Bohot saara hi time chala gaya tha par armaan ka y/n ke sath behaviour aur bhi cold hota jaa raha tha woh ghar pe kabhi kabhi hi khana khata tha aur woh bhi jab afsana ya darishta khana banati thi baat yeh nahi hai ke y/n khana accha nahi banati thi balke baat yeh thi ke ussko y/n ke haath se bana hua khana khana hi nahi tha
Armaan thak marke ghar aata hai aur apne room mein jaata hai aur dekhta hai y/n kapde fold kar rahi hai
Y/n- Aap baithiye main aapke liye paani leke aati hoon.
Armaan- Zaroorat nahi hai.
Y/n- Ab....accha toh thik hai aap fresh hoke aa jaaiye main khana nikalti hoon aapke liye.
Armaan- (sigh frustratingly) Khake aaya hoon main.
Y/n- Toh phi-
Armaan- Bas karogi tum!! Kya tumse ek second ke liye bhi chup nahi raha jaa sakta hai!!
Y/n- (in verge of crying) M-main t-toh ba-
Armaan- Please khuda ke vaaste chup raho!! Aur haan aaj main yeh clear kar hi deta hoon ke main tumse shaadi sirf noor ke liye ki hai so please tum zyada meri wife ban ne ki koshish mat karo!! Kyun ki main tumse kabhi pyar kar hi nahi sakta maine ager pyar kiya hai toh sirf aur sirf hayat se aur apne marte dam tak karta rahungi samjhi!!
Itna kehke woh room se nikal jaata hai aur door bohot se bandh karta hai jisski wajha se noor darr jaati hai aur rone lagti hai y/n jaldi se noor ko apne godh mein leti hai aur chup karane lagti hai
Y/n- K-kuch nahi hua baccha shhh mum- main hoon na aapke sath hmm kuch nahi hua baccha so jao.
Thodi der baad noor so jaati hai aur y/n neeche baithke armaan ki kahi hui baaton ko yaad karke rone lagti hai phir y/n ka phone bajne lagta hai aur y/n caller ID dekhti hai jo ki tha *Ahad😝* woh apne aansu ponchke phone uthati hai
Otp
Y/n- Kya hai?
Ahad- Zara tameez se baat kar behen.
Y/n- Tujhe kuch kehna hai toh bol warna main phone rakhti hoon.
Ahad- Accha nahi nahi sun!!
Y/n- Haan bol.
Ahad- Woh....... darishta kahan hai?
Y/n- Kyun? Ghar pe hi hai.
Ahad- Nahi woh mera phone nahi utha rahi hai.
Y/n- Ab kya kar diya tune?
Ahad- Haan woh- ek minute tujhe kaise pata chala ke maine kuch kiya hai.
Y/n- Woh teri baaton se hi pata chal raha hai ab bol kya kiya tune?
Ahad- Ab woh.......Kal humari date thi na toh baat baat pe darishta ne pucha ke usska birthday kab aata hai par......
Y/n- Par?
Ahad- Main bhul gaya ke usska birthday kab aata hai😅.
Y/n- Beda ghark ho tera! Tu itni important cheez bhul gaya bey pagal!!
Ahad- Hehehe 😅 ab main kya karun bhul gaya na sorry.
Y/n- Pagal sorry mujhe nahi darishta ko bol.
Ahad- Kaise bolun woh phone nahi utha rahi hai na.
Y/n- Accha tu ruk main usse phone deti hoon.
Aur y/n apne room se nikalke darishta ke room mein jaati hai aur darishta ko apna phone deke chali aati hai
Darishta- Kya hai?!
Ahad- Y/n phone dena darishta ko.
Darishta- Main darishta hi hoon😑😑.
Ahad- Oh 😅 woh y/n ne bhi shuru main yeh kya hai bola tha na toh.....
Darishta- Hmm.
Ahad- Waise sorry na mujhe sach mein yaad nahi tha.
Darishta- Oh ager main bolun ke mujhe tumhara birthday yaad nahi hai toh chalega?!
Ahad- Nahi chalega toh nahi please maaf kardo ka promise agli baar se nahi bhulunga pakka sorry......
Darishta- Accha thik hai thik hai.
Ahad- Sacchi?!
Darishta- Mucchi.
Ahad- Aww love you.
Darishta- Love you too.
Thodi der aur baat karne ke baad darishta phone rakhti hai aur so jaati hai
To be continue
Hehe sorry for short chapter 😅
Bye bye my dear angels ☺️☺️❤️💜
YOU ARE READING
Fanaa
FanfictionEk ladki thi bohot pyari si. Y/n naam tha usska. Bacchon se bohot pyar karti thi. Lekin usska bacchon se pyar karna ek din baandh dega usse ek aise shaadi ke bandhan mein jahan usska shauhar usse pyar hi nahi karta. Armaan ek ladka jissne kabhi ek l...