PART 47

760 59 8
                                    

In dispensary

Karan makes monami lie down and makes her drink water. Param barkha faizi sanjana were also there.

Karan scolds her- tumhara dimaag kharab hai...aisi haalat me tumhe jhaasi ki rani banne ka shauk chadha hai...khud se khade tak nahi ho paa rahi ho tum

Param- karan sahi keh raha hai baccha...tumhe rest karna chahiye...tum kyo aayi vaha

Monami- toh aur kya karti bhaiya...main agar statement nahi deti toh karan suspend ho jata

Karan- toh ho jane deti...pehli baar suspend nahi ho raha tha main monami...pehle bhi kayi baar ho chuka hu...na jane kitni baar maine rules tode hai aur har baar uski saza mili hai mujhe...ek baar aur sahi

Monami- lekin is baar tumhari koi galti nahi thi karan...tumne koi rule nahi toda tha...ab tak jab bhi tumhe suspend kiya gaya hai it was because u broke rules...bhale hi acche cause ke liye tode par rules tode lekin is baar reason alag tha karan...it could damage your reputation...aur agar pehle bhi suspend huye ho toh isi baar tumhe bura kyo lag raha tha...bhabhi aap samjhao na ise

Barkha smiles and holds karan's hand- karan...tumhe yaad hai jab ek baar param ko mission me chot lag gayi thi...main bohot pareshan thi...ro rahi thi tab tumne mujhse kya kaha tha (karan looks at her) tumne kaha tha ki bhabhi ek soldier ki family bhi soldier hoti hai...vo bhale hi desh ke dushmano se ladti nahi hai lekin apne man ko pakka karke apne family member ko desh ki raksha ke liye bhejti hai...soldier se bhi badi soldier uski family hoti hai...ek soldier kamzor pad sakta hai lekin uski family ko vo hak bhi nahi...karan...monami bhi ab tumhari family hai...tum jaise jaabaaz soldier ke peeche apne man ko pakka karne wali tumhari family...monami tumhari duty samajhti hai...tumhare man me desh ke prati jo bhavna hai use samajhti hai...vo janti hai desh ki raksha karna tumhara sapna hai aur monami me ek acchi patni ban kar apni jaan ke upar tumhara sapna rakha hai...tumhe use appreciate karna chahiye

Karan looks at monami who was now looking at him with tears in her eyes. Just then aneesh comes in. All looks at him. Aneesh goes near monami and holds her hand.

Aneesh- monami main dobara iv drip laga raha hu...ab ise hatana mat...u need it

Monami jerks him and takes her hand back.

Monami turns her face- mujhe iv ki zaroorat nahi hai...i am fine

All are surprised.

Karan- ab ye kya bachpana hai...lagane do use iv

Monami- maine kaha na mujhe nahi hai zaroorat

Aneesh- monami tumhe poison diya gaya tha...u need this iv...medicines bohot strong hai...directly nahi de sakte

Monami angrily- maine kaha na mujhe nahi chahiye...main bhi doctor hu...i know all this

Param- monami agar pata hai toh use karne do

Monami irritated- nahi bhaiya...mujhe nahi karwana isse koi bhi treatment...ise bolo yaha se jane ko...i can't tolerate him

All are shocked. Karan was getting angry and was about to burst out when faizi holds him.

Faizi- accha thik hai...monami ham bahar se doctor ko bula rahe hai...usse toh treatment karwa logi na

Monami nods. Faizi smiles and nods and goes to call the doctor. Aneesh leaves angrily. Karan leaves in anger. Sanjana goes behind karan. Monami looks at barkha who hugs her. Param sits in front of them and caresses monami's hair.

Monami looks at him- aapko bhi lagta hai maine galat kiya hai

Param smiles- bilkul bhi nahi...tumne jo bhi kiya pyaar me kiya aur apne pyaar ke khaatir kiya...aur jo bhi pyaar ke liye karte hai na vo kabhi galat nahi hota

Monami smiles but then pouts- toh fir aapka vo khadoos bhai faltu me gussa kyo kar raha hai

Param chuckles- vo isliye kyoki mere us bevkoof bhai ko pehli baar pyaar hua hai...use pata hi nahi hai ki pyaar me koi had nahi hoti...uske liye ye sab thoda naya hai...dheere dheere seekh jayega

Monami frowns- bohot slow learner hai vo

They all laugh.

Param- monami i am so happy today...tumhe pata hai jis tarah se aaj tumne karan ke liye stand liya na i felt so happy...mujhe na tasalli ho gayi ki mera faisla galat nahi tha...tum dono ki shadi karwa kar maine sahi kiya...varna logo ki baatein sun kar mujhe guilty feel hone lag gaya tha

Monami smiles- thankyou bhaiya...meri life me is khadoos shergill ko lane ke liye...haa bas thoda sa chilled out version hota toh better hota

Param laughs.

Barkha- aap dono mere devar ki taang kheechna band kijiye...bechara monami ki aisi haalat dekh kar kitna dar gaya tha...uske chehre par dikh raha tha

Param- vahi toh pyaar hai barkha...aur ab ye dono sahi track par chal rahe hai...aur mera man kehta hai karan ka ye dar in dono ko aur kareeb le aayega

Monami smiles.

Param- ab tum rest karo...faizi doctor bula raha hai...usse chup chap treatment karwa lena...barkha tum dhyaan rakho...main aata hu

Monami and barkha nods. Param leaves.

ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVEWhere stories live. Discover now