At night
Karan comes in his residential house and sees siddharth and monami talking and siddharth feeding food to monami.
Karan surprised- siddharth
Sid and monami looks at karan who comes in.
Karan- tum yaha
Siddharth- haa vo monu se milne aaya tha...jab pata chala ki use kisi ne zeher diya hai i couldn't control myself
Karan nods.
Siddharth- kuch pata chala zeher kisne diya
Karan- no...par use toh main dhund nikalunga (looks at monami) tabiyat kaisi hai tumhari
Monami smiles- good
Karan- haa vaise bhi siddharth ko dekh kar toh tum thik ho hi gayi hogi isliye toh usse apni seva karwa rahi ho
Monami pouts- haa toh tumhe kya problem hai...sid vaise bhi mera dost hai...mujhe khana khila raha hai...tumhe vaise bhi apni duty ke aage kuch dikhta kaha hai
Karan- oh really...jo ye khana siddharth tumhe khila raha hai na vo by the way maine bheja tha tumhare liye
Monami- bhejne se kya hota hai...apne haatho se khilana chahiye...tumhari biwi beemar hai after all
Karan- jis tarah se tum behes kar rahi ho lagta toh nahi hai ki tum beemar ho
Monami angrily- shut up khadoos shergill
Siddharth smiles seeing their banter while he also keeps on feeding monami. Karan sees him.
Karan- tum kya has rahe ho...tumhari best friend ko pata nahi tum itne saalo se kaise jhel rahe ho...hats off to u...tumhe toh bravery award dena chahiye
Monami hits karan with a pillow while siddharth laughs out with karan. They hi-fi.
Monami pouts- tum dono kitne bure ho
Siddharth back hugs her- awwww
Monami smiles. They all smile.
Siddharth- accha chal...ab bye
Karan and monami frown.
Monami- bye matlab...tu jaa raha hai...ruk nahi raha
Siddharth nods in no- i have to go monu
Karan- par kyo...dekho siddharth i am not forcing u...par tum ek bohot acche cadet the...why don't u resume your training...vaise bhi academy ne tumhe paanch saal ka waqt diya hai...agar in paanch saalo me tumhe kabhi bhi aisa lage ki tumhe apni training fir se shuru karni hai tum kabhi bhi rejoin kar sakte ho...aur fir jis vajah se tum ye academy chod kar gaye the ab toh vo vajah bhi kal khatam ho jayegi
Monami looks at sid while he controls his tears.
Sid- nahi ho payega karan sir...bohot saari yaadein hai is academy me jo sanju ke jane ke baad bhi yahi rahegi...i can't stay here...please
Monami nods- thik hai toh fir tu jaa...kyo aaya yaha...just go
Siddharth hugs her- tu kitna bhi gussa kar le...i know u love me
Karan smiles seeing them.
Monami- take care
Siddharth smiles and kisses her cheeks- tu bhi...kuch khane ka man kare toh chinese kha lena...zeher khane ki zaroorat nahi hai
Monami hits him while karan chuckles. Monami hugs sid and then sid hugs karan. Sid leaves. Karan hugs monami consoling her.
Karan- are u ok
Monami nods- weapons kisne churaye the
Karan sighs and pulls her closer- mujhse aise sawal mat pucho jiska jawab main tumhe nahi de sakta
Monami looks at him- confidential hai
Karan nods. Monami sighs and keeps her head on his chest.
Karan- kal doctor armaan jain academy aa rahe hai...vo faizi ka friend hai...tumhara check up karenge
Monami- hmmm...bahar se doctor kyo
Karan sarcastically- kyoki rani sahiba ko academy doctor se treatment nahi karwana hai
Monami pouts- haa toh...its my decision...aur main ye keh rahi hu ki doctor ko bulane ki kya zaroorat hai...main bhi toh doctor hu
Karan- tum khud ko check karogi...koi tumhare reports par believe nahi karega...protocol hai
Monami makes a face- ok
Karan smiles and kisses her forehead.
Monami- karan
Karan- hmmm
Monami- mujhe ice cream khilane lekar jao na
Karan looks at her- what...ice cream...is time par
Monami nods.
Karan- tumhara dimaag kharab hai
Monami pouts cutely- karan please...pretty please
Karan sternly- no
Monami gets irritated. Karan looks at her and smiles.
Karan- ice cream toh nahi par agar chaho toh coffee par le ja sakta hu
Monami gets excited- sacchi
Karan nods- academy me
Monami's smile vanishes- no
Karan- yes...chalo
Karan takes monami to the kitchen.
YOU ARE READING
ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVE
FanfictionThis is continuation of the story written by @anjali1808. Please read the previous parts or u won't understand the story.