31. Surprise Went Wrong

1.6K 194 41
                                    

Pushpa ji heavy heart ke sath wo status dekh rahi thi ki kisi ne unke kandhe par hath rakha.

Unhone mud kar dekha to sympathetic smile ke sath Haseena wahan khadi thi.

"Amma, chaliye khana kha lete hain. Bahut raat ho gayi hai."

Pushpa ji ne nam aankhon se ghar ki sajavat ko dekha, fir unhone dinning table par rakhe alag - alag dishes ke bartanon ko dekha. Ek or coffee table par rakhe gifts par bhi unki najren gayi.

"Haseena hum subah se.....ye sab....wo....." Pushpa ji kuch bol nahi pa rahi thi. Unke shabd unke me atak kar rah rahe the.

"Amma, unko thodi na pata tha ki hum unke liye surprise plan kar rahe hain. Humnen to unko wish bhi nahi kiya shayad is liye wo udas bhi ho aur fir........."

"Par aaj uska janmdivas hai aur ye din to use apnon ke sath bitana chahiye tha na."

"Nivedita bhi to unki apni hi hai na Amma?"

"Par hamara ka? Aur tumhara......?"

"Hum to bas 6 mahine......." Haseena kahte - kahte ruk gayi. Shadi ke 6 mahine baad unka divorce hone wala hai ye wo Pushpa ji ke samne bolne wali thi lekin samay rahte usne khud ko rok liya.

Pushpa ji ne ek saans lete huye uski or dekha aur fir uska hath apne hathon me lete huye kaha.

"Hum jante hai ki tum dono talak lene wali ho. Kashi ne hamen pahle hi bata diya tha lekin beta jab tak divorce nahi hota tab tak to tum dono ka rishta hai na. Hum dono hain uski family abhi, wo kaise apna ye khas din kisi or ke sath bita sakti hai."

"Amma, ye unka khas din hai to aaj ke din wo khush rahna deserve karti hain. Aapke liye bhi to unki khushi matter karti hogi na?"

Haseena ke question par Pushpa ji ne yes me nod kiya.

"To bas fir, unko karne dijiye enjoy, aaiye hum khana khate hain."

"Haseena beta bura na mano to ek baat pucche?" Dono saas - bahu kitchen me khana garm kar rahe the jab Pushpa ji ne thoda jhijhak ke sath sawal kiya.

"Arre pucchiye na Amma?"

"Ye coma me jakar lautne se insan samajhdar ho jata hai ka?"

unka question sun kar Haseena ne unhen apni eyebrows raise karte huye dekha. "Nahi aise hi puchh rahe the koi na tumhare paas jawab nahi hai to." Pushpa ji ne dar aur fake hansi hanste huye kaha.

"Kya Amma aap bhi. Chaliye khana khaiye."

After eating dono bartan dho rahi thi ki tabhi Karishma ne ghar me pravesh kiya.

Uske pravesh karte hi wahan lage balloons me se ek fut gaya aur uski aawaz se tinon chaunk gaye Karishma ne fati aankhon se us sari decoration ko dekha aur wahan pade gifts ko bhi aur use kuch bhi samajh me nahi aa raha tha.

Pushpa ji aur Haseena Karishma ke paas aaye jo abhi bhi ektak 'HAPPY BIRTHDAY KARISHMA' tag ko nihar rahi thi.

Pushpa ji ne time dekha to 11 baj kar 55 minute huye the.

"Tumhara birthday bitne me abhi bhi 5 minute pade hai, kam se kam hum wish to kar hi sakte hain. Janmdivas ki bahut - bahut shubhkamnaye Kashi." Pushpa ji ne genuine smile ke sath kaha.

"Amma.... Ye...."

"Happy birthday Karishma Singh." Kahte huye Haseena ne apna hath uski or badhaya.

Karishma ko kuch bhi samajh me nahi aa raha tha. Usne Haseena ka hath pakadte huye dhimi aawaz me thank you bola.

"Aasha hai tumne aaj ka din khub enjoy kiya hoga."

"Amma aapne ye sab......"

"Arre ye kuch nahi humne tumhare liye chhota sa surprise plan kiya tha, is chakkar me tumko badhai bhi nahi di aur ye sab.....par dekho hamara hi popat ho gaya." Pushpa ji ne forcefully hansi hanste huye kaha.

"Amma......."

"Ye to wo wala ho gaya. Arre wo youtube par vlog aata hai na yahan surprise me gadbad ho jati hai, Haseena beta ka bolte hain usko?"

"Surprise went wrong." Haseena ne dry tone me kaha. Wo Pushpa ji ke majak me chhipa dard dekh pa rahi thi or shayad Karishma bhi.

"Hum mobile me sara din moye - moye memes dekhte hai par aaj to hamara hi moye - moye ho gaya." ye bolte huye Pushpa ji jor - jor se hansne lagi.

Haseena aur Karishma unhen udasi bhari najron se dekh rahi thi.

"Amma.....amma...." Karishma ne jor se aawaz lagai to Pushpa ji ne hansna band kiya. "Aapne ye surprise plan kiya tha aur...aur hum late ho gaye the to aapne humko phone kahe nahi kiya?"

Uski baat sun kar Pushpa ji fir se hansne lagi. Unhone apna phone ka call log nikal kar Karishma ko dikhaya jisme unhone use 15 baar call kiya huya tha.

Ye dekhne ke baad Karishma ne apni pockets check ki and she realized ki uska phone to thane me hi chhut gaya hai aur usne apna matha peet liya.

"Amma, aap jakar so jaiye, Karishma ji bhi thak gayi hongi. Raat bahut ho gayi hai."

____________

Baat ye hai ki main fir se gayab ho jaungi. Bhai sahab sabko din me 2-2 update chaiye. 800+ words ke chapter chhote lagte hai par comments, feedback koi deta nahi dhang se. Comment ke naam par bas 'bonus de do, update de do, next chapter please.' yahi milta hai or ye sab padh kar to jo likhne ka mood banta hai wo bhi khatm ho jata hai. Aap logo ka aisa dry response dekh kar lagta hai ki main gadha majduri kar rahi hun ye stories likh kar. Literally acche comments motivate karte hai bahut jyada or aise 1-2 words ke comments demotivated.

BTW NimashaLovesKarEena is one of my favorite reader. Her comments are always awesome. And thanks to everyone whoever take time to react on different moments in story.

Kaisa Hai Ye Bandhan Anjana Where stories live. Discover now