Armaan, y/n- KYA!!
Armaan- Maa mujhe laga tha aap yahan aane ke liye yunhi keh rahi hain!! Par yahan toh aap dono ke matlab hi kuch aur the.
Phir woh y/n ke room mein jaata hai
Darishta- Arre bhai aap?
Woh kuch kehta nahi hai aur darishta ke paas se noor ko le leta hai aur wahan se chala jaata hai aur yeh bhi nahi dekhta hai ke usske kapde gande hain
Salim- Arre armaan kahan jaa raha hai?!! Ruk toh.
Afsana- Arre armaan beta ruk na.
Par woh nahi sunta hai aur ghar se nikal jaata hai y/n yeh sab tamasha bas chup chap dekh rahi thi
Salim- Dekho iqbal humare taraf se toh yeh rishta pakka hai hi tumhare jawab ka intezar rahega.
Iqbal- Par armaa toh-
Afsana- Ussne toh bas aise hi keh diya hum ager samjhayenge toh samajh jaayega.
Salim- Hmm ab hum chalte hain darishta tum chal rahi ho beta?
Darishta- Nahi main yahin rukungi.
Afsana- Thik hai.
Aur woh log chale jaate hain
Next scene
Iqbal- Toh beta kya kehti ho aap hmm?
Y/n- Dad aapko nahi lagta ke armaan ko iss rishte se koi problem hoga?
Iqbal- Arre armaan ki mummy ne kaha tha na ke ussne toh bas aise hi keh-
Y/n- But still dad.
Iqbal- Arre y/n beta.............. darishta beta tum hi samjhao isse.
Darishta- Okay uncle aap jaaiye main isse samjhati hoon.
Iqbal- Hmm.
Iqbal phir y/n ke room se chala jaata
Darishta- Yaar sun tujhe toh pata hai na bhai toh har baar hi bas jaldbazi mein har faisle le lete hain mummy papa haina unke sath woh unhe bade acche se samjha denge hmm.
Y/n- But yaar mujhe unse thoda bohot darr hi lagta hai dekha hai na tune ke har baar woh aisa😑 hi banake rakhte hain hmm.
Darishta- Woh toh maloom hai par please yaar bhai ke liye na sahi par noor ke liye toh haan karde please.
Y/n- Haan baba thik hai yaar tu bas aise please please mat bol mujhe accha nahi lagta.
Darishta- Toh tu sach mein bhai se shaadi karne ko taiyar hai?
Y/n- (noded) Hmm.
Darishta- Yayyyyyyyyy!! Main abhi uncle ko batake aati hoon.
On other side
Armaan- Maa papa aap log sab jaante hue bhi aisa kyun keh rahe hain!!
Salim- Kya tum ek baar bhi humari baat nahi maan sakte haan!
Armaan- Nahi maan sakta!! Kyun ki main apni zindagi se aise hi khush hoon so please mujhe mere haal pe chhod dijiye aap sab!!
Salim- Armaan!!
Afsana- Arre aap chupiye main samjhati hoon isse, beta humein pata hai tujhe kisi ki zaroorat nahi hai par noor? Usska toh soch ek bacche ko maa ke alava palna bohot mushkil hota hai.
Armaan- Par maa-
Afsana- Beta main jaanti hoon ke tu ab bhi hayat se hi pyar karta hai par humara bhi toh soch ke kya hum nahi chahte ke tu hamesha khush rahe.
YOU ARE READING
Fanaa
FanfictionEk ladki thi bohot pyari si. Y/n naam tha usska. Bacchon se bohot pyar karti thi. Lekin usska bacchon se pyar karna ek din baandh dega usse ek aise shaadi ke bandhan mein jahan usska shauhar usse pyar hi nahi karta. Armaan ek ladka jissne kabhi ek l...