Mahila police Thana Lucknow me kafi bhagdad machi hui hai. Aaj unki nayi SHO anewali hai. Pushpa hi jo head constable hai unhe samjh nahi aa raha tha Kya kya kare. Safsafai se lekar decoration tak sab, Abhi ek ghante me pura krna tha. Waise to notice aye hue kafi din Ho gaye the lekin SI Karishma Singh ne kisiko kuch bataya hi nahi tha. Aaj tak is thane ki incharge wo khud thi aur ab unko order denewala koi aa raha tha to kafi ghusse me thi KS. Aaj to duty par hi nahi ayi thi. Pushpa ji constable Cheeta Chaturvedi aur Santosh Sharma ko bata bata kr thak gayi thi ki thik se decoration karo. Finally sab tak kr baith jate hai.
Bahar SHO Haseena Malik ji ki gadi aa bhi jati hai aur kisiko kuch pata hi nahi chalta. Maddam sir andar aakar dekhti hai ki sab aade tede pade hue hai. Wo aage akar table pr rakha paperweight uthakar niche fek deti hai. Sab log chounk kr khade Ho jate hai. Maddam sir ko dekh kr sab ghabra jate hai aur jaldi jaldi me salute krte hai. Maddam sir sab ko kafi serious look dete hue thane ko dekhti hai aur decoration dekhkar muskurati hai. Sab relief wali lambi saans lete hai.
Pushpa ji: Jay hind maddam sir. Mahila police thane me aapka swagat hai. Hum hai head constable Pushpa Singh.
Cheeta: aur hum constable cheeta Chaturvedi
Santosh: aur mein constable Santosh Sharma
Maddam Sir: Jay hind. Thank you itne Achha welcome ke liye.
Tabhi piche se awaj aati hai aur ekdam bhoukal entry leti hai KS.
KS: aur hum hai SI Karishma Singh. Jay Hind
Maddam sir piche mud kr dekhti hai aur dekhti hai aur dekhe jati hai. KS be salute kiya hua hai. Unki najar jaise kehar dha rahi hai. Aur khubsurti aisi ki dil chir le. Kuch seconds me Haseena ji hosh me ati hai.
Haseena Malik: Jay Hind
KS: ab ayegi thane me raunak. Aap hi chalayengi ye thana Warna hum to bas makkhiya uda rahe the shayad jo aapka yahan posting kara diya gaya.
HM thoda confuse Ho jati hai is hostile attitude se aur pushpa Singh ji ki taraf dekhti hai.
HM samjh jati hai aur kafi beautiful smile ke sath KS ki taraf dekhti hai. KS unki smile dekhke unki annkon me uljhne hi wali hoti hai ki HM kehti hai,
HM: pareshan mat hoiye Karishma Sigh ye thana hum sath milke chalayenge.
KS ko lag raha tha ki pehle hi din bawaal hoga lekin HM ke attitude dekh ke wo thoda shant Ho jati hai aur dhyan se HM ko dekhti hai.
Uncha kad lekin adab se jhuke kandhe, badi badi ankonme bas mithas. Smile to matlab kayamat. Ab inse ghussa kaise rahe.
YOU ARE READING
Sukoon wali love story: Kareena
RomanceThis story is beyond just love. Haseena Malik and Karishma Singh has a different connection, utter respect and passion for the work and each other. The fictional romance that we crave in real life.