This story is on Anisha death track. No Sirat and Arohi exists here. KaIra died together falling from the cliff in the bus accident. Their bodies were found after 2 days and they had a proper funeral. After their death Krishna bought up KaiShu like a mother. Here Krishna is KaIra's real daughter which they found out about during the fire incident before Akshu was born. Naira was a sherni so her elder daughter is a babbar sherni and younger daughter is chotu sherni. Krishna wasn't there during Abhira's wedding coz she was with Naitik in Cape Town taking care of him as he was sick. The other Singhanias are in Australia.
Goenka Villa
Suhasini: Bolo Kairav beta aisi kya wajah thi joh tujhe Anisha se shaadi todni padi.
Swarna: Sach kahu Kairav agar tu yeh shaadi nahi todhta na toh aaj yeh sab nahi hota joh horaha hai
Manish(shouts): Arey atleast ab toh bolo kyun kiya tunhe woh sab.
Akhilesh: Aise chup rehne se kuch nahi hota Kairav, please humhe sab sach batado.
Vansh: Kairav main tera best friend hoon tu mujhse bhi share nahi karega ki kya baat hai.
Swarna: Sab please shaant hojaye aur Kairav ko apni safaai dene ka mauka toh dijiye. Hum sabko pata hai Kairav kaisa hai, agar unhone yeh kiya hai toh zarur koi bohot badi wajah hogi. Kairav tu bata kya hua tha.
Kairav: Main kya karta, Anisha mujhe dhoka derahi thi. Woh mujhse pyaar kabhi karti hi nahi thi sirf mera istemaal kar rahi thi.
Suhasini: Matlab.
Kairav: Mimi Anisha ka affair chal raha tha woh bhi ek shaadi shuda aadmi ke saath aur woh uske bacche ki maa bhi banne wali thi, Anisha mujhse shaadi sirf apna affair continue karne keliye aur apne bacche ko mere upar thopne ke liye kar rahi thi. Yeh baat Akshu aur mujhe pata chal gayi thi kal rakshabandhan ke celebration ke baad. Maine usse kaha tha ki woh apne family ko sach bataye par usne meri baat nahi sunni aur mehendi function ke liye sidha ghar pahunch gayi yaha. Mujhe gussa agaya aur main rishta todke chala gaya terrace pe. Woh bhi mere peeche peeche agayi aur mujhe convince karne ki koshish kar rahi thi ki main yeh shaadi na todhu par maine uski baat nahi maani. Main bhi kya karta Mimi main kaise usse shaadi karne ko taiyaar hojao yeh janne ke baad ki uska kisi aur aadmi ke saath affair hai. Phir woh suicide karne ki dhamki derahi thi railing pe khade hokar, maine usse bohot samjhane ki koshish ki lekin woh kuch sunne ko taiyaar hi nahi thi aur utne mein hi galti se uska pair slip hogaya. Maine usse bachane ki koshish ki thi uska haath pakadke par uska haath chut gaya aur woh gir gayi. Na Anisha ne suicide Kiya na maine usko dhakka maara, it was just an accident. Kya maine Anisha se rishta todke galat kiya. Main Anisha se bohot pyaar karta hoon toh main kaise usse maar sakta hoon aap sab mera yakeen kijiye maine Anisha ko nahi maara.
Everyone is shocked hearing this.
Manish: Ha beta hum jaante hai tunhe Anisha ko nahi maara.
Swarna: Ha Kairav hum kya apne pote ko jaante nahi hai kya, hum jaante hai tu kaisa hai aur tu aisa kuch kabhi kar hi nahi sakta.
Akhilesh: Kairav beta humhe maaf kardo bina puri baat jaane humne tujhpe chillaya.
Suhasini: Aur beta tunhe kuch galat nahi kiya Anisha se rishta todke, agar koi dusra tere jagah hota toh woh bhi wahi karta joh tunhe kiya hai. Kon yeh baat janne ke baad shaadi karne ko taiyaar hosakta hain ki uski mangetar ka kisi aur ke saath affair hai.
Manish: Humhe jaake Birlas ko yeh baat batani hogi nahi toh woh Kairav ko hi galat samajhte rahenge aur iska asar kahi Abhimanyu aur Akshu ke rishte par na pade.
Akhilesh: Ha bhaisaab mujhe bhi issi baat ka darr hai ki kahi Birlas Akshu ko baate na sunaye khaskar Anand ji Mahima ji aur Harshvardhan ji. Unhe toh pehle se hi Akshu pasand nahi hai aur ab unhe ek aur mauka mil gaya Akshu ko pareshaan karne ka.