PART 42

842 64 8
                                    

In kitchen

Siddharth was making the coffee. Monami was sitting on the slab while karan was standing with support of the slab.

Monami- sid tu ye sab kyo kar raha hai...i know that u are not happy...then why

Siddharth looks at her- toh kya hua monu...baaki sab toh khush hai na...daddy g kitne khush hai...aur tu bhi toh hamesha se yahi chahti thi ki main life me kuch karu.....

Monami interrupts- haa par kuch aisa jise karke tujhe khushi mile...sid u are not like this...tu bina pasand ke khana nahi khata tha aur ab tu bina pasand ka kaam kar raha hai...kyo

Siddharth- kabhi kabhi dusro ke liye bhi kar lena chahiye...and i am fine...trust me...aur tu all the way mujhse milne aayi hai...mujhse zyada aur kaun khush hoga...ek minute...don't tell me ki tum dono sirf mera bahana bana kar yaha aaye ho...asal me dono ko akele me time bitana tha...wow...dates and all haa...nice

Monami sighs.

Karan- siddharth topic mat badlo...ye tum bhi jante ho aur ham bhi ki u are hurt...and i know galti sanju ki hai use tumhe bata dena chahiye tha.....

Siddharth interrupts- nahi sir...galti sanju ki...i mean sanjana mam ki nahi hai...she was clear from day one...maine hi kuch zyada hopes rakh liye the

Karan- nahi siddharth...galti hamari thi...hame tumhe pehle din sach bata dena chahiye tha...us waqt mujhe laga ki tum sanju ko pareshan kar raho ho...usse flirt kar rahe ho but i was wrong...ab samajh aaya ki tum bas apne pyaar ka izhaar kar rahe the...haa thodi jaldi kar diya par sacche dil se kiya tha...aur hamne itne waqt tak tumse chupaya ki sanju engaged hai...we are sorry

Siddharth- aap bas apni friend ko protect kar rahe the...maine bhi toh aapse kitni ladaiya kari hai apni friend ki khushi ke liye...so its fine...agar main aapki jagah hota toh shayad yahi karta

Karan nods- ek baat kahu siddharth

Siddharth giving them coffee- yes

Karan- kabhi kabhi ham situation ko jaisa interpret karte hai vaisa actually hota nahi hai...maine tumhe strategy class me first day sikhaya tha visuals are always deceptive unless u interpret them correctly...ho sakta hai jis situation me tum abhi ho vo bhi kuch aisi hi ho

Siddharth looks at him. Monami also looks at karan trying to understand what is he trying to do.

Siddharth exclaims- vo manju wali story sanju hi manju thi right

Karan smiles- bingo

Siddharth takes support of slab and sighs- damn it...how can i be so stupid...sanju mujhe apni life ki story suna rahi thi aur maine uske stupid lies me believe kar liya...god...so stupid siddharth ganju...par ab main kya kar sakta hu...uski family aur future in laws academy aaye the use lene...what can i do now

Monami- sanju ko himmat de ki agar usne apni family ke samne apne dil ki baat keh di toh vo galat nahi hai

Karan- siddharth...sanjana me bohot himmat hai...she is very strong lekin strong se strong insaan ki bhi weakness hoti hai...sanju ki weakness uske parents hai aur uske parents ki weakness samaj me unki izzat hai...sanju sirf apne parents ki izzat ke liye ye shadi kar rahi hai...vo tumse pyaar karti hai...ye mission tumhe sanju ke bagair hi complete karna hoga

Monami- sid...why don't u understand...tu aur sanju dono ek dusre se pyaar karte ho...sirf society pressure ki vajah se alag hona is not the solution

Siddharth sighs- monu...i know u are worried for me but trust me ye jaan kar ki sanju bhi mujhse pyaar karti hai i am happy...lekin main sanju aur mere liye lad nahi sakta

ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVEWhere stories live. Discover now