Rita aunty, sid chachu chachi sare log cabin ke taraf jate hai but sid and sana udhar khada rehta hai.
Sana - Sidharth ap idhar khade kyu ho? Jaiye papa ji se mill lijiye.
Sid - Tum bhi chalo sath mein.
Sana - Nahi sayed mera jana unko acha na lage. Is time humare liye sabse important hai unka health. App plz jaiye unse mil lijiye. Mein idhar hu.
Private ward ..........
Sid dad - Rita mein thik hu abhi plz rona band karo. Rajendra ( sid chacha) Sidharth aur uski patni ko bulao.
Rita - Ji app shant ho jaiye. Sana beti ne hi apko hospital lekar aye hai.
Sid dad - Mein shant hi hu rita.
Sid chaha - Tum dono ko bhaiya bula raha hai chalo andar.
Sana hold sid's hand tightly.
First sid ke chacha andar aye then sidnaaz room ke andar aye. Shehnaaz dari huyi hai.
Sid - Dad abhi ap kaise ho?
Sid dad - Arey wah aj bahut yaad kiya ja raha ha mujhe. Shadi kar liya par apne bap ko nahin bulaya. Jab tu chota tha to mere se dant khane ke bad apni ma ke pas chala jata tha. Par jab rat ko mein office se laut ta tha to tu mere pas daur ke aa jata tha aur bolta tha dad app bhi mujhe sorry bolo mein bhi apko sorry bolta hu. Aur ab maine ekbar bola to shida ghar chodke chala gaya. Ekbar bhi nahi aya uske bad. Arey ake gussa kar leta jhagra kar leta par nahi nawabzada to zid pe agaya. Yeh jo tere chacha khada hai isko to business nahi dekhna hai sirf poetry karna hai aur tu bhi mujhe akela karke chala gaya. Arey ekbar jisko pyar kiya hai isko lekar hi ajata mere pass ki dekho dad mera choise best hai. Par nahi isko akar jo ageya..
Sid daur ke jake apne dad ko gale laga lete hai and said sorry dad.
Sid dad - Sorry beta apne dad ke maf karde.
Everybody present in that room are crying.
Sid dad - Apni biwi se nahi milwayega mujhe?
Sana ab tak darwaze ke pas hi khadi hui thi.
Sid - sid jakar sana ke hat pakad ke usko bed ka samne le ata hai. Dad ye hai apki bahu.
Sid dad - Bilkul nahi
Everyone shocked after hear this.
Sid dad - Bahu nahi beti hai. Maf kardena beta jab sid ne bataya tha tum dono ke rishtey ke bare mein mene bahut galat kaha tha woh bhi tumse bina mile.. Bad mein jab apna galti realise kiya to tab shadi ho gayi thi. Mein hat jod ke tumse mafi mangti hu.
Sana - Nahi papa ji plz app bade ho humse hat mat jodiye plz.
Sid dad - Bade hokar bhi kya faida badappan to dikhaya hi nahi. Tumhe pata hai sid ke bad mein aur rita hum dono ek beti chahte the. But woh hua nahi. Lekin abhi lagta hai ki sayed upar wale ko pata tha ki mein ek ache bap nahi ban pata isiliye beti nahi di. Aur dekho woh sabit bhi kar diya tumko rula ke.
Sana - Nahi nahi papa ji bas. App bahut ache papa ho.
Sid dada - Maf kar diya na apne is bap ko? Naraz to nahi hai na?
Sana - Nahi papa ji mein apse kabhi bhi naraz nahi thi. Kabh nahi.
Sid chacha - Uff finally yeh bharat milap ho hi gaya..
Sid dad - Par shehnaaz mujhe tumse ek complain hai.
Sana - Ji kuch galat kiya hai maine??
Sid dad - Hai kiya hai na. Cafe ke opening mein tumne sirf apni saas keliye khana bheja mera liye kyu nahi?
Everyone just smiling whole heartedly.
Sid dad - Bas ab tum dono ajao apne ghar. Aoge na?
Sidnaaz sath mein kehte hai hain.
Sid dad - Rita ghar mein laxmi arahi hai taiyari karo.
Sid - Dad relax sab ho jayega pehle ap thik to ho jao.
Sid dad - Mein bilkul thik hu beta. Bas tum dono aa jao.
3 din bad unko hospital se discharge milta hai subha. Sid aur uske chacha dono unko lekar ghar ate hai. Usi din evening mein sid w
Aur sana bhi apne ghar wapas ate hai. Pura ghar phool o se saja hua hote hai. Rita ji pure riti riwaz ke sath bahu ka ghar mein graha pravesh karta hai.Ashok ji sabko batate hai ki next sunday sidnaaz ke reception rakha hai unhone jaha woh pure duniye ke samne sana ko as shukla' s bahu introduce karwange.
Sab kuch sahi chal raha hai. Sid wapas office join kar liya. Sath sath woh cafe ko bhi sambhal raha hai aur usne yeh decide bhi kiya hai ab woh cafe ko aur big banayega. Usne woh place bhi abhi se kharid liya.
Sana ke sathe us ghar mein sabka bond bahut acha ho jata hai specially sid ke dad ke sath. Woh sana ko apne beti jaise pyar karte hai. Sana unko lekar cafe bhi jata hai.
Today is their reception.
Sana ke parents bhi present hai. Sid ke dad unse mafi mangte hai but sana ka dad kehte hai - bas ashoke ji jo hona tha woh ho gaya hai bas ab bache khush rahe hume aur kuch nahi chahiye.
Sid ke dad sabke samne sana ko introduce karwate hai. Sare log bahut tarif bhi karte hai sana ki khubsurti ki...
This is the last part of this story. Next one is epilogue.
YOU ARE READING
Do Dil Mil Rahe Hai ✅
Short Story1st time story likh rahi hu ... Please support karna