Continued
HM: tum kya logi santu?
SS: mai ek pastry lungi
HM: ohh accha thankyou batane ke liye (sarcastically)...hum yeh puch rahe hai ki kaunsi kaunse flavour ki logi?
SS: ohh mujhe toh choco truffle pasand hai
HM: okay...(to person on counter) bhaiya ek choco truffle aur ek black forest pastry kar dijiye
Both were sitting enjoying their sweet chatting merrily
HM: chhodo na santu...hume kaunsa cake vs pastry par debate karni (chuckling)
SS: baat toh sahi hai (giggling)
———————————————————————————————————
At the same golgappe wale bhaiya ki redi ke paas
AV: sunn yeh toh vahi hai na arms supplier ka right hand...yeh yahan aise khule aam kyu ghum raha hai zaroor kuch toh hai
AS: chal peecha karte hai
(Ab hona kya tha lagta hai supplier bhaiya ka right hand bhi anuseena fan hai bas tabhi toh voh bhi uss hi confectionery mei chala gaya 🤭 ek baar phir takkar hui aur iss baar haseenaji ki bechari pastry gir gayi)
AS: kshama chahte hai...and he started moving
HM: koi baat nahi...ek min tum (stunned)
AS/AV (looked back): tum!
AV: bas ho gaya kalyaan (muttered under his breath)
HM: problem kya hai aapki...maafi maangi thi na ab aise khana waste karke koi badala leta hai kya (angrily but in low voice)
AS: jaan kar nahi kiya hai galati se dhakka lag gaya...chalo avinash (least interested)
HM: aise kaise chal rahe the ki table par rakhi pastry gir gayi
AS: arre aap toh aise kar rahi hai jaise kohinoor gira diya (irritatedly)
SS: sirr aapko pata nahi hai yeh inke liye kohinoor se kam bhi nahi hai (innocently)
AV: yeh dono nahi jane dengi jaldi sorry bol aur nikalte hai yahan se (whispered)
AS: hum aap dono se dil se kshama maangte hai...kripya karke hume jane dijiye vilamb ho raha hai
HM: Late ho raha hai aapko hn abhi aadhe ghante pahele toh golgappe kha rahe the aur humse galati se takkar lagne ki vajah se jab aakhri piece gira tab toh mast lad rahe the aap
AS: dekhiye aap...
HM: ab jaiye late ho raha tha na aapko (annoyed cutting him off)
AS: ab kya fayeda (mumbled)
HM: saaf saaf kahiye
AS: Jaa rahe hai (angrily)
———————————————————————————————————
HM: kaisa aadmi hai yeh? (schocked+angry)
SS: bataya toh tha madam gora-chitta lamba aur handsome (in the most innocent way)
HM: santu (throwing daggers through eyes)
SS: ss...sorry sorry (after few seconds) maddam sir mechanic aagaya hoga chaliye chalte hai (HM hummed)
———————————————————————————————————
AS: pata nahi kaisi mahila thi...har samay ladne ko taiyaar..inke baare mei toh pata lagana padega
YOU ARE READING
Anuseena- All together
FanfictionHaseena and Anubhav are two different souls working only for their nation having different perspectives of life but what keeps them similar is love for their mother nation Let's see how these two become one always standing for each other Also this i...