A New Case

662 36 2
                                    

Continued

HM: ek complaint hai...uss hi silsile mei hum aapse puchtachh karne aaye hai...ijazzat ho toh andar aa sakte hai

Girl: Jii aaiye...

HM: Aap Avni ko kabse janti hai Anita? (questioned)

Anita (AN): sadhe teen (3.5) saal se

CC: kaise?

AN: Jii hum ek hi college mei the infact humare hostel rooms bhi upar-neeche the shuruwat se hi...isliye vo meri beft friend hai lekin aap uske baare mei kyu puch rahe hai...sab theek hai na vo theek hai? (concerned)

 HM: chinta mat kijiye bilkul theek hai vo par usne ek complaint likhvayi hai

AN: mere against? Ho hi nahi sakta (disbelief)

CC: unka kahna hai ki unke saath cheating ki jaa rahi hai

AN: kaun? infact usne mujhe iss baare mei kuch bataya bhi nahi 

HM: hum toh bas iss baare mei aapki raaye lene aaye hai (smiling)

AN: ohh accha...lekin I am sorry mai iss baare mei aap logo ki koi madat nahi kar sakti kyuki mujhe iss baare mei kuch nahi pata hai uska boyfriend aisa kar kyu raha hai (nervously)

HM: aapko kuch nahi pata?

AN: jii nahi (confidently)

HM: accha...toh aap yeh bataiye ki aapko kisne kaha ki uska boyfriend hi yeh sab kar raha hai (raised her eyebrows)

AN: maine kab kaha aisa

CC: bilkul abhi kaha madam aap ne latest

AN: nahi maine nahi kaha...ohh shayad isliye muh se nikala ho kyuki uski zayada logo se baat nahi hoti kaafi introvert hai vo and abhi kuch din pahele hi dono ka jhagda bhi hua tha

HM: Ankit ko janti hai aap?

AN: jii uska boyfriend hai ankit

HM: kaisa insaan hai vo?

AN: madam sach kahu toh mujhe ankit kuch sahi nahi lagta...like definitely mai yeh nahi chahungi ki koi avni ko cheat kare but at the same time mujhe ankit uske liye sahi nahi lagta

HM: aapko aisa kyu lagta hai?

AN: pata nahi just bestfriend vibes maybe

HM: unki courtship ka period?

AN: 1.5 years

CC: toh aapne apni saheli ko samjhana ka koshish nahi kiya

AN: kiya but vo bahut zayad pyaar karti usse toh uske against kuch sun-na hi nahi chahti...lekin achanak how did she get a doubt on him?

HM: filhaal hum aapko vo bata nahi sakte... cooperation ke liye thank you...zaroorat padi toh aapko thane bulaya jayega umeed karte hai aapko koi problem nahi hogi

AN: jii madam...aur pls avni ka...

HM: chinta mat kijiye...agar ankit fault par hai toh aapki friend ko bura zaroor lagega lekin vo ek unwanted relationship se nikal jayegi...don't worry (smiled)

———————————————————————————————————

Singh Niwas

DEV: maa fir mai bhi nikalta hun...4 baje se kuch meeting vagarah hai aur 3:15pm toh ho bhi gaye

Maa: theek hai...abhi tum log aaram karo...thak gaye honge baaki baate baad mei kar lenge aur ishika mai ishaan ke liye apple puree laa rahi hun khila dena usko

Anuseena- All togetherWhere stories live. Discover now