Part - 18

1.4K 177 8
                                    

At night,

Veer peeked into guest room and saw Ragini is tossing on the bed. He slowly went to Ragini's side and poked her shoulder. She turned towards him and was about to shout but Veer kept his palm on her mouth.

R : mm mm

V whispers : sshh. Nind nahi aa rahi thi mujhe toh tere paas aa gaya..

Ragini nodded.

V whispers : tujhe bhi nind nahi aa rahi na?

Ragini nodded in No.

V whispers : tu aise sir kyun hila rahi hai? Baat kar.

Ragini glared at Veer and then he realised his hand was on her mouth.

V whispers : oops sorry baby.. chal inha se..

R whispers : kahan?

V whispers : chal na..

Saying this Veer picked her up and went towards Terrace.

R : wow kitna sundar hai ... Yeh toh mini garden hai.

V : yeah sab Mom ne sajaya hai.. aab age jaake meri biwi sajayegi..

Ragini's face fall. Veer lifts up her face and made her look at him.

V : batao kya baat khaye ja rahi hai?

R : kya? Kuch kuch bhi toh nahi.. tum kya bol rahe ho.

She tried to go away from him but he pulled her near him and back hugged her. She also did not deny, she leaned her head against his chest.

V : only truth..

R : Veer yeh jo bhi feelings humare beech hai kya uska koi destination hai? I mean kya main kabhi bhi tumhare liye perfect ho paungi? Dekho na Riddhima kitna full of life hai. Jahan bhi jati hai waha khusiya hoti hai. Logo ko samajhti hai, mature hai. Aaj usne aunty ki help bhi ki, humare dosto se paheli bar mili thi aaj aur dekho kitna close ho gayi sabse jaise pahele se jante ho. Wo ekdam perfect hai. Haina? Aur ek mujhe dekho, main ek immature, manhoos hu. Inha pe hu par aunty ki madad bhi nahi kar pa rahi. Unko sara kam akele hi karna pad raha. Jaha mujhe unki dekhbhal karni chahiye thi waha wo meri dekhbhal kar rahe..

V : ho gaya?

R : huh?

V : ho gaya meri Princess ka burai karke? Bhar gaya mann? Mil gayi santushti ? Ya aur kuch baki hai?

R : Veeeer !! Kabhi toh serious ho jao life mein.

Veer cupped her face.

V : Ragini main isse pahele itna serious kabhi nahi hua. Main tujhe leke jitna serious hu na utna kabhi bhi kisiko ya phir kisi bhi cheez ko lekar nahi hua hu. Aur yeh baat kaan khol ke sun aur dimag mein bitha le ki tu aur sirf tu hi mere liye perfect hai. Tu mane ya na mane main sirf tujhse pyar karta hu. Aur tu manhoos nahi hai tu meri lucky charm hai. Tu immature nahi hai, tu jo samajhti hai, logo ko jaise samjah sakti hai na hum mese koi nahi kar sakte. Tu bohot precious hai Ragini. Mere liye hum sabke liye.

R : sacchi? Main precious hu? 🥺

Veer nodded in yes.

R : phir mere ghar pe meri koi value kyun nahi hai. Kya main unke liye precious nahi hu? 🥺 Kya wo log mujhse utna pyar nahi karte jitna Swara se karte hai, Riddhu se karte hai. Unko humesha main galat kyun lagti hu? Mere decision ko kyun nahi value dete hai.

V : nahi Ragini sab karte hai tujhse pyar. Tu toh kitni pyari ladki hai.. koi tujhse pyar na kare aisa ho hi nahi sakta. Aur tu khudko sabse kyun compare kar rahi hai? Swara, Riddhima aur tum alag insaan ho.. tum logo ke tareeke, baatein sab alag hai. Wo log unke jagah sahi aur tu teri jagah.

Kuch kahena thaWhere stories live. Discover now