In sanjana's room
Monami looks around- wow...kitna accha room hai...jis tarah tum academy me rehti thi mujhe laga nahi tha ki tumhara room aisa hoga...i mean girly types
Sanjana laughs- kyo...ham bhi toh ladki hai...maa baapu ke liye beta banna chahto the par hai toh ladki hi
Monami- par tum beta kyo banna chahti ho...beti ho...beti bankar saare farz nibhao
Sanjana smiles- tu naa samjhegi...tu jis maahol se aayi hai vaha beti bete me koi fark naa samjha jato hai par ham jis maahol me bade huye hai vaha beti hamesha se parayi hoti hai...tu hamari chod...apni bata...tera kamra toh isse bhi accha hoga na
Monami smiles- haa...accha toh bohot tha...ek dam princess room types...maine sirf bachpan me ek baar kaha tha ki mujhe princess ke kamre jaise kamre me rehna hai...and papa ne pura kamra renovate karwaya tha...he got me all the things aur bas tab se usi kamre me reh rahi hu...i mean thi
Sanjana- yaad nahi aati
Monami- bohot...par kya karu...karan se jab bhi kehti hu vo mana kar deta hai...kehta hai safe nahi hai...i just hope ye sab jaldi khatam ho and finally i can go to my house...tumhe pata hai uska interior maine aur papa ne kiya tha
Sanjana smiles- tu bohot jaldi jayegi apne ghar...karan sir ji zaroor lekar jayenge tujhe
Monami smiles at her. They talk for sometime and then sleep.
Next day
It was sanjana's mehendi. All got dressed and were ready for the function in the aangan. Monami wears a green lehenga with a sleeveless and backless blouse along with matching accessories. Karan wore a green kurta. Karan smiles seeing monami.
Karan- acchi lag rahi ho
Monami- sirf acchi
Karan- bohot acchi lag rahi ho
Monami- mujhe toh laga tha main hot lag rahi hu
Karan smirks- vaise hot lag toh rahi ho...par kya hai na main tumhe free me compliments dekar bigaadna nahi chahta...ab tum har waqt thodi na aise hot bani rehti ho
Monami frowns- what do mean...main tumhe hamesha hot nahi lagti
Karan- ofcourse lagti ho
Monami- toh fir tumne kabhi mujhe mere favourite flowers kyo nahi diye
Karan frowns- flowers
Monami nods- u know...har boyfriend ya husband apni girlfriend ya wife ko flowers deta hai...tumne kabhi nahi diye mujhe
Karan makes a face- monami...tumhe pata hai na mujhse ye sab nahi hota hai...by the way tumhare favourite flowers hai kaunse
Monami pouts angrily- karan...u are hopeless...main hi paagal hu jo tumse pyaar kar baithi
Saying this monami leaves. Faizi who saw all this laughs and comes near karan who looks at him.
Karan- tu kyo has raha hai
Faizi- tum sach me bevkoof ho karan...tumhari biwi tumse flirt kar rahi hai...aur tum ho ki use koi bhaav hi nahi de rahe...gussa toh hogi naa vo
Karan- flirt...biwiya bhi flirt karti hai...i mean mujhe laga tha sirf girlfriend boyfriend hi flirt karte hai...pati patni banne ke baad flirt karne ka kya fayda
Faizi- tumne toh shadi se pehle bhi nahi kiya...shadi ke baad toh kar lo kam se kam...tum sach me hopeless ho karan
Karan sighs- tujhe bada pata hai na...toh bata main kya karu
Faizi- apni mohtarma ko manao...usse pyaar se baat karo...use phool do...use date par le jao...kuch toh karo
Karan irritated- haa haa thik hai...pehle sanju ki shadi attend kar le
Faizi nods. They go to the aangan. They see sanjana was sitting on the stage and two girls were applying mehendi on her hands. Gents were on one side while ladies on one side. Sanjana's mother comes near monami.
Amma- beta tum mehendi nahi lagwa rahi
Monami- actually aunty mujhe na mehendi ki smell bilkul pasand nahi hai...aur mehendi lagwana bhi kitna irritating hota hai...ye mere bas ki baat nahi hai
Amma- kamaal hai...suhaagan hote huye mehendi lagwane se mana kar rahi ho...are maudi...mehendi toh suhaag ki nishani hoti hai...suhaag ki nishani lagane se mana kar rahi hai (looks at monami) vaise sahi bhi hai...jab tune mangalsutra sindoor chudi payal bichiya...ye sab hi nahi pehna toh mehendi kyo lagwayegi...tum modern ladkiyo ne shadi ke rishte ko khel bana diya hai....
Sanjana interrupts loudly- amma
All look at them. Sanjana goes near them.
Sanjana- kya bol rahe ho...hamne pehle bhi kaha tha na aapse ki monami se aap aisa vaisa kuch naa kahoge...toh fir kaye ke lane tamasha kar raho hai
Amma- tu samajhti naa hai maudi...zara dekh is ladki ko...kaise kapde pehne huye hai...koi maan maryada hi nahi hai iski.....
Monami interrupts- enough aunty...main kuch keh nahi rahi iska matlab ye nahi ki aap kuch bhi keh sakti hai
Karan comes near them- kya hua...monami sab thik hai na
Monami looks at karan- mere sawal ka jawab do...hamari shadi ke baad main roz mangalsutra nahi pehenti...sindoor nahi lagati...chudiya aur payal nahi pehenti...tumhe isse koi dikkat hai
Karan frowns- nahi...mujhe kya dikkat hogi...tumhe nahi pehenna...mat pehno...par baat kya hai
Monami ignores his question- mujhe mehendi nahi lagwana kyoki mujhe uski smell pasand nahi hai aur naa hi future me kabhi lagaungi
Karan- haa toh mat lagwao...who cares...ab bataogi problem kya.....
Monami interrupts- mujhe backless aur sleeveless dresses pehenna pasand hai...mere paas mostly short dresses hai and i like wearing them
Karan looks at her weirdly- haa toh pehno naa...kisne roka hai tumhe....
Monami interrupts looking at amma- suna aapne aunty...jab mere suhaag ko hi in sab se koi problem nahi nai toh fir aapko kya problem hai...main jaisi hu vaise hi karan ne mujhe accept kiya hai...and aunty mere parents ne mujhe ye sikhaya tha ki shadi ki neev pyaar aur bharosa hota hai...jo ki mere aur karan ke beech hai...aur iske alawa hame aur kuch chahiye bhi nahi ek dusre se...main modern zaroor hu lekin shadi ke rishte me maanti hu aur use nibhana bhi janti hu
Amma gets quiet. Karan looks at monami who leaves from there.
Karan sighs- main dekhta hu
Karan goes behind monami.
YOU ARE READING
ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVE
FanfictionThis is continuation of the story written by @anjali1808. Please read the previous parts or u won't understand the story.