The Start

2.6K 50 9
                                    

Somewhere in Chitnakgarh (fictional)

Two tall officers having heavy-built were standing facing a young man and it seemed that there is a crucial discussion going on 

Man: Sir pls try to understand mujhe pura yakeen hai ki uss warehouse ke teen kilometre ke radius par yeh log kisi aur cheez ka karobaar ya toh chala rahe hai ya toh chalane ka soch rahe hai...aap mujhe jaane dijiye mei sab pata laga kar aajaunga

O1: Theek hai lekin tum nahi jaoge hum dono jayenge

Man: Par sir..

O1: Dekho tumhara vahan jana safe nahi hai that too tab jab unn warehouse walo ko tum par shak hone laga hai

O2: Waise bhi tum kya koi bhi akele ek baar mei raat mei yeh dhundh nahi payega 3km ka radius kam nahi hota 5-6km mei toh pura gaanv hi khatm ho jata hai kisi ne dekh liya toh samasya ho jayegi aur iss samay hum tumhe kuch hone nahi de sakte aur toh aur abhi tumhe inn sabka anubhav nahi hai

Man: Sir tabhi toh kah raha hun jab tak jaunga nahi tabtak experience kaise lunga aap bharosa rakhiye mai kar lunga chahe toh aap dono mei se koi ek mere saath chalna

O1: Shayad yeh sahi hi kah raha hai ek kaam karte hai mai tumhare saath chalunga wahan koi gadbad hui toh hum dono sambhal lenge aur agar waise kuch hua toh yeh chakri hai hi...bata kya bolta hai

Man: And sir agar wahan factory mei kuch hota hai toh akshat hai na voh sabko uljha dega apne mei

O2 was still not convinced 

O1: Tu idhar aakar sunn meri baat

(They went a little aside)

O1: Dekh mujhe iss par bharosa hai aur tu khud hi soch jab humare seniors hume mana karte hai toh hume kitna gussa aata hai

O2: Dimaag thikane par hai tumhara..voh koi chhota baccha nahi hai jo usko kaisa lagega aur kaisa nahi lagega yeh soch kar hum apne mission ka plan badal le (he said angrily)

O1: janta hun mai lekin uske field experience ki duty teri hi hai and abhi voh hum dono ke under hi kaam kar raha hai...aur mujhe nahi lagta ki iss samay kuch bahut zayada ho sakta hai kyuki already 1 mahine tak wait karne ke sivaye humare paas koi option nahi hai...mai bhi toh jaa raha hun na uske saath kuch nahi hone dunga mujh par toh bharosa rakh tu

O2: Hume tum dono par toh vishwas hai kintu voh akshat..

O1: Arre tu itna mat soch waise bhi jab tak hum dono saath mei yeh mission dekh rahe hai tabtak kuch nahi hoga humare desh ko (he said cutting him)

O2: Theek hai tum kahte ho toh

They went towards the man

O2: theek hai tum dono jao lekin humse sampark mei rahoge har samay.....dhyaan rakhna dono apna bhi aur ek-dusre ka bhi

———————————————————————————————————

In Lucknow 

A lady officer was beating a man inside the lockup

KS: Ama tumhara himmat kaise hua doodh mei milawat karne ka...tumko samajh nahi aata hai ka ki chhote chhote bacche bhi doodh peete hai unki sehat ke saath khilwad karoge tum..tumhari toh

HM: Ruk jaiye KS mar jayega voh saza dena kanoon ka kaam hai humara kaam toh bas mujrimo ko pakad kar kanoon ko dena aur law and order maintain karke rakhna hai 

KS: Lekin maddam

HM: Humare paas iske khilaf sabut nahi hai par isko saza zaroor milegi aap filhaal usko marna band kijiye 

KS: Toh ka hum bas aapki tarah haath par haath rakh kar baith jaye...yeh humara kaam karne ka tarika nahi hai..do kantap lagayenge na turant sab sach ugal dega..yahan par hamesha se aise hi kaam hota aa raha hai aur yahi humara tarika hai

HM: Lekin ab hum aapke senior hai aur hum aise gusse mei kaam bilkul nahi karte isliye jaisa hum kah rahe hai waisa hi kariye

KS: Maddam aap

PS: Aap kaise aag ka gola bani firti hai shaanti se toh koi kaam hota nahi hai aapse kitna gussa

KS: Pushpaji aap toh rahne hi dijiye aap ko toh hum hamesha galat hi lagte hai aur waise bhi hum senior hai aapke yahan

PS: Haan bas seniorgiri hi dikhaiye lekin ghar par hum saas aur aap bahu hi rahengi phir batate hai aapko pata nahi kaunse muhrat mei aapko dekhne aaye the humare bechare bhole masoom gareeb lalla ke toh bhaag hi phut gaye (she said dramatically)

CC: lekin pushpaji aapke lalla gareeb kaise hue aap dono toh kamati hai hi aur unki bhi toh acchi khaasi naukari hai 

SS: Aur aap se chhup kar Karishma madam ko pure 6 mahine date kiya toh masoom bhi kahan hi the (she said innocently)

PS: Haan theek hai theek hai lekin

HM: Bas kijiye aap log kya baate kar rahe hai aap sab ghar nahi hai aapka thana hai yeh aur yahan hume duty karne ki salary milti hai naaki baate karne ki...kabhi bhi kahin bhi shuru ho jati hai na aap dono

KS and PS: Sorry maddam sir

HM: Toh suniye aap sab dekhiye yeh iske akele ka kaam toh ho nahi sakta kyuki yeh bahut large scale par ho raha hai jisse yeh saman kharidta hai jiske through saara saman transport hota hai jahan par yeh banta hai aur jahan par yeh store hota hai sab dhundhna hoga aur khatam karna hoga

CC: lekin esab hoga kaise

HM: ek plan hai humare dimaag mei dekhte hai kya hota hai

———————————————————————————————————

At night 

'Tum toh kah rahe the ki tumhe pura yakeen hai 4 ghante hogaye hai aur abhi tak kuch nahi mila...khabar pakki hai na? Thodi der mei toh roshni ho jayegi and wapasi mei kisine dekh liya inn guns wagarah ke saath toh problem ho jayegi' The senior officer said to the man tiredly 

Man: yes sir bas thoda sa aur aage chalte hai pakka kuch toh milega

After some time

O1: Arre! yahan iss level par weapons hai...zaroor arms trafficking ka plan hai inka (he said stunned at the sight in front of him)

Man: dekha maine kaha tha na (proudly)

O1: Haan haan abhi filhaal tum left side jaakar dekho kya milta hai and unki pictures click kar lena kaam aayega and mai right side jata hun...aur apni ghadi mei 15min ka timer set karo yahi milenge iss se zayada hum nahi ruk sakte lekin location mil gayi hai baad mei aakar baaki ka investigate karenge

Man: yes sir

In a room 

O2: pata nahi kya kar rahe hai dono ek toh yeh data sampreshan pranali bhi band ho gaya hai (frustrated)

To be continued...

Upcoming: After 4 months 

———————————————————————————————————

Pls ignore mistakes 

Hope you liked it

Do give your reviews 

Thank you 








Anuseena- All togetherWhere stories live. Discover now