Chapter 7

169 13 2
                                    

Armaan aur y/n noor ko leke hospital aate hain aur roshni (woh doctor hai) abhi usska check up kar rahi thi aur y/n ussko godh mein leke baithi hui thi

Roshni- Dekho ghabrane wali koi baat nahi hai bas mausami bukhar hai kuch dino mein thik ho jaayega.

Y/n- Thank you.

Roshni- Chup kar! Yeh toh mera farz hai.

Y/n- Waise aap abhi bhi hospital mein kaise?

Roshni- Aaj meri raat ki shift hai.

Y/n- Oh.... ghar pe sab kaise hain bhabhi?

Roshni- Thik hain bas tumhe bohot yaad karte hain.

Y/n- Umm accha toh chalti hoon ab.

Next scene

Subha hone hi wali thi ab kyun ki aadhi raat toh hospital mein hi nikal gayi thi y/n abhi bhi soyi nahi thi woh baithi hui thi aur ussne noor ko apne godh mein liya hua tha armaan bathroom se bahar aata hai aur y/n ko baitha dekh bolta hai

Armaan- Tum sougi nahi?

Y/n- Uh ji....ji nahi noor kahin uthke rone lage toh......iss hi liye.

Armaan- Par- Thik hai tumhari marzi.

Aur armaan couch pe jaake let jaata hai

Time skip
07:22 AM

Armaan office jaane ke liye taiyar ho raha tha aur y/n noor ke kapde change kar rahi thi kyun ki ussne apne kapde gile kar diye the phir y/n noor ke kapde badalke khud jaati hai zara fresh hone armaan bhi taiyar hoke noor ke paas jaata hai jo apne fingers ke sath khel rahi thi woh noor ko godh mein leta hai

Armaan- Mera baccha papa na jitna jaldi sakenge utna jaldi aa jaayenge aapke liye kisko pareshan mat karna aap hmm.

Noor bas ussko apne bade bade aur cute aankhon se dekhti hai y/n bathroom se bahar aati hai aur armaan jab y/n ko dekhta hai toh woh noor ko yn ko de deta hai

Armaan- Khayal rakhna isska.......aur apna bhi.

Itna kehke woh noor ke forehead pe kiss karke chala jaata hai y/n ka dil se khushi se garden garden ho gaya tha

Y/n- Baccha aapke papa hain toh khadus par...........jab aise care dikhate hain na tab bade acche lagte hain, hai na?

Aur noor cutely hasti hai

Next scene

Y/n noor ko darishta ke paas deke kitchen mein khana bana rahi thi tab hi wahan afsana aati hai

Afsana- Beta suno.

Y/n- Ji?

Afsana- Beta woh mere bhai yanike darishta aur armaan ke mama ki tabiyat na thodi kharab hai aur unhone humein bulaya hai toh main aur armaan ke papa unse milne jaa rahe hain shayad humein ek do hafte bhi lag jaayenge aane mein toh kya tum ghar ka khayal rakh logi?

Y/n- Arre iss mein puchne wali kya baat hai aap befikr hoke jao main sab sambhal lungi aur darishta toh hai hi na hmm.

Afsana- Thank you beta.

Y/n- Beta bhi bol rahe ho aur thank you bhi bol rahe ho hmm....

Afsana- Ohh sorry, accha toh thik hai hum chalte hain.

Y/n- Bye....

Afsana- Bye beta.

Salim- Ab chalo bhi.

Aur phir woh dono chale jaate hain

Next scene
In evening

Darishta bahar jaane wali thi tab hi y/n ki nazar uss pe padti hai

Y/n- Kahan jaa rahi hai?

Darishta- Uhh woh....ahad se milne hehehe 😅.

Y/n- Itne din se toh nahi jaa rahi thi uss se milne aaj jab papa ji aur mummy ji nahi hain toh...........

Darishta- Ayy ayy waisa kuch nahi hai baat hoti thi par you know time nahi milta tha na matlab mummy do dus kaam thama deti thi na iss hi liye.........

Y/n- Ohh........tu kahin nahi jaa rahi hai.

Darishta- Hain?! Par y/n dekh-

Y/n- Woh yahan aayega.

Darishta- Kyun?

Y/n- Kuch kaam hai mujhe uss se toh usse ghar hi bula le.

Darishta- Ok.

Darishta phir ahad ko call karti hai aur kehti hai ke ghar aa jao aur ek minute ke ander ander woh aa bhi jaata hai

Y/n- Kya re tu darwaze pe hi khada tha kya jo itni jaldi aa gaya?

Ahad- Haan 🙂.

Y/n- Main bhi kis se puch rahi hoon 🤦🏻‍♀️ accha woh sab chhod aur yeh bata ke ghar mein sab kaise hain?

Ahad- Tere jaane ke baad se sab acche hi hain.

Y/n- 😑 Hmm dad ko dawai aur khana time pe toh deta tha na?

Ahad- A-ab uh haan.

Y/n- Accha? Par kal mujhe pados wali aunty se pata chala ke kuch din pehle dad ka bp high ho gaya tha aur uss waqt tu raaste pe awaron ki tarha ghoom raha tha par woh toh shukr hai ke bhabhi ghar pe thi toh unhone dawai de di thi.

Ahad- A-ayy n-nahi aisa k-kuch nahi hai😅 aur tujhe toh pata hai na ke woh pados wali aunty mujhe bachpan se pasand nahi karti toh iss hi liye m-mere naam pe afwayen phelati rehti hai.

Y/n- Hmm...............AHAD KEEEEE BACCHEEEEEEEE!! GALATI TU KHUD KARE AUR ILZAAM DE DOOSRON PAR!!

Ahad- Ayy zara dheere chilla...haye kaan phat gaye mere.

Darishta- Iss hi liye tune ahad ko yahan bulaya tha?

Y/n- Haan kyun?

Darishta- 🤦🏻‍♀️ Kuch nahi accha chhod sun na hum dono ab jaaye?

Y/n- Nahi.

Darishta- Kyun (pout) please na bhabhi~ jaldi aa jaungi 😋.

Y/n- 😮 Ayyy kya tune abhi?

Darishta- jaldi aa jaungi.

Y/n- Uss se pehle.

Darishta- Please.

Y/n- Usske baad....

Darishta- Ohhh Bhabhi~~

Y/n- Maska polish bandh kar.

Darishta- Kyun bhabhi~

Y/n- Darishta.....

Darishta- Bhabhi..... Arre yaar sacchi mein jaldi aa jaungi.

Y/n- (sigh) Pakka jaldi aa jaayegi na?

Darishta- Pakka, ab jaun?

Y/n- Jaa, ayy sun khayal rakhiyo isska.

Ahad- Haan haan ok.

Darishta- Bye.

Y/n- Bye dekh jaldi aa jaana.

Darishta- Haan baba aa jaungi.

Aur phir darishta ahad ke sath chali jaati hai

Time skip
At night

Armaan office se aa gaya tha aur darishta bhi aa gayi thi aur iss waqt sab khana kha rahe the phir khana khake sab apne apne room mein chale jaate hain aur y/n bhi kitchen ka saara kaam karke jaise hi apne room mein aati hai toh samne ka nazara dekh usske aankhein phat jaati hain

To be continue

Kehne ko kuch hai nahi so

Bye bye ☺️❤️💜

FanaaWhere stories live. Discover now