PART 51

550 48 4
                                    

In kitchen

Karan makes coffee for both of them while monami was sitting on kitchen slab. He gives her a tablet and glass of water. Monami whines but karan glares her.

Monami mumbles- khadoos

Monami gulps the tablet. Karan pecks her lips. Monami blushes. Karan pours coffee in a single mug and comes towards monami.

Karan- ritual complete kare

Monami smiles shyly and nods. He makes her take a sip and then himself takes a sip from exactly the same place she drank. They share their coffee. Faizi comes there and sees them.

Faizi teases them- oops...sorry...hame pata nahi tha ki tum dono yaha romance kar rahe ho

Monami smiles shyly.

Karan glares him- shut up...ham koi romance nahi kar rahe hai...sirf coffee pi rahe the

Faizi- janab ji...ek cup se dono coffee pi rahe ho...normal log ise romance hi kehte hai

Karan- tu naa....

Monami interrupts- tum faizi ko kyo daat rahe ho...in fact tumhe usse kuch seekhna chahiye

Karan looks at her- really...mujhe is saand se seekhna chahiye...zara batayengi aap ranisahiba ye saand mujhe kya sikhayega

Faizi and monami together- romance

Karan gets quiet while monami and faizi laughs. They hi-fi.

Faizi- karan...tum na thode old school types ho...are tumhe vo fairy tale wale romance ke baare me kya pata...isliye kehta tha ki hamare sath romantic novels ya films dekh lo

Karan glares him.

Monami- kaash tum faizi ki baat maan lete...mera bhala ho jata

Karan- seriously monami...fairy tale romance...life me kuch bhi fairy tale nahi hota hai...apni imagination se bahar aaiye ranisahiba...asal zindagi mehlo me nahi junglo me jee jati hai

Monami sighs- offo karan...ye toh sabko pata hai ki fairy tales asal zindagi me nahi hoti lekin hope karne me kya burai hai...agar ham hi apni life se pyaar nahi karenge toh koi aur kaise karega...asal zindagi bhale hi junglo me jee jaye par sapno me hi sahi mehlo ki umeed karna bhi galat nahi hai

Karan- aur fir jab ye umeed toot ti hai toh us dard ka kya

Monami- hota hai...bohot dard hota hai...lekin ham logo me dobara umeed karne ki himmat bhi hoti hai...ham zindagi se haar nahi maante...tum bhi toh missions me alternative plans sochkar jate ho...plan a fail hua toh plan b...vaise hi agar ek sapna pura nahi hua iska matlab ye toh nahi ki koi aur sapna pura nahi hoga...sabki apni apni destinies hoti hai

Faizi- i completely agree with u monami...karan...tumhe na life ko thoda enjoy karne ki zaroorat hai...thoda chill karo aur sab apni kismat par chod do

Karan- nonsense...kismat vismat kuch nahi hoti...monami...tumhare sath itna sab kuch ho gaya uske baad bhi tum life se umeed kaise kar sakti ho...itna sab hone ke baad bhi u still believe in destiny

Monami nods with a smile- kyoki mere paas meri alternative choice thi...mujhse mere mumma papa cheen gaye toh meri kismat tumhe meri life me le aayi...ek family khatam ho gayi toh ek nayi family bhi mujhe mili...mera passion...mera kaam mujhse door ho gaya toh kismat mujhe yaha academy me le aayi...yaha aakar kahi na kahi maine meri mumma ko jaana hai...senior officers se unke kisse sune hai...jo main shayad kabhi jaan hi nahi payi...hamesha papa ki tarah banna chaha hai maine...mumma zyada waqt nahi de paati thi na...par ab mumma ko jaan rahi hu...isn't this destiny...and main yaha aakar sid se mili...vo sid hi tha jisne mujhe mere trauma se baahar nikala...ye sab kismat nahi toh aur kya hai

Karan chuckles- i still don't believe all this...tumhe maan na hai toh maano...i don't...tumhari life me mujhe tumhari kismat nahi hamari families layi thi...tumhari mumma aur mere bhaiya ki iccha ka maan rakha tha hamne...hamari shadi ke peeche kismat ka khel nahi hamare bado ki iccha thi...aur shadi ke baad nayi family milte hi hai...naye rishte judte hi hai...tumhara kaam tumse door nahi hua hai...bas ek naye roop me tum apne usi passion ko jee rahi ho...siddharth tumhara dost hai...vo har sunday tumhe dhundne ki koshish karta tha...usne faizi aur sanjana se madad bhi maangi thi...aur juhi mam ke tum bohot close naa sahi...par beti unhi ki ho...she loved u...missions par jab ham relax karte the...tab unke paas baat karne ke liye sirf ek topic hota tha...unki beti...so all this is not destiny

Monami frowns.

Faizi laughs- rehne do monami...karan ne agar thaan liya hai na toh vo kuch bhi logic laga dega par prove kar ke rahega ki jo vo keh raha hai vahi sach hai

Monami- u are impossible khadoos shergill

Karan glares her making faizi laugh more.

Faizi- karan...tumne sanju ki shadi me jane ke liye leave application nahi di ab tak

Karan- likh ke rakhi hai bas bhaiya ko dena hai

Monami's smile vanishes. Faizi looks at her.

Faizi- monami...tumne bhi application di ya nahi

Monami- meri application kyo

Faizi- kyo...tum nahi chalogi shadi me...sanju ne tumhe bhi invite kiya hai

Monami- barkha bhabhi toh mana kar rahi thi

Karan- baby ke exams hai...aur agar ham sab academy se chale gaye toh bhi thik nahi rahega...tumhari application bhi maine likh di hai...main de dunga

Monami looks at him- tumne mujhse pucha tak nahi

Karan sighs- kyoki main dobara vahi discussion nahi karna chahta...tum sanju ki shadi me nahi jana chahti...i respect that par main jana chahta hu...i agree ham sab se galti hui hai lekin shayad ye last time hoga jab ham usse mil payenge...aur bhaiya ne mujhe clearly keh diya hai ki main tumhare bina vaha nahi jau...aur main bhi tumhe yaha akele nahi chod sakta...already tum par attacks huye hai...i don't want to take risk

Faizi- monami...tum vaha karan ki patni hone ki haisiyat se jaogi...sid ki dost ban kar nahi...tumhare jane se hamari galti toh kam nahi hogi par shayad tumhare best wishes dene par sanju ki life thodi easy ho jaye

Monami sighs- fine...main chalungi

Karan smiles a little. Faizi too smiles.

Karan- good...ham parso niklenge

Monami nods- ok...karan...main room me jati hu

Karan nods- main thodi der me aata hu

Monami nods and leaves. Karan looks at faizi.

Karan- faizi...mujhe monami ke liye best security chahiye...vaha shadi ke maahol me kuch bhi ho sakta hai...we have to be alert

Faizi- tum fikra mat karo...ham best security arrangements karenge aur monami ko ek pal ke liye bhi akela nahi chodenge...ham dono me se koi ek hamesha uske sath rahega

Karan nods- i hope is baar monami ke sath kuch naa ho

Faizi- don't worry...ham monami ka pura dhyaan rakhenge

Karan humms. They both talk about some missions and then leave to their rooms.

ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVEWhere stories live. Discover now