Chapter 11

167 11 0
                                    

Darishta- Mummy bhai bas aane hi wale hain, maine unhe bula liya hai.

Afsana- Accha kiya, beta yeh tumne badi acchi khushkhabri di hai main bohot khush hoon.

Y/n kuch kehti nahi hai aur bas apne haath mein rahe paper ko dekhti hai thodi der mein hi armaan aa jaata hai

Armaan- Kya hua hai? Itni jaldi mein kyun bulaya?

Darishta- Baat hi aisi hai bhai....

Armaan- Kya?

Darishta- Woh toh aap bhabhi se hi pucho 😏~

Armaan- Kya? Main samjha nahi.

Afsana y/n ke haath se woh paper leti hai aur armaan ko deti hai

Armaan- Kya hai yeh?

Afsana- Khud hi dekh le (smile).

Armaan woh paper fold ki hui thi toh woh kholke dekhta hai aur woh dekhke woh jungshook ho jaata hai

Armaan- Y-y/n tum?

Woh y/n ka haath pakadta hai aur room mein le jaata hai

Armaan- Y/n tum pregnant ho?

Y/n kuch kehti nahi hai bas apna sar jhukake sar haan mein hilati hai

Armaan- Mujhe nahi chahiye yeh baccha.

Yeh sunke y/n ek dum shock ho jaati hai

Y/n- K-kya p-par-

Armaan- Noor hi kaafi hai humare liye, yeh baccha nahi rakh sakte hum.

Y/n- Lekin armaan k-kyun(sob).

Armaan- KYUN KI MUJHE YEH BACCHA NAHI CHAHIYE!! Aur tum abortion karwa rahi ho.

Y/n- M-mujhe nahi k-karwana.

Armaan- Kyun? Kyun nahi karwana?!!

Y/n- (sob) Mai-

Armaan- Ohh tumhe toh apna baccha chahiye hoga na? Haan....... noor toh tumhari beti nahi hai na.

Y/n- A-armaan yeh aap keh rahe hain? Noor ko maine hamesha apni beti hi samjha hi kyun ki woh meri beti hai na-

Armaan- Nahi hai woh tumhari beti!!! Ager rehti toh tum itni zidd nahi apne bacche ke liye.

Yeh kehke armaan room se chala jaata hai aur y/n poore shock mein thi aur rote rote floor pe gir jaati hai

Next scene
At night

Raat ho gayi thi aur armaan abhi tak ghar nahi aaya tha aur y/n toh tab se room mein hi thi tab hi room ka darwaza khulta hai aur armaan ander aata hai woh jaake y/n ke paas baithta hai

Armaan- Sorry subha ke behavior ke liye par y/n try to understand hum yeh baccha nahi le sakte.

Y/n kuch nahi kehti hai

Armaan- (sigh) Tumhe pata hai ke h-hayat ki death kaise hui.

Yeh sunke y/n armaan ki taraf dekhti hai na mein sar hilati hai

Armaan- Tumhe toh pata hi hoga ke hayat ki barsi aur noor ka birthday ek hi din padta hai kyun ki woh noor janam dene ke baad hi.....(sob) ek baar apni jaan kho chuka hoon d-dobara nahi khona chahta.

Yeh sun ne ke baad y/n usska face jaldi se cup karti hai aur kehti hai

Y/n- Yeh wajha hai kya?

Armaan- (nod) Hmm.

Y/n- A-armaan yeh zaroori toh nahi hai na ke mera sath bhi aisa hi ho.

Armaan- Par y/n main nahi sakunga (sob) Mujh mein aur taqat nahi hai ke tumhe bhi kho dun.

Y/n- Mujhe kuch nahi hoga aapka pyar mujhe kuch nahi hone dega jab main himmat kar rahi hoon toh aap nahi karenge? Sath nahi denge mera?

Armaan- Y/n....-

Y/n- Sath denge mera ya nahi?

Armaan kuch nahi kehta hai bas y/n ko ek baar dekhta hai aur sar haan mein hilata hai yeh dekhke y/n khush ho jaati hai aur armaan ko hug karti hai aur woh bhi usse hug back karta hai

Time skip~
Next day

Breakfast ka time tha sab ek sath nashta kar rahe the aur y/n ko noor ko khila rahi thi

Y/n- Aaa karo mera baccha....aaa.

Noor aaa- i mean muh kholti hai aur y/n usse cereal (ek saal ke bacche cereal khate hain na?) khila deti hai noor ko khilane ke baad jab woh khud khane jaa rahi thi toh usse ulti sa lagta hai aur woh chair se uthke jaldi se bathroom mein jaati hai armaan bhi usske peeche jaata hai woh usske paas jaata hai aur usska back rub karta hai

Armaan- Thik ho na? Chalo doctor ke paas chalte hain.

Y/n- Arre thik hoon main, yeh sab toh normal hai aapko pata nahi hai kya?

Armaan- Hai pata khair main toh ab se office nahi jaane wala.

Y/n- Hain? Kyun?

Armaan- Kyun kya kyun? Halat dekho apni iss halat mein tumhe chhodke main kahin nahi jaane wala.

Y/n- Waah isska matlab aap aane wale 9 mahine tak office nahi jaayenge?

Armaan- Haan, zaroorat padi toh nahi jaunga.

Y/n- Aap sach mein pagal ho gaye hain arre ghar pe mummy hai darishta hai papa bhi hain sab mera khayal rakh lenge aap tension kyun le rahe hain....

Armaan- Mujhe unn par yakeen hai par tum par nahi.

Y/n- Woh kaise?

Armaan- Woh aise ke maan lo darishta hi tumhare liye khana leke aayi toh tum kya kahogi 'nahi mujhe nahi khana' 'nahi khana mujhe' 'mann nahi kar raha hai' aur ussko majbooran jaana padega par ager main rahunga toh zabardasti hi sahi par tumhe time to time khana khila diya karunga.

Y/n- Main bacchi thodi hoon jo aise zidd karungi.

Armaan- Tum ho bacchi.

Y/n- Nahi hoon.

Armaan- Ho.

Y/n- Nahi hoon.

Armaan- Ho......

Y/n- Nahi hoon......

Armaan- Ho.

Y/n- Accha jaaiye hoon (pout).

Y/n ko pout karta dekh armaan hasta hai aur usske pout ko kiss karta hai

Armaan- Chalo nashta nahi kiya hai tumne chalke kar lo.

Y/n- Hmm...

To be continue

It's gonna be end soon 🙂~ by the way comment mein batana ke kaisa laga 😁

Bye ☺️❤️💜

FanaaWhere stories live. Discover now