kaisa Hai Ye Bandhan Anjana Where stories live. Discover now