Naina: Meer!
When Naina entered the cabin where Sameer was allotted, she saw Sameer was stretching himself to get the glass of water kept on his right. Due to the stretch, his right arm was getting pressure, which went unnoticed for Sameer.
So she ran and handed him the glass of water, before he could cause more damage to his arm, unintentionally.
Naina: Aapko paani chahiye tha, toh bell ring kar dete. Nurse aake de dete aapko paani.
Sameer: Ek glass paani ke liye main nurse ko kyun bulau Naina? Main khud le sakta hun.
Naina: Agar glass aapke left mein hota toh aap khud le sakte the aasani se. Par glass aapke right pe tha, Meer. Aapka right haath fracture hua hai. Pressure nahi dalna hai. Aur aap ussi par pressure dalke glass le rahe the. Banti huyi baat, bigad jaati na Meer.
Sameer: Woh.....woh mere dhyaan mein nahi raha. I mean dard ho raha tha. Par mujhe pyaas lagi thi. Toh main.....
Naina took the empty glass from him, and placed it on the left table along with the jug of water. She sat beside him, and held his left hand.
Naina: Koi baat nahi. Par aap aage se dhyaan rakhna. Agar aap akele hai toh bell ring karke Nurse ko bula lena, aur jo bhi chahiye hoga mang lijiyega.
Sameer held Naina's hand, and smiled at her.
Sameer: Jo hukum mere aaka! Aap jo jo kahoge, aapka yeh gulam woh woh karega!
Naina: Kya aap bhi!
Sameer: Accha yeh batao, tumne khana kha liya hai na? Aur acche se rest karke aayi ho na!?
Naina: Haan! Maine acche se breakfast kar liya hai. Lunch apne saath layi hun. Rest toh jab tak aap mere saath wapas nahi chalte, main nahi kar paungi.
Sameer: Naina, main thik hun! Bas choti moti chot aayi hai. Yun thik ho jaunga. Pat tum aisse bina rest ke bimaar pad jaogi. Aur main nahi chahta ki tum mere wajah se bimaar pado.
Naina: Meer, aap saath ho toh mujhe kuch nahi ho sakta. Ab yeh saari baatein chodiye. Aap batao, aapko nurse breakfast karwa liya tha na?
Sameer: Haan, par uss khane mein bilkul swaad nahi tha. Mujhe bilkul accha nahi laga!
Naina: Bas kuch hi dino ki baat hai. Phir aap ghar chal loge, aur main khud aapko aapke favorites banake dungi.
Sameer: Ab toh mujhe motivation mil gayi! Thik hone ki 😂
Naina giggled, and kept looking at Sameer. Suddenly she got overwhelmed and wrapped her arms around him, and rested her head on his chest. Sameer smiled and started weaving the fingers of his left hand in her hair.
Naina: Aapne mujhe daara diya tha! Pichle che mahino mein maine aapko itna shant kabhi nahi dekha tha. Na aapki aankhein bol rahi thi, aur na aapke awaaz sunayi de rahi thi. Chaaron taraf sanata tha. Aissa lag raha tha ki main phir se akeli ho gayi.
Sameer: I am sorry Sameer ki jaan, maine tumhe darra diya. But I promise aage se main aissa nahi hone dunga. Ab tumhe na akelapan mehsoos hoga aur na hi sanate ka samna karna padega. Main humesha tumhare saath rahunga. Agar kabhi bhi aissa hua ki hum dono kuch samay ke liye dur ho jaaye, toh yeh waada hai tumhare Meer ka. Woh waqt bahut kam hoga. Kyunki Sameer apni Jaan ke bina reh nahi sakta.
Naina: Main bhi! Naina apne Meer se zyada samay dur nahi reh sakti.
Sameer kissed her head, and continued weaving his fingers. And he massaged her scalp in between the caressing. Naina was at peace now. She could finally hear his heartbeats and feel the warmth of her husband.
YOU ARE READING
Rishta Tera Mera ❤️
Fanfiction"Pehli nazar mein hi mujhe usse pyaar hogaya tha! Tabhi se zor zor se chilla kar apne pyaar ka izhaar karna chahta tha par.....Par woh kisiko apne aas paas aane nahi deti thi. Isliye main pichle do saal se intezaar kar raha tha, aur ab jaake woh mer...