Queasy

649 54 17
                                    

Continued 

Same Day (evening)

Mahila Police Thana 

SS: kya baat hai madam aaj aap pastry lekar aayi hai (amazed)

PS: kahin toh sangat ka asar dikh raha hai santu...theek se bolna toh ab tak seekhi nahi inhone (taunting)

KS: ama Pushpaji dimaag ka dahi mat kijiye aap...(irritated)...round ke liye gaye the aaj hum faizabaad road aur maddam sir ko vahan ka pastry pasand hai na..toh socha sab ke liye lete chale

CC: toh der kis baat ka hai...cabin mei hi Haseena madam

KS: chalo

SHO'S CABIN 

She was sitting with her head resting on her chair and eyes closed...her face showed some sort of tiredness or maybe some discomfort 

All: jai hind maddam sir

HM: (looked at them) jai hind...kahiye?

SS: vo karishma madam sabke liye pastry laayi hai...bahar aa jaiye aap bhi milkar saath mei khaate hai (excitedly)

HM: humara mann nahi hai santu...aap sab kha lijiye (smiled)

SS: faizabaad road wali dukaan se laayi hai

CC: jaldi aaiye na madam...humari santu ji se ruka nahi jaa raha hai (chirped)

PS: tumhari santu ji? (raised her eyebrows)

CC: humara matlab tha humse aur santu ji se ruka nahi jaa raha hai...uu hum aise aa rahe the (nervously rotating his hand)

SS: chaliye na madam sir

HM: sach mei santu humara bilkul mann nahi ho raha hai (her voice seemed dull)

SS: aap aur pastry khane se mana kar rahi hai ho hi nahi sakta (disbelief)

HM: dekho san..

KS: ka baat hai madam aap ka tabiyat kuch theek nahi lag raha hai humko (concerned)

HM: aapko aisa kyu lag raha hai?

PS: hume bhi lag raha hai madam sir...aapki aawaz kaafi feeki lag rahi hai...tabiyat theek hai aapki (worriedly)

HM: pata nahi Pushpaji...ajeeb sa lag raha hai (tired)

PS: kaisa lag raha hai? (softly)

HM: hume nahi samjh aa raha...bas accha sa nahi lag raha hai

KS: lunch ki aap? Kyuki lunch time par toh aap hq gayi thi aur uske baad humne toh nahi dekha aapko kuch khaate hue

HM: nahi (slowly)

PS: toh kuch khana chahiye tha na...koi baat nahi abhi kuch khakar dawai lelijiye aur aaram kariye..hmm (tenderly)

HM: humse nahi khaya jayega kuch...lag raha hai ki vomit ho jayegi (almost whispered)

PS: halka sa kuch kha lijiye behatar lagega

HM: nahi pls

PS: kab se aisa lag raha hai?

HM: subah se (slowly)

KS: toh aapne bataya kahe nahi...Pushpaji dekhiye bukhaar toh nahi hai inko (concerned)

HM: nahi hoga kyuki abhi ek ghanta pahele hi humne dawai li thi

PS: khali pet dawai kyu li...itni laparwah kaise ho sakti hai aap (anxiously)

HM: darasal..ek sec hum aate hai (she literally ran out of her cabin)

Anuseena- All togetherWhere stories live. Discover now