After 4 months

883 35 11
                                    

Continued 

After 4 months 

'Jai hind maddam sir' everyone present in mahila thana greeted when they saw their senior Maddam Malik entering rotating her baton with her ever charming smile

HM: Jai hind! Kya baat hai aaj aap sab timepass nahi kar rahe hai (she exclaimed)

SS: Nahi nahi maddam sir abhi toh news dekhne ke baad Pushpaji aur karishma madam lad hi rahe the aur cheetah so raha tha fir billu ji ne aapki jeep ka siren suna aur sab chup ho gaye (masoomiyat ke saath)

CC: uff yeh masoomiyat santu ji...santu ji santu ji aap na

KS: Overflow ho raha tumhari masoomiyat ka (angrily) aur tum...

HM: Thank you SS Thankyou hume batane ke liye (she said cutting her) Anyways

SS: it's ok maddam

HM: Hum yeh kah rahe the ki news mei aapne aisa kya dekh liya ki aap dono ladne lagi

SS: Maddam sir abhi aapne Adrisha ki jaan bachayi thi na toh news mei vahi aa raha tha ki kaise aapne shaant dimaag se aur apni sujh bujh ke saath usko bacha liya...aur issi baat par pushpaji karishma madam ko taane dene lagi ki aap ki tarah shant rahna sikhe aur karishma madam chid gayi bas fir kya tha world war 3 shuru hone wala tha aur pushpaji ke bechare lalla ke bhaag phut gaye the (said in a go)

CC: Santuji ee lijiye paani pee lijiye

HM: Hum aapko bilkul nahi pasand na KS? (dejected)

KS: ka baat kar rahi hai aap maddam sir aisa bilkul nahi hai bahut samman karte hai aapka bahut mante hai aapko

HM: Accha 

KS: Haan mante hai shuru mei hum aapko pasand nahi karte the aur aaj bhi kayi baar humara kaam karne ke tariko mei bahut antar hai lekin iska matlab yeh bilkul nahi ki hum napasand karte hai 

PS: Yeh baat toh inki bilkul sahi hai maddam sir aur ab toh yeh thana humara ek khubsurat sa parivaar jahan kabhi koi ek bhi musibat mei aaye toh sab dhaal bankar uske samne aa jate hai...hum toh shiviji se bas yahi prarthna karte hai ki iss parivaar ko kabhi kisi ki nazar na lage aur thana hamesha salamat rahe (joining her hands)

SS: Pushpaji lalla ke lalla ke liye prarthna nahi karti aap? (she asked confused)

Billu: soch le cheete abhi bhi time hai

Everyone laughed while Pushpaji frowned

———————————————————————————————————

Delhi headquarters 

(O1 and O2 are two best friends leading a mission from last 4.5 months O1 is Avinash (AV) and O2 is Anubhav)

AV Sir dekhiye hum jante hai ki beech mei jab hume unke arms dealing ka pata chala tha tab humara ek officer pakda gaya tha lekin sir ab vo completely safe hai...aap please hume jana dijiye

AS: Jii sir Aayush purn roop se swasth hai aur toh aur unn avaidh hathiyaaro ke taskar ko bhi hum sandeh nahi hoga kyuki 2 mah se hum peeche hat kar jankari prapt karne ka prayas kar rahe the ab hume vahan na jane dene ka koi karan hi nahi hai sir 

SO: Jante hai isliye meeting ki jaa rahi hai aur ek nayi team appoint ki jaayegi iss mission ke liye jinhe tum dono ko saari information jo ab tak tum dono ko mili hai vo deni hogi

AS: par sir...

SO: No ifs and buts Anubhav...I think you are forgetting that how difficult it was for me to save both of you from your suspension (he sighed) already tum dono abhi iss mamle ko unofficially handle kar rahe ho department ko pata chala toh tumhe suspend nahi fire kar dega and that too pata nahi kaunsi duniya bhar ki allegations laga kar

AV: sir galati toh uss akshat ki thi gaddari usne ki aur usko hum apne saath nahi lekar gaye the department ki taraf se zabardasti appoint kiya gaya tha maybe koi senior officer bhi involved ho sir (angrily)

SO: possibilities toh hazaaro ho sakti hai Arjun but mai tum dono ko iski permission nahi de sakta

AV: aap baaki seniors ki tarah hi kyu baat kar rahe hai sir...aap toh hamesha samjhte ho na sab (irritatedly)

SO: dekho

AS: hume sab samjh aa raha hai ab aap hum par bharosa nahi karte na sir (feigned sadness)

AV: arre nahi nahi...mujhe lagta hai inko hum par zaroorat se zayada bharosa hai tabhi toh hume jane nahi de rahe kyuki inhe pata hai department ne iss mission ke baad humari desk duty approve kardi hai na aur yeh kha...mera matlab hai sir hume jane nahi dena chahte aakhir hum inke best officers jo hai (dramatically)

AS: haan yeh toh hai aur kya pata...

SO: bas mai samajh gaya mai....kahne ko toh dono negotiation specialist ho par jab mujhse bahane banane hote hai toh baccho jaisa karte ho (with a slight smile) 

AS/AV: dhanywaad/thankyou sir (with a bright smile)

SO: lekin department kitna hi slow kyu na ho 15-20 din se jayada samay nahi lagayega team select karne mei jo bhi karna hoga isi time mei karna hoga...itni jaldi kaise karoge plan kya hai? (tensed)

AV: simple hai sir......

SO: theek hai lekin department ki nazaro mei tum dono chhuti par apne- apne ghar jaa rahe ho samjhe...all the best!

AS: Lucknow aa rahe hai hum (smirking dangerously)

———————————————————————————————————

HM: Pushpaji hume aisa lagta hai ki aapne humari maa ka kirdaar kuch zayada hi seriously le liya hai jab dekho tab humari shaadi ke peeche padi rahti hai...hume nahi karni hai shaadi (nonchalantly)

PS: Maddam sir suniye toh sahi..kab tak aap aise akele rahengi kar lijiye na shaadi hi toh hai aapke gharwale bhi yahi chahte hai...waise bhi umar ho rahi hai aapki...yaa aapko koi pasand hai (lively)

HM: Paheli baat toh yeh ki hume koi pasand nahi hai aur dusari baat yeh Pushpaji ki shaadi koi pastry nahi hai ki mann ho na ho kha lo.... shaadi hai soch samjh kar karne wali cheez hai waise bhi life mei ek hi baar ho sakti hai (taunting)

PS: wahi toh na maddam sir warna ab tak toh humare lalla....

HM: aapne kab aur kaunse logo se baat ki humare baare jo humare gharwale hona ka dava kar rahe hai (questioned cutting her)

PS laughed nervously 

HM: jaiye jaiye kaam par lagiye apne (strictly)

PS: matlab ladke dhundhna shuru kare...maan gayi aap? (asked overexcitedly)

HM: Thaane mei...thaane mei jo kaam hai jiske liye aapko salary milti hai na vo kaam kijiye...report banane ke liye kaha tha na humne aapko jaiye (controlling her anger)

PS: accha accha...jai hind maddam sir

HM: Jai hindi! Aur suniye billu ko bhej dijiyega

PS: Jii

Billu: billu the spy reporting maddam sir kahiye kya karna hai na

HM: haan suno..


To be continued...

Upcoming: Their first meet

———————————————————————————————————

Pls ignore mistakes

Hope you liked it

Also pls do give your reviews

Thank you 




Anuseena- All togetherWhere stories live. Discover now