Gesture

766 55 24
                                    

Continued 

After dropping her home, he entered his home at around 2am, changed into comfort wear and slept as soon as he hit the bed 

Next Morning

Dev: maa bhai aagaye kya?

Maa: haan...so raha hai abhi...kal raat der se aaya hoga na...waise abhi uthane hi jaa rahi thi mai usko

Dev: mai jaga deta hun unko 

Maa: theek hai jaa

In Anubhav's room

Dev: (thinking) lagta hai bhai ne abhi vo dekh liya hai tabhi toh yahan nahi rakha...(aloud) bhai uthiye 8 baj gaye hai

AS: theek hai...lekin abhi sone do hume

Dev: maa gussa karengi

AS: unko bolna raat ko der se aaye the hum...(tired)

Dev: (in mind) bhaiya ko uthana toh hoga...kyuki thodi der mei toh mujhe jana hai fir mai unka reaction kaise dekhunga (tensed)...uthiye na aap hi toh bachpan mei kahte the ki 7 baje ke baad nahi sona chahiye abhi toh 8 bajne ko hai

AS: tab kahte the ab nahi...yaar jao na...aur parde bhi theek kar dena roshni aa rahi hai

Dev: dekhiye maa ko bula raha hun mai na ab (warned)

AS: uuuttthhhhh raaaahhheeee hhaaiiiiii (irritatedly stretching each word) sab ke sab humari neend ke dushman hai

Dev: aaj raat mei jaldi so jana

AS: theek hai tum chalo hum taiyaar hokar aate hai (still sleepy)

Dev: jaldi jaiye na

AS: tumhe kuch baat karni hai humse?

Dev: n..na..nahi nahi toh (fumbled) aapko kyu aisa lag raha hai?

AS: itni jaldi jaldi kyu kar rahe ho?

Dev: arre mai toh bas aise hi (nervously)

AS: ghabra kyu rahe ho?

Dev: aisa nahi hai

AS: aaj tum kyu uthane aaye hume...maa?

Dev: mai ja raha hun...aap toh mujhse aise sawal kar rahe hai jaise yeh aapka kamra nahi koi interrogation room ho (irritated)

AS: dhanyawaad aur parde theek karke jana (lying on bed again)

Dev: bhaiiii (whining)

AS: kya hua hai tumhe aaj

Dev: uthiye jaldi 

AS: dekho uth gaye ab hum...nahane bhi jaa rahe hai..theek hai jao ab

Dev: theek hai lekin wapas mat so jana (he left)

AS: pata nahi kya hogya isko aaj khair 8 baj gaye hai uthna toh hai hi (mumbled)

———————————————————————————————————

After sometime AS came downstairs wished everyone good morning and sat on the table for breakfast 

AS: aapne mei se kisine humari almari kholi thi kya? (casually)

Maa: haan maine tere kapde rakhe the na

AS: ohh accha..aur bhi kuch rakha tha kya?

Maa: nahi

Dev: aap aisa kyu puch rahe hai bhai

AS: nahi kuch nahi bas humari almari mei ek thella (bag) rakha tha...hume laga apmei se kisine rakha hoga kyuki hume yaad nahi...par jab aaplogo ne nahi rakha toh maine hi kuch liya hoga

Anuseena- All togetherWhere stories live. Discover now