This ts is about Karthik and Kairav telling Akshara about her mother Naira. Here Akshara is 12 years old and Kairav is 18 years old. Here Keerti and Kartik were orphans who stayed in the aashram in Rishikesh where they met Naira and they grew up together.
Scene starts from Kartik and KaiShu sitting together in the garden.
Akshu: Kya hua papa bhai aap dono ne mujhe yaha kyun bulaya, mujhe apne dosto ke sath khelne jaana hai.
Kairav: Akshu baccha hume tujhse bohot zaruri baat karni hai.
Akshu: Kya baat hai bhai?
Kartik: Princess tu bohot baar humse puchti hai na ki sabke paas mumma hai tere paas kyun nahi hai? Aaj main tujhe teri mumma ke baare mein sab bataunga.
Akshu: Ha papa please batayiye na mujhe mumma ke baare mein. Mujhe toh apne mumma ke baare mein kuch nahi pata, maine toh aaj tak unki ek photo bhi nahi dekhi.
Kartik shows her a photo.
Akshu: Yeh lady kitni sundar hai, yeh mumma hai kya?
Kairav: Ha baccha yeh humari mumma hai.
Kartik: Tujhe pata hai princess main teri mumma se pehli baar Rishikesh mein mila tha jab Keerti aur mai orphanage mein rehte te. Ashram mein humara kabhi koi dost nahi tha lekin jab Naira aayi tab woh humari sabse acchi dost bangayi. Dheere dheere wakt guzarta gaya aur humari dosti aur bhi gehri hoti gayi. Jaise jaise hum bade hote gaye humhe ek dusre se pyaar hota gaya. Phir baadmein maine usse secretly propose kiya tha uski 16th birthday par aur usne mera proposal accept bhi kar diya. Main bohot khush tha uss din ki mere pehle pyaar mujhe mil gaya. Aise hi samay beet gaya humara pyaar badta gaya aur jab hum 18 saal ke hogaye tab hum dono ne shaadi kardi shivji ke mandir mein.
Kairav:Yeh dekho Akshu mumma papa ki shaadi ki picture hai.
Kartik: Uss wakt humne ek simple si shaadi kardi kyunki humare paas bohot kam finances te. Hum dono job karke humare start-up ke liye paise save kar rahe te joh humara sapna tha. Keerti ne uss wakt already apna ek successful boutique open kiya tha aur usi ne humari shaadi ka saara karcha uthaya tha. Humhe ek paisa bhi spend karne diya. Woh humhe encourage kar rahi thi apne dream ke liye save karne keliye. Ek minute main tujhe ek pic dikhata hoon. Yeh pic humare pehle teej ka hai. Mujhe toh pata bhi nahi tha ki uss din teej hai. Jab main office se ghar aaya tab mujhe pata chala ki uss din teej tha aur Naira ne mere liye vrat rakha tha. Phir hum dono ne saath mein teej manaya.