PART 18

2.5K 45 3
                                    

In mess

Param barkha sanjana siddharth monami karan and faizi were having dinner together with lots of fun. Siddharth was telling all embarassing moments of monami who was glaring him.

Barkha- monami tum toh bohot shaitaan thi

Param- bohot zyada...karan tujhe yaad hai juhi mam ne hame iske kitne pranks ke baare me bataya hai

Karan nods.

Faizi- mujhe bhi yaad hai...free time me juhi mam sirf monami aur sid ke pranks ke baare me hi batati thi

Siddharth raises his collars- ab ham the hi itne dynamic duo

He hi-fi with monami. All laugh. They finish their dinner and then faizi sanjana and siddharth go to their rooms while monami and karan go to drop param and barkha till the car.

Outside the academy

Param- karan kal hame plan discuss karna hai...i hope the strategy is ready

Karan- ji bhaiya...kal meeting me sab discuss karenge

Barkha looks at monami and holds her hands- apna khyaal rakhna monami...aur kisi bhi cheez ki zaroorat ho toh mujhe bina kisi hesitation ke call kar lena...jaise ye karan mujh par hak jamata hai na bilkul vaise hi ab tumhe bhi mujh par pura hak hai...tum ab is parivaar ka hissa ho...ye kabhi bhulna mat

Karan and param look at the ladies. Monami feels emotional and hugs barkha who smiled and pats her back.

Barkha breaks the hug- main janti hu ye academy hai aur yaha ye dono bhai sirf commandoes hote hai...inhe kisi rishte ki fikra nahi hoti...par agar ye dono tumhe zara sa bhi pareshan kare...khaas kar ye karan...toh mujhe bata dena...main thik kar dungi...ye dono academy ke boss honge lekin ghar ki boss ham ladies hi hoti hai

Monami laughs and nods. Param and karan smile.

Param keeps his hand on monami's head- i know tum safe rahogi kyoki karan hai tumhare sath...lekin ab main chahta hu tum dono khush raho...jo ho gaya so ho gaya...apni is majboori ki shadi ko arranged marriage ka naam de do and give it a shot...kya pata sab kuch bohot khubsoorat ho jaye...shadi nibhani padti hai...efforts lene padte hai...aaj monami ne vrat rakha aur karan ne use gift ke taur par maa ke kangan diye jo use sabse pyaare the...this is a gesture of love and concern...aise hi gestures tum dono future me yaad karoge toh create some of them

Barkha smiles- he is right...puri zindagi pyaar ke bina nahi raha jata hai aur fir tum dono ne toh ek dusre ko saat janmo ke liye apnaya hai...agar saath khush nahi rahoge toh kaise jiyoge...kabhi na kabhi toh life partner ki kami khalegi...try toh karo...i am sure dono sath me bohot khush rahoge

Karan and monami look at each other and then at param and barkha. They nod.

Param- chalo...kal milte hai...good night

Karan and monami- good night bhaiya...good night bhabhi

Barkha smiles- good night...aur karan is weekend ghar par dono yaad se aana...koi bahana nahi chahiye

Karan nods and takes her blessings. Monami too takes their blessings. Param and barkha leave.

Karan looks at monami- andar chale...i will drop u to the room

Monami nods. They walk together inside the academy.

Karan- so aaj pehla session kaisa tha

Monami- honestly kaafi tiring tha...i just don't know tum log ye sab kaise kar lete ho

Karan smirks- commando ki training hai...aasaan toh hogi nahi...aur vaise bhi pehla din tha...dheere dheere aadat ho jayegi

Monami- maybe...by the way tum hamesha se soldier banna chahte the

Karan looks at her- jabse hosh sambhala hai tab se yahi sapna raha hai...pehle bhaiya commando bane aur fir main...tumne kabhi nahi socha army join karne ka...considering juhi mam ne army join ki thi

Monami- no...actually kabhi feeling hi nahi aayi ki army join karke country ke liye kuch karna hai...i was happy with what i was doing...zaroori toh nahi hai ki ham sirf army ya special forces me rehkar hi country ke liye kuch kare...country kisse banti hai...logo se right...agar main unhi logo ke liye as a doctor kuch kar rahi hu...toh i think maine apni country ke liye fair contribution kiya hai

Karan looks at her hearing her point of view.

Monami continues- ab zaroori nahi ki har insaan border par jakar lade just because unhe apni country ke liye love show karna hai...i believe ki agar aap country ke logo ke liye...uski economy ke liye bhi kuch karo toh vo aapka country ke liye love hi hota hai...ye sab bhi toh important hai...ye sab nahi hoga toh country kaise banegi (looks at karan) tumhara mission...ghar ghar me soldiers...uska bhi toh yahi motive hai na...ab har cadet ko toh tum army me appoint nahi karoge...kuch log vapis apne ghar jayenge...but jaha bhi vo rehte hai...apni is training se vaha ke rehne walo ke liye kuch karenge...that's what i am saying

Karan smiles- i agree with u...special forces ka kaam desh ko protect karna hai...par desh ko aage badhane ki zimmedari us desh me rehne wale logo ki hoti hai

Monami smiles- u know what i am really glad tum vaise type ke soldier nahi ho jo sirf ye sochta hai ki sirf uska profession hi best hai just because vo apni life khatre me daalta hai

Karan chuckles- aisa karna ham sabhi soldiers ke liye proud moment hota hai...jab ham hamare desh ke liye shaheed hote hai na toh hamare chehre par sirf muskaan aur sukoon hota hai...sukoon is baat ka ki ham ladte ladte Shaheed huye hai

Monami looks at him- ek baat puchu (karan nods) tumhe dar nahi lagta...i mean...ye sab guns aur weapons dekh kar mujhe toh bohot dar lagta hai...aur tum toh har waqt apni gun carry karte ho...aur fir missions par jana...thoda sa dar toh lagta hoga na...maybe not for u but for the family

Karan smiles- monami jab ham mission par jate hai na toh ham kisi ke bhai ya bete nahi hote...sirf ek soldier hote hai...aur ye gun chalana...it pleases us...jaise logo ko music se shaanti milti hai vaise hi mujhe gun ki aawaz se shanti milti hai specially agar goli dushman par chale

Monami- i can never understand that

Karan chuckles- jab khud commando ban jaogi tab tum bhi yahi bologi jo main keh raha hu

Monami smiles- impossible...jisne aaj tak logo ke seene me se goli nikaali hai vo kya kisi ke seene par goli chalayegi

Karan chuckles- point toh hai...par trust me ek din tum bhi aisa zaroor karogi

Monami challenges- dekhenge

Karan- abhi jakar so jao...kal morning session bhi toh hai

Monami nods- good night

Karan nods- good night.

They go to their respective rooms.

In monami's room

Monami has changed and was lying on the bed.

Monami in mind- main kitni galat thi karan ke baare me...vo bura insaan nahi hai (smiles) he is a nice man...infact gentleman hai...main hi pagal thi...use kos rahi thi shadi ke liye...par use bhi toh force kiya tha na...ab main use shadi ke liye blame nahi karungi...and who knows jo barkha bhabhi ne kaha maybe sach ho jaye...we can be really good couple

In karan's room

Karan was lying on his bed.

Karan in mind- aaj monami se baat karke pata chala ki har kisi ka point of view hota hai jo apni jagah se sahi hota hai...har kisi ka nazariya alag hota hai...monami ka bhi hai...she is independent...uski apni alag soch hai jo ki bohot sahi hai...she is a strong girl...frustration me aakar is shadi ke liye use blame karna galat tha...i should apologize

ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVEWhere stories live. Discover now